TOPIC: TAWHEED(ONENESS OF ALLAH IN ENGLISH & ROMAN ENGLISH)

🌷Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 

In this post you will read many Ahadeeth and Verses of Quran related to “TAWHEED-ONENESS OF ALLAH” in English as well as Roman English. I would like to thank my mom Rafia Begum, my teacher Zeenath, my friends cum sisters Asra , Akhila , Saraah, Juveria, Mehraj and Rida for being so accurate in translating Ahadeeth & Verses of Quran in Roman English.       May Allah(swt) grant you all with the best of this world & hereafter! AMEEN!

  I request all the visitors & readers to please share the post to as many people as possible as it will be a Sadqa Jaria for the one’s who read & share !   In sha Allah!🌻
🌻

 

🌸Tawheed in Arabic means attributing Oneness to Allaah and describing Him as being One and Unique, with no partner or peer in His Essence and Attributes.

🌸With regard to the shar’i definition of Tawheed, it means believing in Allaah alone as God and Lord and attributing to Him alone all the attributes of Lordship and divinity.

  •  🌸It may be defined as follows: Believing that Allaah is One with no partner or associate in His Lordship (ruboobiyyah), divinity (uloohiyyah) or names and attributes (al-asma’ wa’l-sifaat)

1) HADEETH IN ENGLISH:  🌹Narrated Mu’adh bin Jabal:

The Prophet said, “O Mu’adh! Do you know what Allah’s Right upon His slaves is?” I said, “Allah and His Apostle know best.” The Prophet said, “To worship Him (Allah) Alone and to join none in worship with Him (Allah). Do you know what their right upon Him is?” I replied, “Allah and His Apostle know best.” The Prophet said,Not to punish them (if they do so).”  🌸470  Bukhari🌸 

1) HADEETH IN ROMAN ENGLISH:

 🌹ALLAH KA BANDO PAR KYA HAQ HAI?
AUR BANDO PAR ALLAH KA KYA HAQ HAI.

Muadh bin Jabal se rivayath hai ki Rasulullah Sallelahu’alaih wasalm ne farmaya, Ya  Muadh tumhe pata hai ki Allah ka bando par kya haq hai, Mai me farmaya Allah aur uske Rasul ko zyada ilm hai, Aaap Sallelahu’alaih wassalam ne farmaya, Allah ka bando par yeh haq hai ki wo sirf Allah hi ki ibadat kare aur kisi ko shariq na kare.
Phir Aap Sallelahu’alaih wassalam ne farmaya, Ya Muadh bando ka Allah par kya haq hai jab woh yeh kaam karle, Mai ne farmaya, Allah aur uske Rasul ko zyada ilm hai, phr Aap Sallelahu’alaih wasalm ne farmaya bando ka Allah par yeh haq hai ki wo unhe (apne bando)  ku azab na kare  .🌸470  Bukhari🌸 

🌹

 

🌻2) HADEETH IN ENGLISH:

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri:

A man heard another man reciting (in the prayers): ‘Say (O Muhammad): “He is Allah, the One.” (112.1) And he recited it repeatedly. When it was morning, he went to the Prophet (ﷺpbuh) and informed him about that as if he considered that the recitation of that Sura by itself was not enough. Allah’s Messenger (ﷺpbuh) said, “By Him in Whose Hand my life is, it is equal to one-third of the Qur’an.”‏

🌸Reference : Sahih al-Bukhari 7374In-book reference : Book 97, Hadith 4USC-MSA web (English) reference : Vol. 9, Book 93, Hadith 471  🌸
Scholars opined that 1/3rd of Quran speaks about oneness of Allah & Ofcourse surah Iklas (completely) speaks only about one God!

🌻2HADEETH IN ROMAN  ENGLISH
Abu Saíd Al- khudri rahmatulla alye se rivayath hy ke :

Ek shaks ne suna ke doosra shaks apni namaz mai kahraha tha: “Allah ek hai”, aur vo har bar wohi apni namaz mein dohra raha tha.
        Pehle shaks  suba me Huzur sallallaahu alyehi-wa-sallam ke pass gaye…aur poora khissa bayan kiya…
    Aur Huzur sallallaahu alyehi-wa-sallam ne farmaya:”jis ke khabze me meri jaan hy,aur kaha ki Quran ka 1/3 hissa issi ka dawa karta hai ki…Allah ek hy..”

  🌸Reference: sahi al-bukhari 73714 in book
Reference: book 97 hadith 4USC-MSA web(English)
Reference: vol.9,book 93,hadith 471🌸

Aur doosre sahaba razi allahu ajmaien ne bhi kaha hy ki Quran me 1/3 hissa Allah ek hone ka dawa hy.Aur surah Iklas me(completely) Allah ek hone ka dawa hy…🌸

🌹 3HADEETH IN ENGLISH:

  Narrated Abu Huraira:

The Prophet said, “On the Day of Resurrection Allah will hold the whole earth and fold the heaven with His right hand and say, ‘I am the King: where are the kings of the earth?” ‘  🌸479 Bukhari🌸

 🌹 3) HADEETH IN ROMAN ENGLISH:

Abu Hurairah se riwayat hai ki :

Huzoor Sallallahu alayihi wassalam  farmate hai Qiyamat ke din Allah(swt) sari zameen pakdenge or daae hath me Jannat rakhenge or kahenge “Mai badshah hu :  is duniya ke saare badshah kaha hai?” 🌸479 Bukhari🌸

 🌹 4HADEETH IN ENGLISH:

Jabir narrated that the Messenger of Allah (s.a.w) said:
” Some of the people of Tawhid will be punished in the Fire until they are coals. Then the Mercy (of Allah) will reach them, they will be taken out and tossed at the doors of Paradise.” He said: ” The people of Paradise will pour water over them, and they will sprout as the debris carried by the flood sprouts, then they will enter Paradise.

🌸“Grade : Sahih (Darussalam)
English reference : Vol. 4, Book 13, Hadith 2597
Arabic reference : Book 39, Hadith 2801🌸

 🌹  4HADEETH IN ROMAN ENGLISH:

Jabir (R.A) riwayat bayan kartey hai Nabi Kareem (s.a.w.s) ne farmaya :

“Kuch log jo Allah(swt)  ke wahid (ek )hone par yakeen  karte hai, un mein se kuch par azaab hoga aur  woh aag me jalaye jayenge  jab tak ke woh jal kar koyela na banjaiye .phir Allah(swt)  ki rehmat un tak pahunchegi ,aur phir woh log bahar nikale jayenge aur jannat ke darwaze par  phenke jayenge. ” Phir Aap ne kaha: ” Fir jannat ke log un par pani dalinge aur woh log ek naye ankur  ( beenj) ki tarah  , malbe se,  bade se  sailaab ke guzarne ke baad paida honge aur  woh waise bankar fir  jannat me dakhil honge.”

🌸(Sahih( Darussalam)
Eng:Tef: Vil.4, book 13, Hadith 2597.
Arabic Raf: Book 39, Hadith 2801🌸.

 🌹 1) QURANIC VERSES IN ENGLISH:

Quran verses for Allah is creator of all things!

In the name of Allah, We praise Him, seek His help and ask for His forgiveness. Whoever Allah guides none can misguide, and whoever He allows to fall astray, none can guide them aright. We bear witness that there is none worthy of worship but Allah Alone, and we bear witness that Muhammad (saws) is His slave-servant and the seal of His Messengers.

Allah Says in the Holy Quran Chapter 13 Surah Raad verse 16:

🌹🌹Say: “Who is the Lord and Sustainer of the heavens and the earth?” Say: “It is Allah.” Say: “Do ye then take (for worship) protectors other than Him such as have no power either for good or for harm to themselves?” Say: “Are the blind equal with those who see? Or the depths of darkness equal with Light?” Or do they assign to Allah partners who have created (anything) as He has created so that the creation seemed to them similar? Say:”Allah is the Creator of all things: He is the One the Supreme and Irresistible.”

 🌹1) QURANIC VERSES IN ROMAN ENGLISH:

Qur’an ki ayaah bayaan karte hai ki Allah (swt) sab cheez ka Qadeer hai.

Shuru Allah(swt) ke naam se, Hum Usi ki tareef karte hai, Usiki madad ke talabgaar hai aur Usi se maafi maangte hai. Jise Allah(swt) hidayath farmata hai, use koi gumraah nahi karsakta, aur jise Woh gumraah karta hai, uski hidayath koi nahi kar sakta. Hum gawaahi dete hai ki Allah(swt) ke siwa koi ibaadat ke qabeel nahi, sur hum gawaahi dete hai ki Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) , Uske bande hai aur Uske bheje hue Rasool hai.

Allah(swt) Qur’an ki 13 Sabaq, Surah Raad , ayaah16 mein farmaate hai:

🌹🌹Farmaao:” Kaun Rab hai aasmaanon aur zameen ka? Tum khud hi farmaao, “Allah”. Tum farmaao,” Toh kya iske siwa tum ne woh jamaathen banaliye hai, jo apna bhala bura nahi karsakte hai?” Tum farmaao, “Kya barabar ho jayenge, andha aur aankwala? Ya kya barabar ho jayenge andhera aur ujala? Kya Allah(swt) ke liye,  aise shareek tehrayen hai, jinhone Allah(swt) ki tarah kuch banaya toh ihne inka aur iska banana , ek sa malum hua? ” Tum farmaao Allah(swt) har cheez ja banane wala hai. Aur Woh Akela sab par gaalib hai

{IN ENGLISH}

Every Prophet taught His people the same lesson:{IN ENGLISH}

“Indeed, We sent Nuh (Noah) to his people and he said: “O my people! Worship Allah! You have no other Ilah(God) but Him. Certainly, I fear for you the torment of a Great Day!”                               🌸 [Al-A’raf 7: 59]🌸

🌹🌹
“And verily, We have sent among every Ummah(community, nation) a Messenger (proclaiming): “Worship Allah (Alone), and avoid (or keep away from) all false deities” Then of them were some whom Allah guided and of them were some upon whom the straying was justified. So travel through the land and see what was the end of those who denied (the truth).”                                       🌸[An-Nahl 16:36]🌸

{ IN ROMAN ENGLISH}

Beshak har ek nabi ne  apne qaum ku ek hi nseehath batai hai :

Hum ne Nuh ko un ki qaum ki tarf bheja toh unhone unse kaha, aaye logon  Khuda ki ibadat karo uske siva tumhara koi maa’bud nahin, mujhe tumhare bare me bade din ke azaab ka bahut hi darr hai.
🌸 [Al-A’raf 7: 59]🌸
🌷

Aur hum ne har jamaat me paegambar bhejaa ki khuda hi ki ibadat karo aur buton ki puja se door raho.Toh un me se baaz aise hai jin ko khuda ne hidayath di hai aur baaz aise hai jin par gumrahi saabit hui. So zameen par chal phir kar dekhlo ki jhutlane walon ka anjaam kaisa hua.      🌸[An-Nahl 16:36]🌸 

Please share these ahadith with as many people as possible, as even if one follows it,we all will be rewarded. In sha Allah!

May Allah(swt) protect us all from the punishments of grave,grant us Jannah and make our life’s better in this world & hereafter!Ameen!

Jazak Allah Khair:) Stay Blessed!

.

7 thoughts on “TOPIC: TAWHEED(ONENESS OF ALLAH IN ENGLISH & ROMAN ENGLISH)

Leave a comment