Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa BarKaatuhu
🌱SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 41
- 🔻 Dar Al Arqam
- 🔻Abyssinia ki taraf hijrath
Shuruath mein Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Arqam bin Abi Al-Arqam ke ghar ko chupkar ibaadat , tableegh, ilm ki taleem dene ke markaz ki tarah istemaal kiya karte the. Yeh Aap ke muhim ke shurath ka paanchva saal tha.
Arqam ka ghar Mount Safa ke niche waqaih tha, Ka’bah se aur wahan ki bheed ki halchal se kuch kadam dur. Mushrikeen jo us jagah par rahte the, isliye , woh Arqam ke ghar mein jama hone wali majlis ko nahi ghaur kar sake.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) wahan apne Sahabiyon se mulaaqaat karte aur un sab ke liye Qur’an ki ayaah tilaawat karte aur woh sab ayaah ka hifz karte Yeh intezaamaath,
Buniyaadi Mominon ko Islam ke usool aur haquq ko achi tarah seekhne aur chupke se ibaadat karne mein madad ki, aur padosiyon ke gusse se ya apne khandaan ke logon ke gusse se jo abhi tak Islam nahi qubool kiya mehfus rakha tha.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) tho beshaque , apni ibaadat khule aam jaari rakha taake sab unhe ibaadat karte hue dekhen. Zulm, beizzati, sitam aur zayathi ka saamna karte hue bhi , Aap Islam ke paigaam ki tableegh karte rahe aur jis se bhi milte rahe use Islam ki dawaat dete rahe. Yeh tho Allah ( swt) ki hikmath aur rahem tha ki Aap kabhie bhi apne muhim aur maqsad se piche nahi hue , bure se bure aur intehaayi mushkilon mein bhi.
Aap ki mehnat aur mashakath ki wajah se, koi ruh Qayamat ke Din Allah( swt) se sawaal nahi kar payegi ke unke paas koi paigamber nahi bheja gaya , unhe aghaah karne ke liye aur gumraah ko seedha raasta bataane ke liye.
✨ABYSSINIA KI TARAF HIJRATH ✨
Zulm aur sitam ka silsila Aap ki paigambari ke chauthe(4) saal se dheere dheere shuru hokar, mussasil din ba din, mahina ba mahina badtha gaya aur kharaab se kharaab hotha gaya jab tak ke halaath itne badtar hote gaye ke paanchve saal ke beech ke dauraan inhe sahna mushkil se mushkil hota gaya, ke Momin har mumkeen raaste dundne lage is dard bhare zulm aur sitam se bachne ke liye.
Yeh wahi udaas aur mayusi ka maukha tha jab Surah Al Kahf ( Surah 18-The cave) naazil hui, jisme Makkah ke budhparasthon ke har sawaal ka jawab tha jo woh Rasool( SalAllahu alaihi qa sallam) ko puch puch kar sataya karte the. Is mein theen kahaniyan hai jo aise missalen qayam kiye jisse ke sache momin ek saath jama ho jayenge.
Surah Az- Zumar( Surah 30- The Crowd( majma) ) , uske baad naazil hui jisme hijrath ka ishara hua aur usme farmaya gaya ki duniya mein jagah ki koi kami nahi hai, aur Momin apne aap ko zulm aur shaytaani quwathon se dar kar ek hi jagah simith nahi rahna chahiye.
” Tum farmao, Aye mere bandhon jo imaan laaye, apne rab se daro, ‘jinhone bhalaayi ki, inke liye duniya mein bhalaayi hai,’ aur Allah ki zameen badi hai, (agar aap Allah ki ibaadat ek jagah pe nahi karsakte, tho aap dusri jagah chale jao) sabr karnewalon ko inka sawaab bharpur behissab diya jayega ” 📌 ( 30:10)
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne dusra khadam uthaya , yeh sochkar ke Mominon ko jang aawar se mehfus kiya jaaye. Rasool * SalAllahu alaihi wa sallam) ne suna tha Abyssinia ke Badshah ke baare mein , ki woh ek sacha Esayi hukmraan hai, jo apni zameen par zulm aur sitam nahi hone deta. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Apni Momin jamaath se kaha ki woh Abyssinia ki taraf hijrath karen aur wahan panah le.
🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 41…..