SABAQ 22

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
 
 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
 
✨ SABAQ 22
 
🌸 Hujjaj ko Quraysh ki  Intabah.( dhamki) 🌸
🌸Un dinon ke dauran, Qurayash ko ek dusri hi fikr lag gayi; Islam ki taraf ka Pukaar  ka elaan hokar kuch hi  mahine guzre jab ki Haj karne ka mahina nazdeek aa raha tha. Quraysh ko pata tha ki Arab ke jamat- e- Numandigan ( delegates) kuch hi samay mein wahan pahunchinge.  Woh saare is baat par itefaaq rakhe ki woh sab is baat par gaur karen ki Arab ke Numandigan ko kis tarah Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ki tableeq aur Aap ke naye Imaan aur mazhab se dur rakhe.
🌸 Quraysh saare Al-Waleed bin Al-Mugheerah ko milne gaye take woh is masle ka koi hal nikale. Al-Waleed ne insab ko daawath diyake sab ek tajveez ( raay) par itefaaq rakhe aur apas ke faisle ko sab manzuri den. Lekin in sab mein naitefaaqi hui. Kuch log kahne lage ki  Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam)  Kahin ( najumi) hai; magar yeh tajveez ko inkaar kar diya gaya ke Aap ki baaton mein qafia ( rhyming words) nahi tha.
🌸 Dusron ne raay diya ke Aap Majnuun, yanke Aap jin ke qabze mein hai; yeh tajveez bhi inkaar kar di gayi kyun ki Aap ki baaten ya rahen sahen mein is cheez ka koi ishaara na tha.  ” Kyun ba ham Inhe Shayar kahe? ” kuch ne kaha. Yahan par bhi apas mein naitefaaqi hui, kahne lage ki Aap ki baaten  shayari je luqth se bahar hai.”Tho Phir Theek hai !phir hum sab Aap ko jadugar kharar kardinge” yeh chautha mansuba tha.
🌸 Yahan par bhi Al-Waleex ne naitefaaqi batayi yeh kah kar ke Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) kabhi bhi apne aapko aise kaam mein nahi shaamil kiya , aur nahi woh kabhi giraahon par pukhne ka riwaaz apnaya aur yeh qabool kiya ke Aap ka bayaan bahuth pyaara tha, uski jaden mazbooth hai aur Aap ke  shaaquen par phal lage hue hai.
🌸 Lekin , usne malum kiya ki Aap par mumkeen ilzaam yeh lagaya jasakta hai ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ek jaadugar hai. Nafarmaan log Al-Waleed ke baat par itefaaq rakhe aur ek baat par raazi hokar charo taraf baat phailaane lage ki Aap bahuth hi bade jadugaar hai aur jaadu karne mein badi hi mahirath haasil ki hai jisse Aap,  baap  ko bete se; biwi ko shohar se; aadmi ko apne bhai se aur aadmi ko apne qabile se alag kar sakte hai.
🌸  Yeh qabile zikr hai ki is silsile mein Allah(swt) ne 16 aayaten naazil farmayi hai Al- Waleed aur uske  chalak mansube ke jisse usne jodthod ke Makkah ko aane wale hajjaj ko gaur karne mein majboor kar diya. Allah ( swt) ne farmaya: 
📖” Beshaque, usne socha aur mansuba banaya; us be wahe( lanath) ho! Usne kaisa mansuba banaya! Aur ek baar phir uspe lanath ho, usne kaisa mansuba babay! Phir ysne socha; phir twvri charhaya aur woh thang mizzaz hua; phir usne muda aur gamand karne laga; phir usne bola: Yeh tho sirf jaadu hai buddhelog ki taraf se; yeh tho kuch bhi nayi balki insaan ki muh ki baaten hai!”
(74: 18-25 )
 
🌸 Bachou ke is mansube se haami bhaar kar , Quraysh chote chote jamaton mein takseem hue aur baat ko phailaane lage. Woh us raaston par intezaar karte jahan se hajjaj guzarte aur har raah chalne walon ko aaqha karte Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke baare mein.Jisse yeh hua ki har koi  Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki bina dekhe , bina sune apne aap ek raay banali.
🌸 Jab Hajj ke din aaye, tab Rasool (SalAllahu alahi wa sallam) uthe aur hajiyon ko jamathon mein milne ja faisla kiya. Aap unsab ko
 unke  qimon mein jaakar Islam ki daawath dene lage. Aap farmaate they: 
👉” Aye logon! Bolo LAA ILAAHA ILALLAH aur aap kaamiyaabi haasil karoge.” 
🌸  Sab se kharab aur kaafir aur Islam ka sabse bada dushman aur Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka dushman, Abu Lahab is beech Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke peeche peeche chalta aur Aap ko nicha girata aur har khadam par kehte rahta ki Aap jhoothe hai; Aap  murtid hai.”
🌸Bus, jaise ke hujjaj ka wapasi waqt aya us saal, pure Arab mein pata chalgaya Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka aur Aap ki muhim ka, ya Aap ki mehnat aur justhuju se ya phir apne dushmanon ki wajeh se.Beherehaal, Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) saare jagaon mein ek lahar ched di, aur kuch logon ko Islaam ki taraf ruju karwaane mei  bhi kaamyaab hue.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 22.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s