Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 24
🌷 Inhiraf ( tabdilen) 🌷
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki badnaam aur zaleel karne ke bawjuud mutmayeen na hokar mushrikeen yeh koshish mein lag gaye ki koi dusre Aap ki tableeq aur bayaanath na sune. Jab bhi Aap jamaath mein tableeq dene lagthe, mushrikeen jakar wahan ki bheed ko bhikher dete isse pahele ki Aap apna bayaan shuru karen.
Tableeq karne ka pahela mauka Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke muhim ke 5 ke saal baad Ramadan mein aaya. Yeh wahi waqt tha ke Aap ne Surah An- Najm bade jamaath ke saamne tilawath ki thi. Jab bhi Rasool ( SalAallahu alaihi wa sallam) Qur’an ki tilawath karte ( jo aksar raat ke dusre pahar mein nafil namaz mein) , budhparath Qur’an ki badkalaami karte, iske bawjuud uski beadabi karte jisne Qur’an naazil farmayee, aur uski bhi jisne Qur’an ki logon thak pahunchayi.
Isliye , Allah (swt) ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki hidayath di ki Aap Qur’ an ko nichi awaaaz mein padhe.
📖” Apni namaaz ko na unchi awaaz mein aur nahi khamoshi mein tilawath karo; balki beej ki awaaz mein padha karo.”📌( 17:110)
Logon ka dhyaan Qur’an ki kahaniyon se hatane ke liye, Nadir bin Haarith , Hira aur Syria ko gaye aur wahan se Dara( Darius), Sikandet( Alexander) aur Isfandyar( ek Persia ke Raja) ke daastane laya. Jab bhi Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) koi majlis ko khitaab karna shuru karte , woh wahan pahunch jata aur in sabki daastane sunana shuru karta.
Aur woh logon se puchtha ki kaise Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki taqreer usse behetar ho sakti hai. Nadir phir ek qadam aur aage badha aur gaane wali ladkiyon ko kharida. Agar usse yeh sunne mein aaya ki falan aadmi Muslim ban raha hai, tho woh us shaks ko pakad kar nachnewaliyon ke paas le jaata aur uski tafri karwata aur use khilatha aur pilatha.
Phir us shaks jo Muslim banne wala tha usse kahta ki nachnewaliyon ki sohbath , Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki sohbath se aur unki baaton se kahin achi hai. Allah( swt) ne tab teh aayath naazil farmayi:
📖 ” Insaan mein kuch aise log bhi hai jo nasamjhi mein daastane kharid the hai aur logon ko Allah( swt) ki raah se bhatkate hai, aur Allah (swt) ki baaton ka mazaak bana dete hai. Beshaque inhe zalalath ki saza milegi” 📌 (31:6)
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED……
END OF PART 24.