Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
🌱 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
🌱 SABAQ 23
- 🔺 Islam ke khilaaf alag alag tarkeeben.
- 🔺 Mazakh, tauheen aur naqal karna.
🌱 Haj mukammal hone ke baad , hujjaj wapas apne ghar laute dilon mein naye mazhab , dushmani mazhab ka masla lekar. Kai arse tak shirk , bushparasthi mein mubtala hone ki wajah se , Arabs , Islam ki ek naye mazhab ki tarah dekhne lage aur use bahar nikaal phekne ki soch rahe the. Woh yeh maanne se inkaar kar rahe the ki yeh tho qadeem Ek Khuda ka aqeeda hai jise hamare baap dada , Ibraheem( alaihi salaam) aur Isma’eel (alaihi salaam) tableeq dete hue aaye hai.
🌱Intehayi jalim mushrikeen ne alag alag tarkeeb aur mansube banana shuru kardiya, maujuda halath ka saamna karne ke liye. Aur unhe pura bharosa tha ki inke tarkeeben agar amal mein laaye jayenge tho yeh sab Islam ka khatma karne mein kaamyaab ho jayenge. In ke tarkeebon mein mazak udana, gaali dena, touhmat lagana, behaas karna aur Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke Sahabiyon ko satana aur zulm karna tha.
✨ MAZAK , TAUHEEN AUR NAQAL KARNA ✨
🌱 Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko beizzat aur nicha girane ke liye budhparasth Arab yeh kah kar badnaam karne lage:-
👉 ” Yeh tho shayar, pagal aur nujumi hai…..Shaytaan Aap ke paas ata hai aur sikhatha hai….. Yeh ek jaadugar hai , jhootha hai.”
🌸 Jab inlogon ka saamna Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se hotha tho yeh unhe ghur ke dekhte, dhamkate aur sarkashi karte hue kahte:-” Yeh wahi aadmi hai jo apne khudaon ko badnaam kar raha hai!” Budhparasth , Muslims ko raaston mein taana dete aur kahte: ” Dekho! Zameen ke hukmraab aa rahe hai. Kya Allah( swt) ne inhe yeh zimmedari sonpi hai? ” Yeh us muashere ka tauheen aftaa mahol hai jahan kamzor samaji kaseer Muslims ko taqatwar barhe adad ke logon ka saamna karna pada.
🌱 Yeh ghatiya aur zulmana mazaak aur yeh mazamat Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) jo bhi takleef dene laga. Allah ( swt) ne kaha:
📖 “Hame maalum hai ki Aap ke dil ko bahuth takleef ho rahi hai, ye sunkar jo unlogon ne kaha.”📌 (15:9)
🌱 Allah ( swt) ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko honsla aur tassali dene ke liye aur Aap ki madad karne ke liye yeh aayath naazil farmayi:-
📖 ” Lehaaza, Apne Rab ki badayi karo, aur unmein shaamil ho jo apne aap ko Uske saamne saajda karte ho.”📌 ( 15: 98 )
🌱 Ek dusri aayath mein , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se farmaya gaya Allah( swt) wahed ek hi hai jo gunhegaaron aur budhparasthon ka faisla karenge, aur unhe waisa hi phal milega jaise ke unke gunha. Rasool ( SalAllahu àlaihi wa sallam) , Aap ke Sahabiyon ki dilasa dete hue farmaya:
👉” Mere se pahele jitne bhi Paigamber aayen hai unka bhi mazak udhaya gaya aur unki bhi khilaafat ki gayi, magar mazak udane wale sab apne aap ki nafrath ke dayere mein baandh liya hai.”
🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 23.