Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
✨ SABAQ 21
🌷 Mount Safa ki choti par se aaqha ( continued)
🌷 Makkah ke saare muashere ke tabqaath ko khitaab karte hue , Aap ne mazid ho kar kaha:
👉” O Quraysh ke logon, Allah(swt) ki sazaa se bachon aur apne aap ko Dozak ki Aag se bachao, kyun ke main aap ke fayde aur nuksaan ka hakeem nahi hun, nahi main aap sab ko Allah( swt) ki shay aur sazaa se bachane wala madagaar hun. O Banu Ka’b bin Lu’ayy, aapne aap ko Dozak se bachalo, kyun ki main aap ke fayde aur nuksaan ( aachayi aur burayi) ka hakeem nahi hun.
👉” O Banu Qusayy! Aapne aap ko Dozak se bachao. O Banu Abdu Munaf! Aap ne aap ko Dozak se bachao kyun ki main aapke fayde ya nuksaan ka hakeem nahi hun. O Banu Hashim! Aapne aap ko Dozak se bacho. O Banu Abdul Muttalib! Aap ne aap ko Dozak se bachao, kyun ki main aap ke fayde aur nuksaan ka hakeem nahi hun aur nahi main aap sab ko Allah( swt) se bacha sakta hun.Meri jaydaad se jitni khwaish hai uthna lelo , magar mere paas Allah( swt) ki shay se bachane ki taaqath nahi hai.
👉 ” O Abbas bin Abdul Muttalib! Main aap ki koi madad nahi kar sakta aapko Allah( swt) se bachane ke liye. O Paigamber ki phupijaan Safiyah bint Abdul Muttalib! Main aap ki koi madad kar nahi sakta Allah(swt)ki sazza se bachane ke liye. O Fatima, Paigamber ki beti! Aap ko mere jaydaad se jo maangna hai maanglo, magar phir bhi main aap ko Allah( swt) se bacha nahi payunga. Lekin mera aapse rishta hai, us rishte ke farayaz main bakhubi nibhaunga.”
🌷 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke is aaqha ko sunne ke baad majlis wahan se chale gayi. Is ki tahreer kahin bhi nahi hai ke yeh sab Aap ke saath hue ya Aap ke khilaaf. Lekin tasdeeq main aaya ki Abu Lahab gussae main aakar kaha:
👉” Aap pe laanath ho! Aap pe wahe ho! Kya aap ne hame is ke liye yahan bulaya? ”
🌷 Aam taur par Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ki majlis Aap ka bayaan sunkar hairaan ho gayi aur yeh faisla na kar payi ke woh ab kya karen. Jaise hi woh apne ghar laute, tab unke dilon mein takubar ubhaar aaya aur Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke aaqha aur takeed ko haqeer ( bekaar) samjha.
🌷 Isliye jab bhi Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) saamne se guzarte tab Aapke buzrug taana maarte:
👉 ” Kya yeh wahi hai jisko Allah( swt) ne apna Paigamber banakar bheja? Kya yeh woh Abu Kabshah ka ladka hai jisko aasmanon se wahi aayi hai? “
🌷 Abu Kabshah, Rasool( SalAalahu alaihi wa sallam) ke walidayan ke taraf ke baapdadaon mein se the. Inho ne Quraysh ki budhparasthi ko chodkar Isaayihath qubul karli thi. Isliye , jab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aqeeda tauheed wala mazhab (wahedani) Islam ki tableeq ki , tab Qurayash ko waqt na laga ki Aap ka misaal Abu Kabshah se jod de yeh kahkar ke yeh namak haram ke rishton mein se hai.
🌷Apne qabilon ke taane ke bawjuud aur unke badte huye jang-o-jadal je bawjuud, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) apne maqsad par date rahe aur logon ko Islam ki daawath dete rahe. Aap Quran ki ayaten padhte rahte aur logon ko wahi paigaam dete rahe jo Aap se pahele hai Paigamberon ne apne logon ko diya tha. Aap kahte rahte:
👉”Aye mere logon! Alaah(swt) ki ibaadat kiya karo. Uske saath kisi ko shareek mat karo. Kyun ke Allah(swt) ke siwa aapka koi maabood nahi hai.”
🌷 Aap Allah(swt) ki ibaadat khule aam karna shuru kar diya. Aap Ka’bah ke ird gird aangan mein ibaadat karna shuru kiya. Ahista ahista Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ki tableeq dam pakadne lagi. Jaise zyada se zyada log, ek ke baad ek Islam ki dawaath qubul karne lage, waise hi momin aur kaafiron ke beej faasla badta ja raha tha. Aisa ek hi ghar mein bhi faasle badte ja rahe the. Beshaque Quraysh ki naraazgi aur naitefaaqhi aur jhahalath badti jaa rahi thi. Unhe yeh pasand nahi aa raha tha ke naye momin apne mazhab Islam ko apni family, qabila aur rasmo riwaaz se zyada ahmiyath de rahe hai.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 21.