Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa salla)
SABAQ 39
🔻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par zulm aur sitam.
Is beech , Quraysh ne Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko sataane ke liye naye tareekhe nikaalne lage: woh Aap ko Mudhammam kah kar pukaarna lage bajaye Muhammad kahne ke, jiska matlab bilkul Aap ke haqeeqi naam ” Muhammad” se ulta tha. “Muhammad ” jiska matlab hai zyada tareef ke qaabil, lekin jabke Mudhammam ka matlab hai sakhthi se mulamat ( inkaar) karna. Lekin, Allah( swt) ne Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ki izzat ki hifazat ki yeh farmakar ki Quraysh tho us shaks ki beizzati kar rahe jisko Mudhammam kahkar pukaarte hai magar Rasool tho “Muhammad” hi hai naam se .
Jaise ke pahele bhi zikr kiya gaya ki,Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke Sahabiyon ke kattar dushmanon mein se ek hai Abu Jahl. Iska asli naam Abu Hakam, jiska haqeeqi matlab hai “Hikmath ka Baap”, lekin inka Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur buniyaadi Momin ki taraf bartaav dekhkar, inhe Abu Jahl, “Jahalath ka Baap” ke naam se laqab kiya gaya.
Jo bhi mushrikeen ka muqaami deen chodkar Islam qubool kiya woh (namak haram) munkar e din kharaar kar diya jaata aur Abu Jahl unhe apne khayanath ki saza ka shikaar banata. Woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki saath khule aam bura bartaao karta, aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko ibaadat karne se roktha.
Ek din Abu Jahl ne dekha ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ibaadat kar rahe hai, tho usne Aapko satana ,zulm karna aur dhamkiyan dena shuru kiya. Akhirkaar, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne ek kapde ka tukda liya aur Abu Jahl ke gardan mein daal kar, use zor se hilate hue , Qur’an ke do ayaah padhe:
.” Tum par afsoos! Tum par afsoos! Phir se tum par afsoos! Tum par afsoos!” (75: 34-35).
Abu Jahl palat kar bolne laga,
” Muhammad! Tum mujhe lalkaar rahe ho! Khuda ki kasam, tum aur tumhara Rab mera kuch kharaba nahi kar sakta. Main is waadi ka sabse taaqatwar shaks hun.” ‘Kya badle ke liye bekharaar ho’ Abu Jahl apne saathiyon se puchne laga.”Kya Muhammad apna chehra zameen par rakhega aap log ke saamne? ” Haan” unlog ne jawaab diya. ” Laat aur Uzza ki kasam” Abu Jahl kaha, “Agar maine use aisa karte hue dekh liya, tho main uska chehra aur gardan mitti mein rondunga.”
Woh din aaya hab Abu Jahl ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko ibaadat karte aur sujood karte dekha, tho woh Aap ki taraf hamla kiya taake apni dhamki ka iraada pura karen. Achanak logon ne dekha ki woh peeche ho gaya apne haath hawa mein udaate hue bina Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par hamla kiyejo tanha aur gair mehfus the .
” Kya hua , Abu Hakam? ” logon ne pucha.
” Ek aag ki khayi aur tabhahi ka manzar tehra hua hai mere aur unke beech” pareshaan Abu Jahl ne kaha.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Sahabiyon se kaha, ” Agar woh mere paas aata, farishte uske haathon pairon par jhapat jaate.”
Uqba bin Abi Mu’ayt , dusra shaks tha jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se bura aur neech bartaav karne ki wajah se , bahuth beizzati uthayi. Ek baar Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) Ka’bah ke paas ibaadat kar rahe the jab Abu Jahl aur uske saathi wahan nazdeek mein baite hue the. Is beech Abu Jahl ne dusron se kaha,
” “Kya aap log mein se koi hai jo Banu ke falan falan uuton (camel) ka ahshaan( anthadiyaan) laye aur Muhammad ke peet par rakhe jab woh sujood mein ho? “
Uqba, apni himmat bataane ke liye bekharaar ho uta, woh wahan se utha aur zuba kiye hue uunt ke anthadiyaan laya. Woh baaju mein khada ho gaya aur maukha dekne laga ki kab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) sujood mein jayenge. Jab Aap apna sir zameen ki taraf sujood ke liye jhukaye, tab Uqba uunt ke anthadiyaon ko Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke gardan aue khandon par daal diya.
Abu Jahl aur uske saathi zor zor se hasne lage, lekin Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) sujood mein hi the aur Aap ne apna sir nahi uthaya. Kisi ne jaakar Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki beti Fatima( R.A) se saara kissa kaha. Woh bhaagte hue Ka’ bah ke paas pahunchi. Woh gandi badbu wale anthadiyon ko Aap par se hataya aur Aap apna sir uthaye aur Allah( swt) se dua karne lage.
” Aye Allah! Quraysh ko zabt karde!”
Jab Abu Jahl aur uske saathiyon ne Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki dua suni, tho unhe apne dilon par bhaari wazan mehsus hua kyun ke unhe yaqeen tha ki Makkah mein har dua qubool hoti hai. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) apne dushmanon je saamne buland awaaz se dua karne lage, ek ke baad ek ka naam lelekar dua karne lage ki Allah( swt) unko unka ajar degaa.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 39…