Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu )
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam )
SABAQ 35
🔻 Zulm aur sitam ja daur shuru hua ( continued)
Mushrikeen khule aam Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki burayi karne se bachne lage.
Quraysh ki nazron mein, woh gulaam jo Momin ho gaye baaghi samjhe jaane lage aur unhe zulm kar ke qatl karne ki koshish karne lage. In sab ki samaji halaath in ko har tarah ka zulm aur sitam ko sahne ke liye majboor aur kamzor kar diye the. Baher e haal, daulat aur samaji ruthba Mominon ko koi zamanath nahi de saki is zulm aur sitam Mominon ke saath hone se.
Uthman bin Affan ( R.A) , samaaj ke ek jane maane shaksiyath the, magar aap ko bhi kai tarah se sataya gaya. Ek baar aapke chacha ne aapko chatayi mein tight baandh diya aur niche se khushbudaar lakdiyan jaladi.
Abu Bakr ( R.A) aur Talha bin Ubaydullah ( R.A) ko bhi sataya gaya. Naufal bin Khuwaylid, aur, kaha gaya hai , Uthman bin Ubaydullah, dono ko ek rassi se kaskar baandha taake dono ibaadat na kar paye aur apne naye deen ka amal na kar paaye. Lekin Abu Bakr( R.A) aur Talha ( R.A) ko ibaadat karte hue dekha gaya, aur gayeb se aap dono ki rassi khul gayi hui thi. Kyun ke aap dono ko ek hi rassi se baandha gaya tha , aap dono ko “Qarayn” bulaya jaane laga jiska matlab hai “milakar baandhe hue”.
Abu Jahl, jisko Qur’an mein kai baar zikr kiya gaya ke woh Islaam ka saqth nafrath karnewala tha aur use bahuth takabbur tha. Makkawalon mein yeh aur iske saathi zyada mashoor the jo apna maqsad Islam ke khilaaf ladne ka bana liye the. Iski nafrath aur gussa waqt ba waqt badne lagi jaise woh sunta ki falan , falan ne Islam qubool kiya. Agar naya Momin , samaaj mein uncha ruthba rakta, tho Abu Jahl use jhidaktha aur dhamkata ki woh apne maal aur izzat se mehroom ho jayega. Agar koi kam tabkhe ke log Momin bane aur Islaam qubool kare tho, Abu Jahl unhe khub peetha aur dusron ko bhi unhe sataane ko kahtha.
Yeh aam riwaaz ban gaya tha ki , mushrikeen kisi bhi naye Momin ko itna satate ki , usko jaan gawane ki naubath tak aa jaati. Khususan jab ke agar woh naya Momin koi kamzor tabkhe Ya qabila ka ho. Agar koi uncha ruthba rakhnewala Momin hua tho wih bahuth soch samajkar aage badte, kyun ki mushrikeen jo us ruthbe ki ho tabhi kuch kar sakte hai aur us Momin ke khilaaf taher sakte hai.
✨ MUSHRIKEEN KHULE AAM RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KI BURAYI KARNE SE BACHTE ✨
Kyun ke Rasool ( SalAllahu alahi wa sallam) ki izzat aur shohrath bahuth thi, aur Aap ek izzatdaar qabile se the, Aap ke dushman himmat nahi kar sakte the ki Aap se koi gustakhi karen jaise ke woh dusron ke saath karte the agar woh Islam qubool karen tho. Aap ek izzat daar qabile se tallukh rakhne ke alawa, Aap, apne chacha jaan Abu Talib, ki hifazath aur sarparasth mein the jinhe bade sardaar ki taur se saare log izzath kiya karte the.
Abu Talib , Banu Abdu Munaf ke jo ek aisa khaandaan tha jise na sirf Quraysh balki saare Arab ke log ki izzat haasil the , uske ek buland aur azeem shaksiyath the. Makkah ke log unhe azeem muqaam diya hua tha aur koi unhe beizzat nahi karna chahtha tha unke bhatije ko takleef dekar. Yehi wajah thi ki budhparasth bahuth soch samajkar Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke khilaaf jaane ki koshish karte.
In sab ne Abu Talib se baat cheeth karne ki sochi– baat cheeth jismein yeh unhe ishaara de sake ki Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) kaaage kya hone wala hai agar woh insab ke deen ke khilaaf kuch kahe.
💐💐💐💐💐💐💐💐💐
TO BE CONTINUED……
END OF PART 35…..