Assalamu alaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 34
Zulm aur sitam ka daur shuru hua ( continued)
Ammaar bin Yasir aur unke walid aur walidayen , Banu Makhzoom qabile se the, jiska sardaar Abu Jahl tha. Abu Jahal ke saath , qabile ke alag alag log Ammaar aur unke khaandaan ko Abtah le jaate aur unhe wahan ki kadak dhoop mein chod dete.
Rasool (.SalAllahu alaihi wa sallam) ne unlog ki haalath dekhi aur unhe nasihath di ke woh apne Imaan se na dagmagaye aur kaha: .” Sabar! Oh Yasir ke khaandaan walon. Aaplog ki manzil Jannat hai. Ya Allah! Yasir ke khaandaan maaf farma!” Aur woh apne Imaan par date rahe. Yasir, Ammaar ke waalid jab tak inteqaal na farmaye tab tak zulm sahte rahe.
Sumayyah bint Khayyat, ( R.A) , Ammaar ke waalidayen, Anu Hudhayfah Makhzoomi ke gulaam the. Yeh naazuk, kamzor budhi aurat inteqaal farmaye aur Islam mein pahele shaheed ka rutba aur izzat haasil kiya jab Abu Jahl ne aapko sharmgah par tez bharchi se mara.
Ammaar ke liye, zulm bardaashth ke bahar ho gaya. Mushrikeen unhe daak ka kurta ( faulaad se bana) pehnate aur us par wazandaar laal pathar unke seene par rakte. Zulm aur musibath se pareshaan hokar aap woh sab kah dete jo mushrikeen aap se kahne ko kahte. Lekin , dil se
pakke Imaan wale rahe.
Ammaar, gamgeen rahte the ki dil aur ruh ke saamne aapka jism dhoka de raha hai. Ammaar aur unke momin saathiyon ke dilon ko sukoon mila , jab Allah( swt) ne ye ayyah naazil karte hue farmaya ki woh Dil ke andar ke Imaan ko dekta hai, usko nahi jo uske bande ki zubaan kahti hai jo zulm se kamzor ho gayi ho.
” Jo Imaan laakar Allah ka munkir ho, siwaye iske jo majboor kiya jaye aur iska dil Imaan par jama hua ho. — haam woh jo dil khol kar, kaafir hua , inpar Allah ka gazaab hai aur in ko bada azaab hai!”📌 ( 16:106)
Jab ke kuch logon ka apne qaum me se muqalifana umeed kiya ja sakta tha, yeh ajeeb baat thi ke jo naye momin hue unke khareebi rishteydaar bhi is zulm aur sitam karne ke saazish mein shaamil ho gaye. Apne budhon ki sarparasthi mein inke dilon se mohabbat hi dur ho gayi.
Jab Mus’ab bin Umayr ( R.A) ne Islam qubool kiya, tho, aapki ayesh ki zindagi khatam ho gayi. Aap ki walidayen ne aapko khana aur pina dena rok diya aur aapko ghar se nikaal diya. Bekas, tanha aur paida ki hui maa se tukra gaye the, aap ko bedardi se sataya gaya, aapke jalladon ne aapki chamdi ko aise kheencha jaise koi saanp ki chamdi ko kheenchte hai.
Suhayb bin Sinan Rumi ( R.A) aur ek momin the jispar itna zulm aur sitam kiya gaya ki aap apni zubaan par khaabu karna bhul gaye, aur woh badbadate jo inke jallad kahte rahte.
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 34.