SABAQ 32

 

 Assalamu alaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu
 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam) 
 
 SABAQ 32
 
🔻 Zulm aur sitam ka daur shuru.

 

  Islam ke shuruaath mein  Muslims par zulm aur sitam ka daur bahuth hi kharab  daur raha hai. Kitne hi dil ko rulaane wale haadse guzre jisme mein Muslims ko aziyat( takleef) diye gaye aur kitno ko  Quraysh apne haath se qatl kar diye. Buniyaadi Muslim firqae ke ajthemayi( jama hue) yaadon ki fehrist mein hamen zakhmen aur zakhmiyon ki qatlen, zulm jo in logon ne saha hai milengi., aur is Muhammad ( SalAllahu alaihi wa.sallam) ke Seerah mein humne Aap ke Sahabiyon ke , mureedon ke zindagi aur mauth ka zikr  mila diya hai, jo Aap Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki wahiyon ko sach mana hai aur Allah( swt) aur Uske Rasool par Imaan laya aur usi ke liye apni zindagi qurbaan kardi.
 Bilaal bin Rabah.( radiAllahu ‘ anhu) , Umayya bin Khalaf ke gulaam the. Umayya bin Khalaf , Abu Jahal jo Islam ka kattar dushman tha , uska  saathi  tha. Apne gulaam ki ruhani azaadi ke dawe se sakth naraaz tha, aur Umayya unhe gale mein rassi baandhkar bazaar ke shareer ladkon ke hawale kartha. Jaisa woh ladke unhe khinchthe hue le jaatw, Bilaal kahte rahte ” Ek hai!” “Ek hai!”jiska matlab “Tawheed”  se hai.
 Umayya , Bilaal ko kadi dhoop mein dophar ke waqt bahar lata, aur unhe behad garm reti par dhakel deta aur unke seene par bada pathar rakh deta. Tab woh  Bilaal ( R.A)  se kahta ” Ab, Khuda ki taraf se, tu yahan lete rahega, jab tak lete rahega tab tak mar na jaye ya phir Muhammad ka inkaar na kare aur Laat aur Uzza ki ibaadat kare “
 Bilaal ( R.A.) un musibaton ko sahte aur bardaasht karte , apne Allah( swt) par  Imaan ka dobara tasdeek karte aur pukaarte “Ek hai!” “Ek hai!”.
Akhirkaar, inki musibaten kam hui jab Abu Bakr ( R.A) ne Bilaal( R.A) ki dekha jab aap wahan se guzar rahe the. Unki daulat ab ek hathyaar ban gayi thi Allah ( swt) ki raza haasil karne, aur aap ne Bilaal.( R.A) ko khareed liya aur unhe azaad kar diya.
 Amir.bin Fuhayrah ( R
A) ek aur buniyaadi momin the jinhone itni maaren aur zulm sahe jo itni berahmi se aap par kiye gaye ki aap apno hosh kho baite aur kuch kahne ki salahiyath hi bhul chuke.
 Aflah( R.A) jise Abu Faqih bhi kaha jaata hai, Banu Abdul Dar ke gulaam the. Inhe zayadatar dophar ki kadi dhoop mein  bediyan daal kar bahar le jaya karte the aur zabardasti reth par bina kapdon ke litaya karte the, aur seena par wazan pathar rakte the. Kabhie kabhie dard aur takleef se aap behosh ho jaya karte. Ek baar tho mushrikeen ne aap ko pair se lekar gardan tak rassi se baandh diya aur unhe ragadte hue legaye jab tak ki aap mauth ke khareeb na aaye. Akhirkaar, inhe Abu Bake ( R.A) ne bacha liya,jo ye na dekh sake ki ek saathi momin par itne zulm kiye jaa rahe hai aur unhe azaad kar diya. Aflah( R.A) un pahele mominon mein se ek hai jo baad mein Abyssinia ko hijrath kare.
 Khabbab ibn Al-Aratt ( R.A) jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke mashoor Sahabiyon mein se hai, inhe Banu Khuzaa ki ek aurat Umm Anmar bint Sabaa’ ne laya tha. Woh lohaar the, aur aap ka yaqeeda Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallan) par chudane ke liye Umm Anmar ne inke peet par unke hi auzaar se jalakar nishaan kar diye the.
 Dusre bhi inpar zulm karne shaamil ho jaate. Woh log aapki gardan marod dete, aap ke baal khinchte, aur aap ko jalte hue koylon( coal) par dhakel dete. Unpar wazandaar pathar rakh dete taake woh harkath na kar paaye. Muajize se ( karaamat) se aapka imaan har khadam mazbuth hote jaa raha tha, jaise appko har khadam imaan se peechey karne ki koshish karte.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED……
END OF PART 32…..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s