SABAQ 42

Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
 
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam) 
 
SABAQ 42
  • 🔻 Abyssinia ki taraf hijrath ( continued) 
  • 🔻Mushrikeen bhi Mominon ke saath sajda karne lage.
  • 🔻 Abad kar ( jo watan chod chuke ) ki wapasi.
 Pahla Mominon ka group, Mahe Rajjab mein hijrath kiya, Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Rasool banne ke paanch saal ke baad. Barah(12) aadmi aur chaar(4) auraten thi jo Bahra -e-hamar (Red Sea) ke paar safar kiya. Uthman bib Affan ( R.A) is group ke sardaar the , jo apni biwi Ruqayyah ( R.A) jo Rasool( SalAllah alaihi wa sallam) ki beti thi , unke saath hijrath kiya. Unlogon ki apni marzi se jalaa-watan( apna watan chod dena) , Ibraheem( alaihi salaam) aur Luut( alaihi sallam) ke zamane se yeh pahela misaal bangaya jahan khandaan ne deeni aur mazhab ki wajah se hijrath ki .
 Ek din  aadhi raat ke baad ek chota sa abad kar ka group Makkah se phisal kar Shai’ba, ek bandargah jo Jeddah ke junubi hisse mein hai, wahan ka ruq kiya. Kushkismati se wahan par do sammani jahaaz the. Unlogon ne us jahaaz par sawaar hue aur Abyssinia ka safar tay kiya. Wahan par aap logon ko panah mili jabtak ke Allah(swt) ne aap logon ka raasta Makkah wapas aane ka mehfus na kar diya. 
 Jab Quraysh ko pata chala ki ek majma Makkah chod kar bhaag gaya, unlogon mein gusse ki aag bhadak uthi. Unlogon ne jaldi se apne kuch log wahan bheje taake unhe wapas laye aur unhe sabaq sikhaye, jisse woh apna Imaan rad karde. Bahre haal , Quraysh bandargah pahunche , magar der ho chuki thi— Momin , pahele hi apna safar tay kar chuke the. Quraysh thakehaare, naummeed hokar wapas Makkah aa gaye aur apna dusre tarkeeb sochne lage.
 MUSHRIKEEN BHI MOMIN KE SAATH SAJDA KARNE LAGE  
 Lagbhag Abyssinia ki taraf hijrath ke do mahine baad, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) , Ka’bah aaye. Quraysh ke  bahuth saare log wahan maujud the, unke sardaar ,qabile ke bade aur ameer log saare wahan baite hue the.
 Qur’an ka Surah jiska naam An- Najm hai , woh abhi abhi Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko naazil hua tha. Achanak Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) khade hue, aur Quraysh ke saamne, us Surah An-Najm ki tilawat karne lage. Quraysh chupchaap dekte rahe. Kisi ne bhi ab tak itne zordaar alfaaz nahi sune the.
 Woh hairaan ho gaye: Muhammad, unka kattar dushman, unke saamne khada hokar tilaawath kar raha hai aur woh baybas ho kar dekh rahe hai. Koi bhi Aap ko rok nahi paya, aur koi bhi Aap ka mazaak nahi uda saka.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , Surah ki aakhri ayaah par pahunche, aur ayaah ko mukammal karne ke baad Aap sajde mein gaye, apna sir zameen par rakhkar , apne Allah ki ibaadat mein, jo saari kainaath ka Rab hai.:
 “Allah ke saamne sajda karo aur uski ibaadat karo”. 📌( 53:62).
Maujiza taur par, Saare Quraysh , is tilaawath se itne mutassir hue ki woh bhi Aap ke saath sajde mein jhuk gaye. Ibn Mas’ud , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam( ke Sahabiyon mein se ek hai, farmaya ki jo Quraysh wahan  us din  maujud the, un mein se ek, Umayya bin Khalaf, ” mutti bhar mitti liya aur apne peshaani par ragadne laga aur kaha, yeh mere liye kaafi hai”. Ibn Mas’ud ne aage chalkar Umayya ko Jung-e-Badr mein qatal hote dekha.
 
 ABAD KAR KI WAPASI 
 Yeh khabar ke kaise Quraysh ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa salkam) ki  Qur’an ki ayaah ki tilawath sun kar sajda kiya, Abyssinia ke Mominon tak pahunch gayi. Aisi afwah phaili ki Quraysh ne Islaam qubool kar liya. Khusi se woh Abyssi ia chodkar Arabia ka safar tay kiya.
 Jaise hi woh sab Makkah ke sarhad par pahunche, unhe pata chala ki kuch bhi nahi badla. Quraysh abhi bhi Islam ke khilaaf hai aur Makkah abhi bhi dushmani sarhad hai. Naummeed hokar kuch log Abyssinia wapas jaane ka iraada kiya, aur kuch log Makkah mein dakhil ho gaye aur kuch meherbaan gair momin ke paas panah liya.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED……….
END OF PART 42….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s