SABAQ 40

Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
 
SEERAH OF MUHAMMAD  (SalAllahu alaihi wa sallam)   
 
 SABAQ 40
 
🔻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par zulm aur sitam
Quraysh sahi the apne bure bartaav ke sabab se , kyun ki Allah( swt) Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki dua qubool kiya aur inhe inke azaabon ki saza di. Jung-e badr jo Muslims ki Makkah ke mushrikeen se paheli jung thi, woh har ek shaks jiska naam Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne ibaadat mein liya tha woh sab jung- e -maidan mein halaak ho gaye.
 Aisa lagraha tha ke Islam ke dushmanon ki tadaad Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahabiyon se jyada thi. Saare mashoor shaksiyaath, siwaya kuch samajdaar aur khushkismat jaise Abu Bakr( R.A) aur Uthman ( R.A) ko chodkar baqi sab  apni daulat aur taaqat Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke sath zulm aur sitam karne mein lagaya. Abu Jahl ke alawa, paanch aur ahem shaks the jinhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath zyathi ki. Woh hai Waleed bin Mugheera Makhzoomi, Aswad bin Abd Yaghuth Zuhri, Abu Zam’a Aswad bin Abdul Muttalib Asadi, Harith bin Qays Khuzai aur As bin Wa’il Sahmi.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne apni muhim ke ejaad ke baad, jitne bhi saal Makkah mein Aap ne guzara us waqt Aap ne ek baar bhi kisi se baadla nahi liya. Aap Allah( swt) ke wade se mutmayeen the ki Woh Apne Aap se mukhalifon aur badnaam karne walon se maheda karega. Akhri mein Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke zaalim dushman ko takleef bhari mauth mili.
 Waleed bin Mugheera ko sirf ek theer ki noch padi, aur usne socha ki kuch nahi hua. Lekin jab farishte Jibra’eel ( alaihi salaam ) ne use noch ki taraf ruju kiya tho woh zakhm jalna shuru kiya. Woh zakhm Waleed ko itne saal sataya ki woh akhir kaar guzar gaya.
 Usi tarah , Jibra’eel ( alaihi salaam) ne Aswad bin Abd  Yaghuth ke sir ki taraf ruju kiya aur uske sir par phoday hue juski wajah se uski mauth ho gayi. Ek aur zariye mein ye bataya gaya hai ki yeh phode uske sir par suraj ki garmi ya lu ke wajah se hui jo Jibra’ eel ( alaihi salaam)  usko pahunchaya tha. Ek aur riwayath se yeh pata chala ki  Jibra’eel( alaihi salaam) ne Aswad ke pet ki taraf nishaana  kiya aur uska pet phul gaya , jiski wajah se uski mauth ho gayi.
 Jab Aswad bin Abdul Muttalib ka zulm Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par had se zyada ho gaya, tab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Allah( swt) se uski aankhon ki binayi “khinchne” ke liye kaha aur usko baap banne ke darje se mehroom karne ko kaha. Aap ke dua ke jawaab mein , Jibra’eel ( alaihi salaam) ko bheja gaya, thaake woh uske chehre par kaantedaar jhadi se waar kare taake Aswad apni binaayi kho baite. Aur phir aap ne uske bete par waar kiya jisse woh guzar gaya.
 Harith bin Qays, in paanch Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke kattar dushman jiske naam upar bayaan kiye gaye,   mein ka akhri tha jo khatarnaak mauth ka shikaar hua. Jab woh mauth ke bistar par leta , uska  pet pheele siyaal se bhar gaya aur jo kuch uske anthadiyon mein tha  , woh sab uske naak ke zariye bahar nikalne laga.
Ruhaani madakhilath aur azaab un sab par jaari hua jo Islaam ke khilaaf  zor o shor se apni awaaz uthaye, magar zayada tar Rasool  ( SalAllahu alaihi wa sallam) khamoshi se sabr karte aur khud hi mushkilaath uthate, jaise ke Aap se pahele ke Paigamberon be uthaye. Aap ka sabr aur pokhtha Imaan dekhkar, dusre momim bhi mazboot ho gaye jab unpar Allah ki raah par chalne ke liye zulm kiya gaya. Zubani buraa bartaao aur jismaani  zulm jaari raha, is liye Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) usse bachne ke alag alag tareeqe  socha karte the. Aap ne do tareeqe apnaye apne kamzor mominon ki hifazat karne ke liye.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 40….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s