SABAQ 20

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam) 
 SABAQ 20
 
  •  🌻 Paheli wahi tableeq ke nizbath mein ( continued)
  • 🌻 Mount Safa ki choti se aaqha

 

Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke samayeen Aapko bolne ka pura waqt diya. Aap ke chachajaan Abu Lahav akele bolne lage, 
👉” Inhe rokiye isse pahele ke saara Arab ikkata Inke khilaaf na ho jaye. Agar aap log Inhe unke hawale kardiye tho aap sab ko zillat uthani hogi. Aur agar aap sab Inhe bachane ki koshish karenge, tho qatl kiye jaoge.” 
🌻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke dusre chachajaan , Abu Talib ne kaha:- 
👉 ” Main Allah(swt) ki khasam kha kar kehta hun ke hum Inke hifazat jab tak karenge tab tak ham salamat aur zinda hai”. Abu Talib ne phir apne bhateje se kha, ” 
👉” Aap us kaam ko mukammal kijiye jiska Aap ko hukum diya gaya hai. Allah( swt) ka wasta , main aap ki hamesha hifazat karunga, halanke main  Abdul Muttalib ka mazhab tarq karna pasand nahi karunga.”
MOUNT SAFA KI CHOTI SE AAQHA ✨
🌻Usi dauraan Allah ( swt) ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam se kaha:
👉” Khule aam elaan kardo jo Aap ko hukum diya gaya, aur shirk se parhez karo.” 
👉Allah(swt) ki hukum ki tameel karne ke liye, Aap Pahad Safa ki choti par chadne lage, Mount Safa ek choti pahadi Ka’bah ke khareeb hai, aur oonchi choti se pukaar ne lage: 
👉”Ta Sabahah !”
🌻Pukaar “Ya  Sabahah” aam taur se awaam ko aane wali musibaten, achanak hamle ya dusre bade affaton ka aaqha karne ke liye pukaara jata tha. Ek dafa Aap ne Makkahwalon ka aaqha kita tha ke kuch mushkilaat unpar aane wali hai, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) har parivaar aur har gharwalon ko naam se pukaara: 
👉” O Fiher ke farzandon! O Adiy ke farzandon!  O Abdu Munaf ke farzandon! O Abdul Muttalib ke farzandon! O ………..”.
🌻Logon be apne apne naam ki pukaar suni aur Pahadi Safa ki taraf daudne lage. Jo khud na ja sake wo apne apne numaindon ko apni taraf se bheja ki woh jakar dekhe ki wahan kya ho raha hai. Jab saare ikkatta ho gaye tab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  ne kaha: 👉 ” Agar main bolun ke ghudsawar hamari oor hamla karne ke liye pahadi ke us oor ki vadiyon se aage bad rahe hai , tho kya aap sab mujh par yaqeen karoge? “
 
🌻 “Haan” sab ne pareshaan hokar  jawaab diya Aap ka sawaal sunkar . “Hum Aap ko hamesha imaandar aur saccha paya” tab Aap ne unse kaha: 
👉” Main aap sab ko aaqha karne ayaa hun ke  aap sab par bada azaab pahunchne wala hai. Main dekh raha hun ke dushman aap ki taraf badh raha hai, aur main chahatha hun ke aap ki hifazat  karun unke talwaar se, lekin main darta hun ke main aap sab ko aaqha karne se  pahele woh hamla  na karde. Isliye main ne aap sab ko is choti se awaaz di .”
🌻 Is wazeh  mussahbiyath ke baad Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne unse kaha ki woh sab apne aap ko yeh kahkar bacha len ki Allah ek hai, aur Aap Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) uske Paigamber hai. Aap ne unhe yeh bhi samjhaya ki Aapki Shahadah hi ek aisa marhala hai jo hame is duniya mein aur iske baad ki duniya ( aakhirath)  se najaath dila sakta gai.Aur Aapne   yeh bhi samjhane ki koshish ki ki agar  woh shirk karna jaari rakhte hai aur Paigamber ki  awaaz ki naafarmaani karte aur Aapke paigaam ka inkaar karte, yeh sab Allah( swt)  ki sazaa ke haqqdaar  banjaate.aur Aap Rasool( Sal Allahu alaihi wa sallam)  unhe bacha bhi nahi sakte haalanke  Aap Allah( swt) ke Rasool hai, unhe bacha na payenge. 
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 20.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s