Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ53
Ek aisi peshkash jo aam insaan inkaar na kar paaye ( continued)
Saudebaazi aur Dastbardari.( tark karna)
Utbah phir wahan se nikala aur seedhe apne saathiyon ke paas pahuncha. Jaise hi woh , unki taraf badhne laga, unlogon ne unke chehre par ek ajeeb izhaar dekha. Sab unse puchne lage ki kya hua, aur Utbah ne saara waqiyah sunaya , jo unke aur Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke darmiyaan hua:
” Maine ek bayaan suna , aisa jo maine kabhie nahi suna. Khuda ki kasam khakar kahtha hun , Aye Quraysh! Ke woh koi shayari nahi, nahi koi jinn ka asar ya jaadu tona. Meri baat maano aur us shaks ko akela chod do. Khuda ki kasam, kuch ajeeb( hairath karne wali) hone wala , main jo suna usse bhi zyada . Ab, agar Arab inka qatl karte hai, toh tumhara kaam , dusron se mukammal hoga, aur agar yeh shaks Arab ko kabze mein le liya, uski baadshaahi , tumlog ki baadshaahi hogi, uski izzat tum log ki izzat hogi, aur woh tumhare liya khushnaseebi ka zariya hoga.”
Utbah ki mehfil unpar shaque karne lagi. ” Unke zabaan ka jaadu tum par chad gaya hai,” logon ne kaha. ” yeh mera kahna hai,” Utbah ne jawab diya. “Ab tumlog jo beheter samajthe ho woh karo.”
✨ SAUDEBAAZI AUR DASTBARDARI ✨
Agar Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko lalach dekar apna Imaan tark karane mein kaamyaab na hone par, Makkahwale sochne lage, ki shayad Aap samjhautha karlenge. Unlog ne ek jamaath ko Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas bheja , yeh tajveez karte hue ki kaise dono taraf ke jhagde ko khatam karke , dono khush rahenge. ” Hum Aap ke saamne ek tajveez pesh karenge , jo Aap ke liye , masaail sahi kar degi,” bade guruur se unlogon ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se kaha.
” Woh kyaa hai?” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne pucha.
” Aap hamare khudaaon ki ibaadat ek saal(.baras) kariye,” unlogon ne samjhaya, “aur hum Aap ke Khuda ki ibaadat ek saal karenge,. Is wajeh se , agar hamara deen sahi hai, inaam mein se kuch hissa Aap ko mil jayega, aur agar Aap ka deen sahi hai, toh hame hissa milega.”
Quraysh ki Is tajveez ke jawab mein , Surah Al-Kaafiroon ( Be-Imaan wale) naazil hui thi:
“Tum farmaao! Aye kaafiron! Kya tum mujhe hukum dete ho , Allah(swt) ke siwa main kisi aur ki ibaadat karun? “📌(39:64)
Dusri ayaah bhi , Quraysh ki tajveez ke silsile mein hi naazil hui, aur yeh hame is baat ki taraf ruju karti hai:
” Farmaao: mujhe mana hai uski ibaadat karna , jiski ibaadat tum karte ho.”📌(6:56)
Makkahwale , bahrehaal, abhi tak yehi soch rahe the ki , woh Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) se saudebaazi kar sakte hai.
“Is Qur’an ke badle tum dusri le aao,”.woh zor dene lage. “Ya Is mein kuch tabdiliyan karo jo maujuud hai.”
Is azizi je jawab mein , Allah(swt) ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se kaha:
“Aur jab meri saaf ayaah inhe sunayi gayi, woh log jo mujhse milna nahi chahte , kahte hai ‘dusri Qur’an laao ya jo maujuud hai use tabdeel karo’. Unhe kaho: main khud use tabdeel nahi karsakta. Main use hi amal karta hun mujh par naazil hui. Aur main darta hun ke agar maine nafarmaani ki mere Rab ki, mujhe bada azaab hoga, Qayamath ke din”.📌(10:15)
Dusri ayaah bhi naazil hui jo yeh saaf saaf bayaan karti hai ke Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , budhparasthon ki saudebaazi mein koi hissa nahi lenge, balki, unhe yeh paigaam denge , waise hi jaise Aap par yeh naazil hui:
“Woh tumhe bhatkayenge uspar se jo tum par naazil hui, is umeed par ke usmein kuch todmod karenge Mere naam se. Woh beshaque tumhe apna dost banayenge. Aur agar main tumhe taaqat na bakshtha, tum unki taraf thoda jhuk jaaoge. Aur agar tum kuch aisa karte, toh main tumhe do hisse zyada azaab mein daal deta , is zindagi mein aur do hisse zyada mauth ke baad, aur tumhe koi madagaar nahi milege Mujhse bachane ke liye.”📌( 17:73-75).
🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒
TO BE CONTINUED……
END OF PART 53………