SABAQ 47

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu  
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)  
 SABAQ 47
 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par aur zyada zulm aur sitam(continued)
 Abu Bakr ( R.A) ne bahuth badi keemat chukayi Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki bachane ki. Bheed ne aap ko berahmi se itna maara , ki aap ka chehra chuknachur ho gaya aur aap ki naak , aapke chehre se alheda ho gayi. Banu Taym ke log aap ko lapet kar unke ghar le gaye. Unhe pura yaqeen tha ki , Abu Bakr (R.A) dusra din dekne ke liye zinda nahi rahenge.
Lekin, Abu Bakr (R.A) ne is bure hamle ko jhel liya. Us din shaam ko aapne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki khair khairiyath puchi. Banu Taym ke log inhe gussa kiya , aapke  Rasool ( SalAllHu alaihi wa sallam) ki taraf pokhthi imaandaari ki dekh kar aur woh log wahan se chale gaye.
 Apni khud ki saheth ki parwah kiye baiger ,Abu Bakr (R.A) khane pine se inkaar kar diya, aur zid karne lage ki aap Rasool ( SalAllahu alaihi wa salkam) ko dekhenge , taake unhe yaqeen ho jaye ki Aap sahi salamath zinda hai. Akhirkaar, ghere andhere
mein aapko ko Dar Al-Arqam, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas le jaya gaya. Wahan unhone Aap ka dedaar kiya aur phir tab kuch khaya aur piya.
 Abu Bakr ( R.A) ko zyada se zyada zulm aur takleef sahni padi, Makkah ke mushrikeen ke haathon jab tak ke aap ne faisala kiya ki aap Abyssinia ko hijrath karenge. Is maqsad se aapne Makkah choda aur us jaghe ka safar tay kiya jo Mominon ka panahgaar ban gaya tha. Jab aap Bark Ghimad, pahunche, aapki mulaqaat Malik bin Dughunna , jo Qara aur Ahabish ka sardaar tha  , unse hui. ( yeh aaplog sabaq  ke aakhiri mein Note Refer kar sakte hai.)
 Malik ne aap se pucha ki aap kyun Makkah ka tark kar rahe hai. Jab Abu Bakr( R.A) ne kaha ki woh Abyssinia ki taraf hijrath kar rahe hai, tab Malik ne uska inkaar karte hue kaha:
 “Aap jaise shaks ko is tarah nahi nikala ha sakta. Aap ne kitne hi besaharon ki madad ki, aap apne rishtedaron ke saath bahuth ache se pesh aate ho, aap gareebon ka boojh utathe ho, apne memaan se achi tarah mehmaan nawazi karte ho, aur aap un sab ko hamdardi ki baaten aur sukoon pahunchate ho jo sacchayi ke liye takleef jheli hai. Main kasam khata hun ki main aapki hifazat karunga. Aao mere saath chaliye aur aap ke shaher mein aap ke Rab ki ibaadat kijiye.”
 Abu Bakr( R.A) ne Malik ki kasam unki hifazat karne ki,  qubool ki  aur dono ne wapas Makkah ka safar tay kiya. Malik bin Dughunna ne elaan kiya ki Abu Bakr (R.A) ab uski hifazat mein hai.
 Quraysh ne Malik ke hifazat ka wada qubool kiya,  lekin ek sharth pe ke Abu Bakr ( R.A) sirf apne ghare mein hi ibaadat kar sakte hai taake unhe koi bhi na dekhe. Mushrikeen ko dar tha ki kahin unki auraten, bacche aur dusre naamcheen log , kahin Islam ke khule aam numaish se mutaseer na ho jaye. 
 Abu Bakr ( R.A) kuch din tak is sharth ko barkharar rakha. Phir kuch arse ke baad aap ne apne hi aangan mein , ek ibaadat ki jagah muqarar ki aur usi jagah ibaadat karna aur Qur’an ki tilwaath khule aangan mein karne lage. Jab yeh baat Dughunna ko pata chala , tho aapko yaad dilaya ki woh kis sharth par unki hifazat karne ki kasam khayi hai. Abu Bakr ( R.A) ne use uski kasam se azaad kar diya yeh kahte hue ki:
” Main us par haami bhartha hun jo hifazat aur guarantee mere Rab ne mujhe di”
Abu Bake( R.A) na hi sirf sakth the, balki aap narm dil wale the. Qur’an, jo nemathon sur saza ka wada karti hai, jo Allah( swt) ki kainaath ka bayaan karti hai, aur jo apne guzre hue paigamberon ki tafseel bayaan karti hai, aankon mein aason lati hai. Jaise Qur’an ki ayaah ki tilawath kita karte the, Abu Bakr (R.A) roya karte the. Auraten aur bacche , aap ke irdgird jama ho jaathe, aur hairaan hokar dekha karte ki Qur’an ki tilawaath ke baad kis tarah aap emotional ho jaate. Quraysh ke aadmi , yeh sab zyada din tak bardashth nahi paye aur nayi tajveez sochne  lage aapko pareshaan karne ke liye.
❗ NOTE:-
qara: ek mashoor qabile ka naam.
Anabish: Arab ke kayi qabile ka majma jo is baat par khayam kiya gaya ki , woh sab apas mein miljhul kar rahenge.
🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 47……..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s