Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 54
Saudebaazi aur Dastbardari ( continued)
Ek baar jab Makkahwalon ko samajh aa gaya ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apne Imaan ke pakee aur sacche hai, or koi samjauthe ke liye tayaar nahi hai, toh woh log irada karliye ki woh malum karenge ki kya Aap waqih mein Paigamber hai ya phir apne aap ko khud hi paigamber samajh baite hai.
Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka imtihaan lene ke liye Makkahwale , kuch Yahudi aleemon ki rahnumayi li. Yeh aleem log Makkahwalon se kaha ki , woh Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas jakar theen(3) sawaal kare, aur agar Aap uske sahi jawaab de diye,toh beshaque
Aap paigamber hai. Agar, kisi bi haal mein , Aap un sawaalon ka jawab na de paye , toh woh phir beshaque ek behrupiya hai.
Pahele, woh yahudi aleem , Makkahwalon se kaha ki woh log Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) se us naujawanon ke naqabile yaqeen kahaniyon ke baare mein puche , jo unki
Kitaab( tohra) mein hai. Dusra sawaal us shaks ke silsile mein tha , jo mashreeq se lekar magreeb tak safar kiya ho. Theesra, unlog ne Makkahwalon ko hidayath di ki woh log Muhammad( Sal Allahu alaihi wa sallam) se ruh ke baare mein puche. Quraysh ke sardaron ne yeh sawaal Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) se pucha aur iske jawaab mein Surah Al-kahf ( gaar) naazil hui.
Yeh Surah, kuch naujawaan ladkon ki kahani bayaan karta hai, jo mushrikeen ke haathon sataye jane ke baad gaar mein panaah li. Allah ( swt) ne unhe sauon( 100s) ki gheri neend mein daal diya, aur phir unhe uthaya, qayamath ki aane ki din ki nishaaniya banakar. Is Surah mein Dhul Qarnain ki kahani ka bhi bayaan hai, woh shaks jo saari duniya ghuma tha. Akhiri mein , theesre sawaal ka jawab Surah Al-Israa ke zariye diya gaya:
” Woh tumhe ruh ke baare mein puchte hai. Kaho: Ruh toh Mere Rab ka mamla hai, aur insaan is ki bahuth kam khabar rakta hai.”📌(17:85)
Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ne saare jawab sahi diye, jo rabbis ne Quraysh ke zariye puchne lagaye. Jab ki ab Makkahwalon ke paas sabooth tha ki Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) sacche paigamber hai, unko mushikil faisle ka saamne karna pada. Woh abhi bhi Islam qubool karne ke liye tayaar nahi the bina hichkichahat ke , jaise Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke sahabiyon ne qubool kiya.
Iska natija, unlog ne yaqeen kiya, ke woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se kahenge ke, unhe Islam mein dakhil hone de ek aam momin ku tarah nahi, balki momin ki tarah jiski khaas haisiyath hogi. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke lagbhag maanne wale , Makkah ke niche tabqe ke log the, ala darje ke Quraysh
Yeh nahi chahte the ki unka jama , unse kam tabqe ke logon se kiya jaye. Yeh maqsad se yeh sab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se baat cheet karne pahunche.
Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , azeem Makkahwalon ko Islam qubool karane mein itne bachain the, ki shayaad is faisle ke raaste mein Aap unki sharth bhi qubool karlete. Magar Allah( swt) ne unhe hukum diya ki woh apne is khwaish ( fitne) ko thaam le , is ayaah ke zariye:
” Wapas mat bhejo , unlog ko jo apne Rab ki Surath ko subah shaam dundthe aa pahunchte hai. Tum unke jawabdaar nahi hai, nahi woh tumhare. Agar tumne ,unhe wapas bhej diya, toh tum zaalimon mein ho jaaoge.”📌(6:52)
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko is tarah rok diya gaya , Islam ke daayre se , Quraysh ko koi azeem haisiyath dene se , Is wajeh se , Islam mein koi tabqe , koi unchbeech maujuud nahi hai. Iska yeh matlab hai ki koi Momin bhai , apne dusre momin bhai se kisi bhi cheez mein chata bada nahi hota, siwaye apne Imaan aur ache amaal ki wajeh se, .
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED….
END OF PART 54.
I see you don’t monetize your page, don’t waste your traffic, you can earn additional cash every month
because you’ve got hi quality content. If you want to know how
to make extra $$$, search for: Boorfe’s tips best adsense
alternative
LikeLike