Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 49
Umar bin Al-Khattaab ne Islam qubool kiya. ( continued)
Ek din Umar(.R.A) ne apne ghar se nikla aur Muqaddas Ka’bah ki taraf rukh kiya jahan aap ne Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko ibaadat karte dekha aur Aap ko Qur’an-e-Azeem ka Surah Al Haaqqah( 69- Sachaayi( Haqeeqi) , ayaah 40-43) ki tilaawath karte suna.
Allah( swt) ke alfaaz aapko pasand aaye aur yeh lafz aapke dil ke kone ke taaron ko chu liya. Unhone mehsus kiya ki , yeh alfaaz tho kuch ajeeb tahreer se liya gaya hoga aur sawaal karne lage logon ke ilzemaath ko , us shaks ke nisbath jo ashaayar tahreer karta ya us najumi ke alfaaz jise woh Qur’an -e-Azeem se jod deta hai.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aage tilawath karne lage:
” Yeh beshaque wahi alfaaz hai jo baizzat Paigamber ( i.e. Jibra’eel ( alaihi salaam) )ne kahi hai. Yeh alfaaz kisi shayaar ke nahi hai, yeh aur baat hai ki tumhe yaqeen nahi! Nahi yeh alfaaz kisi najoomi ke hai, yeh aur baat hai ki tumhe yaad nahi! Yeh Wahi hai jo naazil hui hai us Rab se jo “Aalameen” ( Saare Insaaniyath, Jinnaath aur kainaath) hai.
Us waqt hi Islam unke dil mein jagah kar li thi. Lekin, Islam se pahele ke rughbat( taur tareekhe) ke ghane andhere parath, ghere buniyaad paidayeshi riwaazen aur iske alawa apne baap dada ka andha gamand in par haawi hogaya, jiski wajeh se yeh bade sach ke ehsaas se bhi dur hai aur inka dil Islam aur Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf pokthe taur se khilaaf raha.
Inki khilaafath itni bad gayi ke , ek waqt aisa aaya ke aap us din apni talwaar haath mein liye aur faisla kiya ki aap Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko qatl kar hi denge. Khushkusmati se , Umar( R.A) apna iraada pura karne mein kaamyaab nahi hue. Apni talwaar haath mein thaame aur apne dimaag mein faisla kiye, jab Umar(.R.A) nikle, tho aap ki mulaqaat Nu’aym bin Abdullah se hui , jisne aap se pucha, “Aap kahan ja rahe ho?”
” Main Muhammad ko khatam karne ja raha hun” unhone jawab diya.
” Kaise apne aap ko phir Banu Hashim aur Banu Zuhra se bachaoge?”
Is sawaal sunkar aap aur zyada gussa hogaye, aapko laga ki yeh inke liye chunauthi hai, Umar (R.A) ne jawab diya:
” Aisa lag raha hai ki tum ne apna Imaan tark kar diya”
“Umar!” Nu’aym ( R.A) ne uske jawab mein kaha: ” Tajjub ki baat yeh hai ki aapki bahen aur unke shohar ne bhi tumara deen tark kar diya hai.”
Umar ( R.A) bahuth gussa ho gaye, aur aapka dyaan Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se hat kar , apne khandaan ki taraf palat gaya. Gusse mein aakar, aap , apni bahen ke ghar ka rukh kiya. Us waqt , Khabbab bin Aratt , Umar ( R.A) ke bahen ke ghar mein maujud the, aur aap ki bahen aur unke shohar ko Surah Ta-Ha sikha rahe the.
Jab unhone Umar( R.A) ki awaaz apne ghar ke darwaze ke paas suni, Khabbab apne aap ko chupa diya, aur Fatimah, Umar ( R.A) ki bahen, jaldi se paper ke panne jispar Qur’an ki ayaah likhe the , chupa diye.
” Woh kya awaazen thi jise maine suna?”
Unlog dekh sakte hai ki Umar( R.A) bahuth hi gusse mein hai aur unke haath mein talwaar hai.
“Kuch nahi, hum tho sirf baat kar rahe the.”
“Ho sakta hai ki, tum dono ne apna deen badal diya ho”, Umar( R.A) ne kaha.
Aap ke bahenoyi ne kaha,
“Theek hai, mujhe baatao Umar. Kya agar tumhar deen sach se kaafi dur ho?”
Umar( R.A) ka jawab , bahuth jald aur shadeed tha. Aap apne bahenoyi par jhapte aur bade hi berahmi se maara. Jab aapki bahen , dono ko chudwane ki koshish ki , apne shohar ke bachavein, Umar( R.A) unke chehre par zor se maara. Unke gaal se khoon nikal raha tha, magar us waqt bhi Fatimah , sach bolne se nahi peeche hati.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED……
END OF PART 49…….