Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 46
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par aur zyada zulm aur sitam. ( continued)
Abu Jahal jaldi se apne saathiyon ki wafadaari ka faydaa uthaya. Dusre din subha hi, woh ek wazandaar pathar dhunda aur apne shikaar ke aane ka intezaar karte raha. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) hamesha ki tarah Ka’bah tashreef laye aur apni ibaadat karna shuru kiya.
Ka’bah ke irdgird jamaathon mein baite Quraysh , bahuth hi bechaini se intezaar kar rahe the ki Abu Jahal apna mansuba pura kare. Abu Jahal, apne aap ko us kinare aage badata gaya , jahan Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) taher kar apni ibaadat kar rahe the. Lekin, jaise hi woh apne shikaar ke paas pahuncha, achanak woh wahan se palta , aur us muqaam se bhaag gaya.
Quraysh ne Abu Jahal ko jakad liya aur dekha ki uska chehra lalpila ,surkh hogaya, uske aankhen khaali dikne lage, aur woh apne haathon mein abhi bhi pathar pakde hue tha. Dheere dheere woh parsukoon hua aur pathar ko niche giraya. Quraysh ne pucha, “Abu Hakam! Tumhe kya hua?”
“Main apna wada pura hi karne wala tha,” Abu Jahal ne samjhaya, “magar ek unth mere saamne nazar aaya. Khuda ki kasam, main kabhie bhi aisi khopdi, gardan aur daanth nahi dekhe hai, aur woh mujh par hamla karne wala tha. “
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne baad mein bataya ki jo manzar Abu Jahal ne dekha tha , woh asliyath mein Jibra’eel ( alaihi salaam) the.Quraysh ke dusre log, bahrehaal, Abu Jahal ke tajrube se beasar the. Jab Quraysh ki ek jamaath ne dekha ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ibaadat karte hue Ka’bah ka tawaaf kar rahe the, zor zor se Aap ke baare mein taane maar rahe the.
Is baat se mutasir hokar ki unke taane Aap ko takleef derahe hain, inlogon ne phir se dusri baar aur teesri baar Aap ki beizzati karne lage. Akhirkaar, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ruke aur unlogon ki taraf ruju hokar kaha:
“Aye Quraysh ke logon! Kya tum sab sun rahe ho? Main USKI kasam khata hun, jiske haathon mein meri zindagi hai, main tumlog ke paas badi zuba ke liye aaya hun”.
Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke alfaaz unlogon par bahuth zyada asar kiya jinhone Aapko tanz dekar taana maar rahe the. Kuch lamhe ke liye , yeh sab khamosh ho gaye, aur Aap ko khamosh kara rahe the , Aap se hamdardi ki baaten karke.
Agle hi din , usi jamaath ke logon ne Ka’bah ke paas jama hue aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke baare mein baat karna shuru kiya. Kuch hi der baad, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) wahan nazar aaye, yeh saare Aap ki taraf , bahuth hi gusse mein dauda. Aap ke kapde khichte hue, Aap se pucha, “Kya tum hi ho jo hame hukum diya hai , hum hamare baap dada ke khudaon ki ibaadat na karen?”
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) bilkul bahi ghabraye. Aap ne kaha ” Haan, main hi hun.”
Bheed saari Aapko charon taraf se gher liya, aur kuch log Aap ko dhakelne lage aur idhar se udhar dhakelne lage jabke dusre log beizzati karte hue , Aap par cheekne lage. Uqba bin Abi Mu’ayt ne , Aap ke gale mein lataktha hua kapda pakad liya ,aur Aapke gale mein daalkar dum ghotne laga
Abu Bakr ( R.A) ne jab yeh baat suni tho aap fauran Aap ko bachane ke liye bhaage. Aap ne Uqba ko , uske khaandon se pakda aur Rasool.( SalAllahu alaihi wa sallam) se dur khincha. Abu Bakr( R.A) ne chun chun kar , ek ek shaks ko Rasool.( SalAllahu alaihi wa salkam) se dur khincha, yeh kahte hue:
Tum par afsos! Kya tum log , ek shaks ko isliye maarna chahte ho kyun ke woh kahta hai ki Allah(swt) uske Rab hai?”
Ab bheed Abu Bakr (R.A) ki taraf rukh kiya aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko chod diya.
💕💕💕💕💕💕💕💕💕
TO BE.CONTINUED……..
END OF PART 46…….