Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 55
Sazaa ke liye jaldi karna
Abu Taalib ne Bani Haashim aur Bani Al-Muttalib ko ekkata kiya.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko apne khandaan ke logon ke paas bhi bheja gaya taake Aap unhe chetavni dene ki , agar woh log isi tarah apne Imaan ki khilaafath karte rahenge toh , Allah(swt) unlog par , kisi bhi waqt bada azaab naazil farmayega. Aap ne unlogon ko is baat se hoshiyaar kar diya tha , par woh log intezaar karte rahe aur dekhte rahe. Kuch azaab nahi hua, toh unki jahalath badthi gayi, aur woh log Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko chunauthi di ki Allah( swt) ke sazaa ko jaldi lakar bataye.
Allah( swt) ne inlogon ki guzarish ka jawab dete hue yeh theen(3) ayaah naazil farmayi:
” Aur, woh tumse jald tar azaab maangte hai, jabke Allah(swt) hargeez apne waade ke khilaaf nahi karega-aur yaqeenan tere Rab ke paas aisa bhi din hai jo is shumaar ke mutabiq jo tum karte ho , ek hazaar baras ka hai.”(22:47)
” Aur woh tujse jald azaab laane ka muthlaba karte hai-
Beshaque , jahannum kaafiron ko zarur gher lene wali hai.”( 29:54)
“Kya woh log jinhone buri tqdbeeren ki hai , darte nahi ke Allah(swt) inhe zameen mein dhansaa dega? Ya in ke paas azaab wahan se aajayega , jahan se woh gumaan rak na karte ho. Ya inhe inke chalne phirne ki halaath mein( rozana zindagi ke kaamon) aa pakde aur woh usse na bach saje? Ya inhe dheere dheere ghatne ki halaath mein pakadle? Beshaque, tumhara Rab bahuth hi meherbaan aur baar baar rahemkarne wala hai.”(16: 45-47).
Phir , Makkahwalon ne sacch se bach nikalne ka tareeqa soch liya. Woh log apni khilaafath mein date rahe, aur Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) se apne mutabilaath( demands) pesh karne lage, puchne lage ki Aap mojezaath ( karishmaath/ karaamaath) bataye, jab ke yeh jaante the ki Aap aisa nahi kar sakte. Is tarah woh idhar se udhar karte rahe, kabhie Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se samjauthe ke liye mulaaqaath karte , aur kabhie unhe chunathiyan dete , namumkeen cheezen karne ke liye. Bahuth saare Makkahwale sochne lage ki, iska hal sirf talwaar hai, jabke dusre log darne lage ki iska natija apno ka khoon bahana hoga.
ABU TALIB NE BANI HASHIM AUR BANI AL-MUTTALIB KO EK SAATH EKKATA KIYA
Is naye aur ache tabdilon ke bawjuud, Abu Taalib , ko ab bhi apne bhatije ke liye , dar mehsus ho raha tha. Woh un saare kisse aur hadson par gaur karne lage jisme Amarah bin Al-Waleed ka adla badli ka maamla, Abu Jahl ka pathar , Uqbah ka Rasool( SalAllahu alaihi wa salkan) ki uqsana aur akhirkaar Umar(R.A) [Islaam qubool karne se pahele] ka Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatl karne ka irada.
Is zahin shaks , samajh gaye the ki yeh saare naqabile khatarnaak waqiath
ke mabsube isliye rache gaye, taake Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)
ko aap ki sarparasthi se, nigraani se hata kar, aur Aap ko aamkhaas qatl kar diya jaye. Is silisile mein, Abu Taalib ki pura yaqeen tha ki, naahi Umar(R.A) aur naahi Hamzag(R.A) kuch kar payenge, haalanke yeh dono samaaji taur se taqatwar the.
Abu Taalib sahi the. Mushrikeeb ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatl karne ka, ek socha samjha mansuba tayaar kiya, aur saare ek saath jama ho gaye , apne mansube ko pura karne ke liye. Isliye aap ne, apne qabile Bani Hashim aur Bani Al-Muttalib ke qabile ke logon ko, Abd Munaf ke beton ki jama kiya aur unhe samjhaya ki , yeh sab apni naitefaaqi khatam karke , apne bhatije ki hifazath kare. Sab log jahe Imaan wale ho ya na imaan waale ho ,sab ne apni hami bhardi siwaye aapke bhai Abu Lahab ke , jo budhparasthon ke saath tha.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……
END OF PART 55……….