Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam) LESSON NO : 50
SABAQ 50
Umar bin Al-Khattaab ne Islam qubool kiya( cont)
Apne Shohar ke sawaal ke haan mein haan milakar, Fatimah ne Umar( R.A) ke deen ki sacchaayi ko chunauti dete hue kaha, “Umar! Tumhare deen se sacchaayi bahuth dur ho tho kya hoga? Phir apne bhai ke saamne, woh bhi apna Imaan qubool kiya, wahi alfaaz istemaal karte hue jo har Muslim kahta hai Allah( swt) ki Tauwheed ki aur Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Rosool hone ki gawahi dete waqt kahta hai. Woh kahi, ” Main gawaahi deta hun ke Allah( swt) ke siwa koi mabood nahi aur main gawaahi deta hun ke Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) uske Rasool hai”.
Jab Umar ( R.A) ne apni bahen ko itne shaan se apna Imaan ikhraar karte dekha, tho woh sharam se pani pani ho gaye.
” Hame batao , tum kya pad rahi thi”aapne pucha. Aap ki bahen ne jawab diya,
“Tum paak nahi ho, aur sirf paak , saaf hokar hi hum ise chu sakte hai. Jao apne aap ko dhokar aao”.
Bechain Umar ( R.A) ne jaldi jakar gusul kiya aur Surah Ta-Ha ke panne liye aur tilawat karne lage Bismillahir-Rahmaanir-Raheem( Shuru Allah ke paak naam se , jo bada Meherbaan, Rahemwala hai).
“Yeh tho paak naam hai,” Umar( R.A) ne kaha. Aap aage padhne lage:
” Beshaque, main Rab hun-mere siwa koi aur ibaadat ke qaabil nahi, isliye meri ibaadat kiya karo aur Mujhe yaad karne ke liye ( ibaadat) namaaze ada kiya karo”📌( 20:14)
Umar( R.A) ne ayaah ki rafaath ke khauf se kaha, “Mujhe Muhammad kahan milenge?” Jab Khabbaab ( R.A) ne yeh suna, tab woh chupe hue the, wahan se bahar aaye aur kaha,
Aye Umar! Khushiyaan manao. Maine dua ki thi , Allah( swt) tum par rahem farmaaye. Jumeraath ki raat ko maine suna tha Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam), Allah(swt) se dya kar rahe the ki : Aye Allah! Islam ko mazbuth kijiye, Umar bin Khattaab ya Abu Jahl bin Hisham ke zariye “.
Jab Umar ( R.A) ko pata chala ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) Dar Al-Arqam ke paas hai, woh us taraf Aap se milne ke liye daud lagayi. Aap darwaaza khat khataane lage, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahabiyon mein se ek ne darwaaze ki ek chote se suraakh se jhaankar dekha ki Umar( R A) , haath mein talwaar liye, bahuth hi gusse mein tahere hue hai. Sahabi ne , ghar ke aandar jaakar yeh khabar ki ethela di.
“Kya baat gai?” Hamzah (R.A) ne pucha.
“Umar darwaaze par hai,” Sahabi ne jawaab diya.
“Itni se baat ?” Hamzah ( R.A) ne kaha. ” Agar woh aman karne aaya hai tho , koi baat nahi. Magar nahi, tho hum uska qatal kardenge , usi ki talwaaar se.”
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , is beech , ALLAH( swt) ki wahi lene mein masroof the , aur wahi ke pure hote hi Aap baitak ke kamre mein daakhil hue. Umar( R.A) wahan baite hue the. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , unhe kapdon se aur talwaar bandh se pakda aur unhe jaldi se kaha,
“Umar! Kya tum apne raaste se piche nahi hatoge jabtak ke Allah ( swt), tum par azaab na bheje , jaise Usne Waleed bin Mugheer ko bheja? Aye Allah( swt) ! Ye Umar bin Khattaab hai. Aye Allah( swt) ! Islam par taaqat aur azmath ata farma, Umar bin Khattaab je zariye.”
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) jaise hi apni dua khatam ki, Umar( R.A) ne kaha,
Main gawaahi deta hun ke Allah ke siwa ibaadat ke qaabil koi nahi , aur Aap Allah (swt) ke bheje hue Rasool hai”. Wahan par jitne log the , sab itne zor se “Allahu Akbar”( Allah( swt) bahuth bada hai) bolne lage ki , unki awaaz Ka’bah ke ird gird gunjne lagi.
TO BE CONTINUED……
END OF LESSON 50…..