Volume 2, Book 23, Number 1237 :
Abu Dhar (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hae ke:
RasoolAllah (Sallalaahu Alaehi Wasallam) ne farmaayaa “Mere paas Mere Rabb kee taraf se ko’yee aa’yaa aor mujhe khabar (ya khush khabree) dee ke meri um’mat mein se jo ko’yee uss haal mein inte’qaal kar jaa’ye ke Allah (Subhana wa Ta’ala) ke saath uss’ne kisee ko shareek naa the’raa’yaa ho toh woh Jannat mein jaae’gaa. Iss par maen ne poochha ke “chaa’he uss’ne zinaa kiyaa ho aor cho’ree kee ho?”
Toh Huzoor (Sallalaahu Alaehi Wasallam) ne farmaayaa “Haan chaa’he uss’ne zinaa ki’yaa ho aor cho’ree kee ho”.
Volume 2, Book 23, Number 1238 :
‘Abdullah (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hae ke:
RasoolAllah (Sallalaahu Alaehi Wasallam) ne farmaayaa “Jo shakhs Allah (Subhana wa Ta’ala) ke saath kisee aor kee bhee ibaadat (ya’ane shirk) ka’re toh woh yaqeenan Jahannum mein jaa’ega aor” Maen ne kahaa ke “Jo shakhs kisee ko bhee Allah (Subhana wa Ta’ala) ke saath shareek naheen thehraa’ye woh zaroor Jannat mein jaa’ega”.
Volume 2, Book 23, Number 1252 :
Hazrath Anas bin Malik (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hae ke:
RasoolAllah (Sallalaahu Alaehi Wasallam) ek au’rat ke paas se guz’re jo ek qabar ke paas baith’hee hu’wee ro ra’hee thee. Aap (Sallalaahu Alaehi Wasallam) ne usse farmaayaa “Allah (Subhana wa Ta’ala) se daro aor sabar karo”.
Volume 2, Book 23, Number 1253 :