6 pillars of Faith (Emaan) in Roman English(Urdu)

bism2fl1png

🌷Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.🌷

 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 

 

 Imaan:

Allah (swt) ne Surah Al Muminoon mein farmaya hai: الۡمُؤۡمِنُوۡنَۙ اَفۡلَحَ قَدۡ

Jiska tarjuma hai: “Yaqeenan woh log kamyaab hon’ge jo log Imaan laye” (23:1)

To hum iss se samajh sakte hai ke Imaan ki kitni badi ehmiyat hai. Subhan Allah!

Allah ne surah Asr me kaha,”kasam hai zamane ki, beshak tamaam insaan khasare me hain, siwaye un logon ke jo Imaan laye aur jinhon ne nek amal kiye aur haqq ki talqeen ki aur sabr ki talqeen ki”.

Imaan lane ke saath nek amal bhi zaroori hai.

👉

 

    Imaan kya hai?

Dil me kisi cheez ka manna,yaqeen kar lena jiske baad Insaan aman me aajaye .

Nabi Muhammad (saws) se sawaal kiya gaya tha ke Imaan kya hai? Aap (saws) ne jawaab diya:

Amantu billahi– Allah (swt) par Imaan laye

Wa malaikatihi – Farishto’n par Imaan laye

Wa kutubihi: Allah ki kitaab par Imaan laye

Wa rusulihi – Allah ke bheje hue Rasoolo’n par Imaan laye

Wal-yawmil-akhiri – Yawm-ul-Aakhirah par Imaan laye

Wa bil-qadari khayrihi wa sharrihi– Taqdeer par Imaan laye.

(Saheeh Muslim, Hadeeth No: 8)

👉HADITH KI TAFSEER:

 

💠Allah(swt) par Imaan ka matlab yeh hai ke : Allah(swt) ki Tawheed(Ke Allah sirf ek hai) ko qubool kiya jaye aur Allah(swt) ke saath shirk naa kiya jaye.

💠Farishto’n par Imaan ka matlab yeh hai ke : Allah(swt) ne aise maqlooq banayi hai aur us makhlooq ko Allah(swt) ne muqtalif kaam de rakhe hain, aur woh makhlooq Allah(swt) ke diye hue kaam karti hai, aur kabhi Allah(swt) ko naraaz nahin karti aur na hi koi gunaah karti hai.

“wa yaf’aloona maa yu’maroon(66:6) : Joh Allah(subhana wata’ala) hukum detaa hai, woh karte hai farishte. “

💠Kitaabo’n par Imaan yeh hai ke : Allah(swt) ne insaan ki hidayath ke liye kitabon ko nazil kiyaa.

💠Nabi par Imaan ka yeh matlab hai ke: Allah(swt) ne nabi bheje ke iss kitaab par kaise amal kiya jaye,nabiyon ne logon ko bataya.

💠Yawm ul Akhirah par Imaan laye Ke: marne ke baad Allah(swt) phir se hame zinda karega aur hamare har ache aur bure amaal ka hisaab hoga.

💠Taqdeer par Imaan laye ke: kisi insaan ka acha ya bura hona sirf Allah(swt) ki taraf se hai.

 

quick review

 

🌻

 

 

👉Belief-in-Allah-pillar.png

Allah par Imaan

Allah par Imaan 4 cheezon par mujtamil(implied) hai. Jo inn par imaan rakhta hai woh ek haqeeqi mumin hai.

 

💠1. Allah(swt) ke wajood(existence) par Imaan karna

  • Allah (swt) ne Surah Toor mein saaf saaf apne wajood ka zikar kiya hai :
  • “Aur kyaa woh kisi cheez se nahin banayegaye the? Ya unhon ne apne aap ko banaliya? [al-Toor 52:35]
  • Jiski tafseer yeh hai ke Allah(swt) ne duniya ya asmaan kee har cheez banai hai aur koi bhi cheez apne aap paidaa nahin hui hai. Toh humko yeh Imaan rakhna hai ke Allah(Swt) ne hum sab ko banaya. Allah maujood hai lekin Allah ko koi nahin dekh saktaa hai.

🌻

 ÃƒÂ°Ã‚ŸÂ’ 2. Yeh yaqeen karna ke Allah(swt) Rabb ul Alameen hai.

  • RABB–  khaliq+ maalik+ mudabbir
  • Khaliq: paida karnewala
  • Maalik:  har cheez ka maalik
  • Mudabbir: kaynaat ka saara intezam karnewala(planner)

Tawheed kya hai? Is baat par imaan rakhna ki Allah ek hai.

Hame kaise maalum ki Allah ek hai?

  1. Quran me Allah ne bataya hai (ikhlas:01)
  2. Sab nabiyon ne hame bataya(hud:50)
  3. Allah sab par qadir hai, use koi madadgaar ki zaroorat nahi hai
  4. Allah ne har cheez ek perfect order aur harmony me paida ki hai

🌻

💠3. Allah ke mabood(divinity) hone par Imaan rakhna :

  • Hame sirf Allah ki hi ibaadat karni chahiye.
  • ILAAH-: wo hota hai jiski mohobbat aur tazeem ke saath ibadat ki jaye.
  • Hamari padaish ka maqsat?

Sirf Allah ki ibaadat hai.

Allah ne surah zaariyat, ayaat 56 me farmaya hai, “ maine jinnon aur insaanon ko isliye paida kiya ke wo sirf meri hi ibaadat kare”.

  •  Makkah ke mushrikeen bhi Allah ko Rabb maante the,lekin unke liye ye faydaamand nahi saabit hua, kyun?

“Agar aap unse dariyaaft karen ke unhe kisne paida kiya hai, toh yaqinan jawaab denge ki Allah ne,phir ye kahan se phere ja rahen hai ?( zukhruf:87)

  • Allah tala ko mabood manna aur uski ibaadat me kisi ko shareek na karna

“ Aye logon! Apne uss Rabb ki ibadat karo jisne tumko aur tumse pehle logon ko paida kiya.”( baqarah;21)

Har Rasool ne apni qaum ko yahi baat kahi: “ aye meri qaum! Allah ki ibaadat karo, uske siwa tumhara koi mabood nahi” ( al aaraf: 65)

  • Ibadat baatini aur zahiri dono se karna chahiye.

 Nabi (saws) ne apne namaz me tashahud sikaaya “ meri saari qauli badni aur maali ibaadat Allah ke liye hai”

  BAATINI :  dil me Allah ki ibaadat karna

ZAHIRI:   zaban se  Allah ki tareef karna, zikr wa azkaar karna jaise Subhaanallah , Alhamdulillah ,Allahuakbar kehna, Quran ki tilaawat karna , mushkilaat me Allah se talab karna.

Namaz, tawaf, roza, Hajj, etekaf, qurbani, sadqa,  sab Allah hi ke liye karna hai.

Hadith: Nabi (saws) ne farmaaya ke “ beshak dua ibaadat hai” phir aapne iss aayat ki tilaawat farmaayi, “tumhara Rabb kehta hai, mujhe pukaro, mai tumhari duayen qubool karoonga. Jo log ghamand me aakar meri ibaadat se muh modhte hain, zaroor woh zaleel hokar jahannum me dakhil honge”.(ghafir:60)

🌻

💠4. Allah ke naam par and Sifaat(attributes) par Imaan karna

 Allah ne jo jo naam apne liye Quran me zikar kiye hain, un sab naamon par bharosa karna hai. Koi naam ko nahin jhutlana hai.  Kyunke Allah ne saaf saaf Quran mein zikar kiya hai ke :

“Aur sab se khoobsurat naam sirf Allah hi ke hain, toh apne Allah ko un naam se pukaro, aur unka saath chod do joh iss baat se inkaar karte hain,ya phir galath kehte hai Allah ke naam ke bare mein. Kyunke inke harkat ka badla inhe zaroor milega.”
[al-A’raaf 7:180] 

Al-Aleem[Allah is All Knowing]

Allah sab jaannewala hai .Jo kuch hum karte hain, hum sonchte hain, jo hamare dil me hai. Jo humne past me kiya, jo future me hoga.

Al-Baseer[Allah is All Seeing]

Allah sab kuch dekhta hai. Jo kuch hum karte hain, acha bura sab, chahe hum chupa ke karen ya dikha kar karen.

As-Samee[Allah is All Hearing]

Allah sab kuch sunta hai. Jo hum sach kehte hain , aur jo hum jhoot kehte hain. Jo hum pukaar kar kehte hain ya hum aahista kehte hain. Allah ek chunti ke kadam ki awaaz bhi sun sakta hai.

Hadeeth– “Allah ke 99 naam hain, jo inko yaad karega woh jannat me dakhil hoga”.(muslim)

belief-in-angels

FARISHTON PAR IMAAN

Arabic me farishton ko “malaika” kehte hai.

Farishte Allah ki ek makhlooq hain jis ko hum dekh nahin sakte.

💠Farishton par imaan lane ka matlab

  •  unke wujood par Imaan lana
  • unke naamon par imaan lana
  • unke sifaat par Imaan lana
  • unke kaam par Imaan lana

💠Farishte kis cheez se banaye gaye hai?

Farishte Noor  se bane hue hain. Aisha(RA) se riwaaayat hai ke : Huzoor Muhammad(saws) ne farmaya, “ farishte noor se bane hue hain, aur jinn binaa dhuwen ki aag se, aur insaan khanakti mitti se”.

💠Farishte kab banaye gaye the?

Farishte insaan se pehle banaye gaye the, aur is baat ka zikr quran me diya gaya hai :“Dekho! aapke Rabb ne farishton se kaha ke mai zameen par khalifa banaonga”. [2:30]

Haqeeqat yeh hai ke Allah ne farishton ko apna irada bataya ke woh insaan ko banayenge.

 

💠Farishton ka naap(size) :

Allah Jahannum ke farishton ke bare mein batata hai ke :

“Aye Imaan walon! Apne aap ko aur apne khandaan ko aag se bachao, jis ka indhaan(fuel) insaan aur pathar hain, jinn par farishte saqt aur saqt pesh aainge, Jo Allah ke hukm ko anjaam dene  me baaz nahin aate, aur wahi karte hain, jo Allah unhein hukum deta hai.”

Sab farishton mein se sab se bada farishta Jibraeel(as) hai. Jis ka zikr is hadees  me kiya gaya hai:

Hadith:Abdullah bin Masood(ra) se riwaayat hai ke : Nabi Muhammad(saws) ne Jibraael(as) ko apni asal shakal mein dekha hai. Jibraeel(as) ke 600 par(wings) the,aur har ek par afaq(horizon) ko dhakta hai. Aur inn par’on mein se mothi(pearls) , zewaraat aur ruby girte the, aur jiske bare mein sirf Allah jaanta hai.”

Quran me Allah ne farmaya: “ise poori taqat wale farishte ne sikhaya hai.”(surah Najm:5)

Sab farishton mein se wo farishte bohot azeem o tareen hai jo Allah ke arsh(throne) ko uthaate hai.  Jis ka zikr iss hadees me diya gaya ha ke :

Hadith: Jabir Ibn Abdullah(ra) se riwaayat hai ke : Nabi Muhammad(saws) ne farmaya “Mujhe ijaazat di gayi hai ke mai unn farishton ke bare me zikr karoon, jo Allah ke arsh ko uthaate hai  ,Aur unke kaano’n aur khaande ka faasla  – 700 saal ke safar ke baraabar hae.” [Abu Dawood].

 

💠Kya farishton ko par hain?

Haan, Farishton ko par hai. Aur iss baat ka zikr quran mein diya gaya hai :

“Sab tareef Allah hi ke liye hai jisne asmaan aur zameen ko paida kiya, jis ne farishton ko paida kiya par ke saath-do, teen ya chaar taqleeq mein izafa karte hue, jaisa ki Allah chahta hai, kyunke Allah har cheez par qadir hai.” [surah faatir:1]

💠Farishton ki tadaad

Gin nahin sakte. Jiska Ilm sirf Allah(swt) ko pata hai.

  • Har insaan ke saath daayen aur baayen do farishte hain.
  • Bait al mamoor pe har din 70000 farishte tawaf karte hain.
  • Lail a tul qadr me, zameen par jitne kankar hain usse ziyada farishte zameen par utarte hain .

 

💠Kya farishte kuch khaate ya peete hain?

 Farishte kuch nahi khaate ya peete. Aur yeh baat quran mein di gayi hai.Unki ghiza Allah ki tasbih aur ibaadat hai.

Ibrahim jo Allah ke “dost” hain aur aapki baat cheet farishton se hui, jo Aap ke paas milne aye the :

Allah quran me farmaate hain: “Aur phir woh jaldi apni ghar ki taraf chala gaya aur phir ek mota bachda laya aur farishton ke saamne rakhdiya. Aur Ibraheem(as) ne pucha farishton se, “Kya aap nahin khaoge?”, aur woh phir khaufzada hogaye. Toh Farishton ne kaha “khauf na karo, aur phir farishton ne ek bete ki khushkhabri di”.

 

💠Kya farishte Allah ki tareef karte hue bezaar hote hain?

Farishte kabhi bhi Allah ka zikr karte hue bezaar nahin hote aur iss baat ka zikr Quran me hai ke :

 “Woh raat aur din Allah ki tareef karte hain aur kabhi Allah ko naraaz nahin karte”. [21:20] [Nahl:49] [Ambiya:28]

💠Farishton ka ghar

Aasman farishton ka ghar hai , Allah ke izn se woh zameen pe utarte hain.

💠 Farishton ke kuch aur sifaat aur kaam

  • Farishte na mard hain na aurat hain. Naa unke bache hain aur naa woh shaadi karte hain.
  • Farishte insaan ki shakl le sakte hain. Lekin sirf Nabi unko asli shakl me dekh sakte hain. Muhammad(saws) ke paas jibriel(as) ek sahaba Dahiya al kalbi ki shakl me aate.
  • Farishton ko takleef hoti hai- pyaaz aur lehsan ki boo se unhen aziyat hoti hai.
  • Allah ke qareeb hone ke bawjood takabbur nahin karte.
  • Allah ke hukm ko fauran maante hain, nafarmani nahin karte.(tehreem:6)

      Allah ke khaas bandon ke liye dua karte hain.

  • Namaz me shamil rehte hain. Nabi(saws) ne farmaya, “ ameen kaho, jiska qawl farishton ke qawl ke saath mil jaaye uske gunah maaf hojate hain”.
  • Farishton ka pasandida zikr-“SubhaanAllahi wa Bihamdihi”.
  • Jumah ke din register me masjid me aane walon ke naam darj karte hain.

 

💠Farishte kahan nahin hote

           Jis kaafile me ghantiyan ho

  • Gandagi jahan ho
  • Kaafir ki laash par
  • Nashe me jo shaks ho
  • Kutta jahan mawjood ho
  • Sahaba ko bura bhala kehne wale ke paas
  • Madina me biddat phailaanewale ke paas
  • Qatil ko panah denewale ke paas
  • Jo aurat shohar kebulaane par na aaye

 

💠Farishton ke naam :Farishton ke kayi naam hain aur humko sirf kuch hi naam ka ilm hai.

(1)Jibreel : Farishton me sabse bade aur bade martabewale. Jinka kaam yeh tha ke woh Allah ki taraf se Allah ke Rasool ko wahi lekar aate the. Allah ka azaab lekar aana jo nafarmaani karte.

Nabi(saws) ne do martaba unko unki asli shakl me dekha: ghaaar- e-hira me aur Miraj ki raath sidrat al muntaha ke paas.

(2) Mikael : Jo baarish ke liye zimmedar hai.

(3) Israfil : Jo qayaamat ke din soor(trumpet) phoonkenge

(4) Izrael : Jo maut ka farishta hai. Jo Allah ke hukm par rooh nikaal kar le jaate hain.

Kiram al Katibin : Jo hamare amaal apni kitaabon mein darj karte hain

(6)Malik : Jo Jahannum ki nigraani karte hain.

(7)Munkar and Nakeer : Jo qabar ke sawalaath aapse karenge.

(8)Ridwaan: jannat ka daroga.jo sabse khoobsurat hai.

(9)Maalik: jahannum ka daroga. Jo bohot hi sangdil aur sakht hai.(Raad:23,24) (zukhruf:77)

(10)Haroot and Maroot : Aise farishte jo Sulaymaan(A.S) ke waqt par naazil huwe the.

Lekin inn ke alawa bhi bohot farishton ka zikr kiya gaya hai. Aur hame un par Imaan rakhna hai.

 

belief-in-books

IMAAN BIL KUTUB

💠Kitaab – jama karna

Allah ne logon ki hidayat ke liye kitaben bheji. Farishte kitabon ko Rasoolon ke pas Allah ke izn se lekar aaye.Rasoolon ne in kitabon ke zariye logon ki hidayat ki.Rasool ki maut ke baad log kitaben padhte rahe aur seedhe raaste par rahe kuch arse tak. Waqt ke saath logon ne bhula diya aur kitabon me tabdeeli kardi gayi.Khudsakhta aur ghalat baaten in kitabon me dakhil kardiye gaye. Allah ke ehkam jo pasand na aate, wo nikal diye gaye kitaabon se. Quran ki hifazat Allah ne ki hai, qayamat tak isme koi tabdeeli nahin kar sakta.

💠Imaan Bil Kutub me kya shamil hai

  • Musalman ko Imaan lana Allah ki bheji huwi har kitaab par .
  • Ek kitaab ka bhi inkaar , insaan ko kaafir banaata hai
  • Quran me jo likha hai wo sach hai aur Allah ka kalaam hai.
  • Quran me jo kuch hai ; usme shakh nahi karna.

(Baqarah  :1)

  • Quran aane par pehli saari kitaabein mansooq hogayi .

💠Kitabon me Mushtarik (common) baatein

  • Sab kitaabon ka source ek hai (Allah)
  • Maqsad ek hai- “sirf Allah ki ibadat karo aur taghoot se bacho”.
  • Sab nabiyon par Imaan lane ki baat kahi gayi hai
  • Har insaan ke liye wahi hai jiski usne koshish ki

(Najm:36-41)

  • Parhezgaron (Nek logon)ka anjam acha hoga
  • Insaaf ka Hukm (Hadeed:25)
  • Suleh-Rehmi ,miskeen ka Khayal Rakhna
  • Ibaadat-Namaz,Sadqa,Zakat,Roza,Qurbani
  • Sabse Pehle Ibaadatgah – Kabah
  • Halal aur Haram

💠Allah(swt) ki bheji hui 4 kitabon par humko yaqeen karna hai.

  • Tawraat – joh Nabi Musa(as) par nazil hui thi.
  • Zabur – Jo Nabi Dawood(as) par nazil hui thi.
  • Injeel – Jo Nabi Isa(as) par nazil hui thi.
  • Quraan – Jo Nabi Muhammad(saws) par nazil hui thi.

Har kitaab Allah hi ki taraf se bheji hui thi. Aur har daur mein ek paigambar bheja gaya tha jo is kitaab mein likhi hui Allah ki baaton ko sikhate the aur khud apni zindagi waise hi guzaarte the. Hum Ummat e Muhammadi hain. Hame Quran me jo likha hai usi tarah apni zindagi guzarna hai.

QURAN

Meaning: Bohot padhi jaani waali kitaab .

Other names : zikr,shifa,furqan,huda,ruh,muhaimin(Nigraan) Al-kitab

💠Quran ke huqooq(Right of quran)

  • Uspar Imaan laana.
  • Uski tilaawat din-raat karna.
  • Usko samajhkar padna.
  • Uspar amal karna.
  • Usko aage logon tak pohonchana.

💠Quran padne ke faayde

  • Quran Allah ki rassi hai – (baqarah:256)

Hadith:ek sira uska Allah ke haath me hai aur ek sira hamaare haath me hai usko mazbooti se pakdo.

  • Quran hame seede raaste ki hidaayat deti hai .(yusuf:111) (zumar:27) (bani israel:9)
  • Hikmat sikhaati hai.
  • Allah ke qareeb hone ka zariya.Allah aur Rasool Quran padne waale se mahobbat karte hai.
  • Hamaare imaan me izaafa hota hai .
  • Dil ko sukoon aur itmenan milta hai.
  • Shifa hai.
  • Har faayde se badkar hai.
  • Hifaazat karne waali har sharr se.

💠Wahi ke kisam (Revelation) –  mukammal Quran 23 saal ke arse mein aahista aahista naazil huwi.law –e mehfooz se,wahi ke zariye Muhammad (saws)ke dil mein utaari gayi.

  • Jibrael (as) apne asal shakl mein aate.
  • Jibrael(as) ek khoobsoorat nawjawan ki shakl mein.
  • Sacche khwabon ki shakl mein.
  • Ghantiyon ki awaaz jo bohot hi sakht hoti thi.

💠Quran padhne ke adaab

  • Quran padne se pehle shaitaan se bachne ke liye Allah se panaah mangna(Nahl:98)
  • Quran padhte waqt khaamosh rehna.(Araaf:204)
  • Tezi se nahi padhna (Taha:114)
  • Tajweed se quran padhna

💠Quran ki sifaat

  • Allah (swt) ne Quran me challenge kiya hai ke is jaisi koi ek aayat lekar aaye,(Hud:13)
  • Behtareen Arabi  me naazil huwi, jo aasaan  zabaan hai, jo aqalwale samajh sakte hain.
  • Allah hi ki taraf se aayi hai , isme koi shak nahin hai. Is baath ki gawahi Allah ne khud Quran me di hai.
  • Quran me koi ikhtelaf ki baath nahin hai(contradiction)

 

belief-in-messengers

 

IMAAN BIR RASOOL

Har rasool ne ek hi paigaam pohanchaya. Pehle rasool se Aakhri Rasool Muhammad(saws) tak. Jo ke ye tha ke Allah sirf ek hai, aur hame sirf Allah hi ki ibaadat karni chahiye aur Allah ke siwa kisi aur cheez ki ibadat nahin karna chahiye.

 Har paigambar ne ek hi paigaam pohanchaya,is baat ki daleel hame Quran mein milti hai :

“Aur poocho (Aye Muhammad!) unn paigambaron se jinhein mai ne tum se pehle bheja tha: Ke kya humne kabhi siwaye Allah ke jo sab se zyada rahem karne wala hai kisi aur mabood ki ibadaat karne ke liye kaha hai?” [al-Zukhruf 43:45]

💠Imaan lane me kya shamil hai?

  • Allah ne har ummat me rasool bheja.
  • Saare rasool Allah ke bheje hue bande hai
  • Allah ne rasoolon ko insaan ki hidayat ke liye bheja
  • Hame sare rasoolon par imaan lana hai. Ek rasool ka inkaar sare rasoolon ka inkaar hai( shuara:105)(4: 150,151)
  • Jo kuch unpar nazil hua uspar imaan lana
  • Rasoolon ki sifaat par imaan lana

💠Rasool aur Nabi me farq

Rasool (paigham pohunchane waala ):  wo hai jo nayi shariyat (law) lekar aata hai

Nabi ( khabar dene wala) : wo hai jo pehle rasool ki shariyat ko logon tak pohnchata hai

Misaal: musa (as) rasool the

              Haroon ( as ) nabi the

Kitne rasool aaye? (40: 78)

Hadees ke mutabiq 124000 nabi bheje gaye the . Unme 315 rasool hain. Quran me sirf 25 Rasoolon ke naam hain. (6:83,86)

Ulul-Azm Rasool- 5 hain,

Nuh(as), Ibrahim(as), Musa(as), Isa(as),Mohammad(saws)

Allah ne farmaya-“ye rasool hain jinme se hamne baaz ko baaz par fazilat di, inme se baaz wo hain jinse Allah taala ne baat cheet ki aur baaz ke darje buland kiye hain aur hamne Isa ibn Maryam ko maujizaat  ata  farmaaye aur ruh-u-qudus se unki madat ki”   (baqarah:253)

Allah ne farmaaya “ aye paighambar! Tum aise sabar karo ,jaisa sabar kiya ululazm rasoolon ne kiya aur inke liye jaldi na karo”.  ( ahkqaf:35)

💠Rasoolon ki sifaat

  • Sab nabi apne qaum me se the aur unki zabaan bolne waale the.
  • Sab paighambar insaan the jo khaate pete , sote, nikah karte, bazaaron me phirte, apni rozi talaash karte.
  • Sab Allah ki taraf se chune gaye the
  • Ghayb ka ilm nahin jaante. Kisi ko fayda ya nuksaan apni taraf se nahin pohncha sakte
  • Sab bohot hi nek the. Sab se badhkar Allah ki ibaadt karne waale
  • Behtareen akhlaq rakhne waale, sadiq aur ameen
  • Kabira gunah se paak
  • Ilm me, jism me, sabse badkar quwwat waale
  • Poori tarah se Allah ka paigham pohonchate

 

💠Mushkilaat jo rasoolon ko pesh aayi

  • unki aazmaishen bohot zyada thi
  • mukhalifat ke baavajood unhone sabr kiya
  • unka ajar bhi dugna tha
  • aksar ambiya ne bakriyan charayi , unko bade maqsad ke liye tayyar kiya gaya

 

ADAM (as)

Sabse pehle nabi jinko Allah ne apne haatho se ,mitti se banaya aur unme rooh phunk di. Phir farishton se kaha ki wo sajda kare .

NUH (as)

950 years raath din logon ke Allah ki taraf bulaya. Logon ne inka kayi tareekhon se mazaak udaya.

IBRAHIM (as)

Khaleelullaah ( Allah ke dost ) . Unka huliya Aap (Saws) se milta tha. Allah ne unko 33 times azmaaya , sab me kamiyaab huye aur unke darjaat buland huye. Allah ne unko logon ka imaam banaya . qayamat ke din sabse pehle unko libaas pehnaya jayega .

MUSA (as)

Bani israeel ki taraf bheje gaye. Firaun jo zalim badshah tha, Misr ka usko islam ki dawat di. Firaun ke zulm se bachakar bani israeel ko azaad kiya. Allah ne unse kohitoor (mountain) par baat ki isliye unko kaleemullah kaha gaya ( Allah se kalaam karne wala) . Chalees saal tak Sinai ke maidan me Bani Israeel ke saath bhatakte rahe aur unpar bhi kayi azmaishen aayi.

ISA (as)

Hazrat Maryam ke bête, jinke koi baap nahi the. Paida hote hi bolne lage , Allah ke izn se. Wo mitti ke pardinda banake usme rooh phunkte. Bimaaron ko haath pher kar theek karte, Allah ke izn se. Unki qaum ne unke khilaaf sazish ki lekin Allah ne bhi apni tadmeer se unhe upar utha liya. Qayamat se pehle wo dobara zameen par aayenge.

MUHAMMAD (saws)

“khatim – un- nabi”( seal of the prophets)

Sabse aakhri rasool aur sabse bade martabe waale

“Rehmatullil alameen “( mercy for all mankind) saare nabi sirf apne qaum ke liye bheje gaye lekin Muhammad (saws) sab ummaton ke nabi hain. Nabi (saws) ke huqooq (obligations upon us)

  • unpar imaan lana
  • unko jaan ne ki koshish karna
  • unki sunnat ko follow karna
  • unke paigham ko aage pohunchana
  • deen me koi biddat nahi karna
  • unko unke maqaam se upar nahi uthana
  • unpar durood bhejna

 

belief-in-last-day

IMAAN BIL YAUM AL AKHIRAH

 (Belief in the last day)

Maut barhaqq hai “kullu nafsin zaaikatul maut ” yaani “har nafs maut ka mazaa chak ne waala hai” aur maut ke baad bhi zindagi haqq hai.(surah insaan :1) (surah nahl:78)

Aakhirat ke stages

  • KHABR :  Har insaan ki aakhirat uske maut ke saath hi shuru ho jaati hai.
  • Khabr ka imtahaan:har shaqs ko qabr dabaayegi kisi ko thoda aur kisi ko itna zyada ke uski phasliyan ek doosre pe aajaayegi.
  • Khabr ke sawaal

Teen sawaal kya honge?

  1. Tumaara Rab kaun hai?
  2. Tumaara deen kya hai?
  3. Tumaara nabi kaun hai?
  • Jo insaan duniya mein tawheed par jama ho, wahi insaan ye sawaalon ke sahi jawaab de sakta hai.
  • Jisne sahi jawaab diye uski qabr badi kar di jaayegi , usme roshni ho jayegi , uski rooh ko jannat le jaya jayega naik logon mein .
  • Jisne galat jawaab diya, uske liye qabr ka sakt azaab hoga,insaan zor se cheekhenge.

YAUM-UL-AAKHIRAH(Qayaamat ke din )

💠Nafqah ula :Israfeel , pehli martaba Allah ke izn se soor phukenge . Ye achaanak hoga jab sab log apne kaam mein mashghool honge . Sab logon ko maut aajaayegi . Zameen ki saari cheezen reza-reza hojayegi aur zameen ek gol , safed roti ki tarah ho jayegi . Sab kuch khatam ho jayega.

💠Nafqah thaniya :Doosri martaba jab soor phunka jaayega to sab log dubaara zinda ho jaayenge . Rooh aur jism ko milaadiya jaayega . Sab apni khabron se tiddiyon ki tarah groups mein nikal aayenge.

HASHAR

Sooraj bohot qareeb aajayega aur sakht garmi hogi . Har shaqs apne aap ko akela paayega . Kisi ko kisi ki qabr na hogi . Jaise hum duniya mein pehli martaba aaye the , nange paun , bina libaas ke . Jis tarah uski maut huwi usi tarah wo laaya jaayega .

Misael: Shaheed ka khoon tapak raha hoga .

ARSH KA SAYA

Saath log jinko arsh ka saya diya jaayega :

  • Adal pasand baadshah
  • Jiski jawaani ibaadat mein guzre
  • Ek shaqs jiska dil masjid mein hai
  • Do log jo aapas mein milte hain ya juda hote hain sirf Allah ki raza ke liye
  • Jo ek khoobsurat aurat ka bulawa thukrayega
  • Jo chupaakar sadqa deta hai
  • Raat mein ibaadat karta hai aur akele mein aasoon bahaata hai

HISAAB

Lambe intezaar se sab log thak jaayenge aur Muhammad (SAWS) ki request pe hisaab kitaab shuru kiya jaayega . Sab logon ke groups bana diye jaayenge .

Misael : Jo log namaz nahin padhte unko firaun ke saath khada kiya jaayega .

MIZAAN

Sab ke amaal-name tole jaayenge . Jo nek log hain unko unka aamaal-naama seedhe haath mein diya jaayega .  Jo badkaar hain unko unke aamaal-naama ulte haath mein diya jaayega. ( surah inshiqaaq)

Mizaan mein kya tola jaayega ?

  • Aamaal-naama
  • Saaheb-e- aamaal
  • Aamaal ko shakal di jaayegi

HOUZ-E-KAUTHAR

  • Ek paani ka kuwan hai jo Nabi (saws) ko diya jaayega woh uska paani apne ummat ke logon ko pilayenge.
  • Biddat karnewale wahan ke logon ko pilaayenge.

(Bidaat : deen mein naya ijaad karna)

  • Jin logon ne sunnat ki pairvi ki un logon ko kausar ka paani naseeb hoga.
  • Houz-e-kausar ka paani: dhoodh se ziyaada safed , shahad se bhi meetha aur barf se ziyaada thanda hoga. Jo isko peele use kabhi pyaas nahi lagegi.

SIRAAT

  • Ek raasta (bridge) jannat aur dozhak ke darmiyaan jo baal se bhi baareek hai.
  • Kuch logon ko mukammal noor milega aur kuch logon ko unke angooteh barabar noor milega.
  • Kuch bijli ki tarah paar karenge aur kuch reng kar jaayenge.

JANNAT MEIN DAAKHILA 

Jannat mein sabse pehle Muhammad (saws) daakhil honge. Jannat me daakhil hone se pehle sab jannatiyon ke dil saaf kar diye jaayenge . Jannat ke 8 darwaaze hain.

Misaal : roza rehnewaala Baab-ur-Rayyan se daakhil  honge.

Abu Bakr siddeeq ko saare 8 darwaazon se pukaara jaayega.

Nabi (saws) ko teen baar shafaat ka mauqa diya jaayega.Wo Allah ke izn se apni ummat ke kuch logon ko jahannum se nikaalenge .

Maut ko ek maindak(frog) ki shakal mein jannat aur jahannum ke beech me laya jayega aur zibah kiya jaayega . Jannat waale hamesha jannat me rehenge aur jahannum waale jahannum me  rehenge.

 

belief-in-divine-decree

Allah sab jaanne wala hai. Allah hi ne hamari taqdeer likhi hai. Har acha aur bura dono Allah hi ke taraf se. Yeh baat yaqeenan sach hai ke insaan nek amaal karke aur dua karke apni taqdeer badal sakta hai aur Allah ke khareeb hosakta hai, lekin Allah har cheez jaanta hai.
Agar hum yeh kahen ke hamare saath jo achaa hota hai woh Allah ki taraf se hai aur jo bura haadsaah jo hota hai woh hamare bure amaal ki taraf se hae, toh yeh baat sahi nahin hogi. Muhammad(saws) sab se ache insaan the. Muhammad(saws) ne kabhi apni zindagi mein koi galath kaam nahin kiya. Lekin phir bhi Aap ki zindagi mein bohat saare mushkilaat aye, bohat takleefein aayi, bohat gham dekhe, lekin Muhammad(saws) ko apne Allah par poora bharosa tha kyunke har cheez acha aur bura, dono Allah hee ke taraf se hai.
Jab kisi insaan ke saath bura hadsaah hota hai ya buri baat hoti hai, toh yeh sab Allah ki taraf se hai, lekin iska matlab ye bilkul nahi hai ke Allah uss insaan ke liye kuch buraah karna chahta hai, Allah hamesha acha hi karta hai, Allah raheem o kareem hai. Allah hamesha insaan ko seedhe raaste pe wapas laane ke liye iss duniya mein humein takleef aur mushkil me daalta hae taake hum Allah se madad maange aur seedhe raaste par chale. Beshak Allah sab ka Malik hai, aur Allah hi har insaan kee takleef door karsakta hai.
Qadr: har cheez ka andaza.
Kisi cheez ya kaam ke hone se pehle Allah ka plan. Allah ne apne ilm aur hikmat ke mutabiq har cheez ki planning ki hai.

Qada: kisi cheez ka faisla
Usko plan ke mutabiq banakar tayyar karna
Misaal: Ek cake ka preparation , Uske saare ingredients ko ek barabar andaze se lena- Qadr hai
Ingredients ko mix karke usko bake karna—Qada hai
Taqdeer par Imaan kyun zaroori hai?
Hadith: “ye teen log jannat me dakhil nahin honge.
▪ Jo Allah ka nafarman hai ▪ Jo jaadoo par yaqeen rakhta hai ▪ jo taqhdeer par yaqeen nahi rakhta Hadith:”Allah in logon ke amaal qubool nahin karta agar ye uhud,pahad jitna sona bhi den ▪ Nafarman shaks ▪ Jo apne ehsaan yaad dilaata hai ▪ Jo taqdeer ko jhutlata hai

1)Allah ka ilm kaamil hai
Woh har cheez ko janne wala hai .Jo pehle ho chuka ,jo ho raha hai aur jo kuch aage hoga.Kab hoga,kaise hoga (ayatal kursi )
Allah ne sab kuch likh rakha hai “law-e-mehfooz” me .(yaasin:12)
 
2)Allah ki mashiyat

Allah jo chahta hai wo karta hai. Jab kuch accha hota hai Allah ki taraf se hota hai aur jo kuch bhi bura hota hai wo bhi Allah ki taraf se hota hai.

3)Allah har cheez ko paida karne wala hai
kya ham logon ke paas pasand ya doosra raasta hai?
Ham log hamari salaahiyat ke zimmedaar hai. Logon ko marzi hai unko jo kuch karna hai. Wo zimmedaar hai unke amaal ke.
Hadith: “ ek shaks ne nabi (saws) se sawaal poocha,” kya mai apne ooth ko bandhe baghair Allah pe tawakkal karun?” Nabi (saws) ne kaha, “ bandho aur tawakkal karo.”
Misaal : Allah ne aapke taqdeer me likh diya hai ki aapko itna maal milega . Aap usko kis tarah haasil karenge , ye aapki zimmedari hai.

Qadr me kya kuch shamil hai?
• Shakl surat
Hadith: Allah ne aadam ko ek mutthi bhar mitti se paida kiya aur ye mitti usne saari zameen se li .
• Rizq
Hadith: Allah ke rizq der se dene par mayoos na ho jab tak use apne rizq ka aakhri hissa na mile use maut na aayegi.
• Sehat
Insaan kis din, kaise,kab beemar hoga ye taqdeer se hai.
Lekin hamko ehtiyaat lena hai.
• Zindagi
HUSN E ISLAM

Allah jab chahe jaise chahe kisi ko paida karde.
Misaal: Isa (as) ko baghair baap ke paida kiya .
• Maut Maut kab , kaise , kahan maut anna hai wo taqdeer me hai.
Hadith: ek mumin ke liye har haal me khair hai. Jab kuch accha hota hai, wo allah ka shukr karta hai aur wo uske liye accha hai. aur jab kuch bura hota hai , wo sabr karta hai , wo uske liye accha hai.
Qadr par Imaan ke fayde
• Allah par tawakkul badhta hai • Jo bhi nateeja ho hame itmenaan hota hai • Kuch museebat aane par bhi ham ghamgheen nahi hote. • Sabr karne par hamara ajr badhta hai
Hadith : mumin ko jo bhi takleef pohunchati hai yahan tak ke ek kaanta bhi chub jaaye Allah uske gunah maaf karta hai.

Jazak Allah khair!!

🌻🌻🌻

I whole heartedly thank sister Syeda Khudsia from India- Hyderabad for playing a big role in completing this post. May Allah(subhana wata’ala) reward her, her parents & family abundantly with goodness. Ameen!
Note : If you find any mistakes or grammatical erros in this book please mail us at info@shurukh.nl . We will rectify it as soon as possible. In sha Allah! We ask for Allah’s forgiveness for the tiniest mistake. In sha Allah!

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s