Sahih Al Bukhari

 Sahih Al Bukhari

Hamen is baat kee kushee hae ke hamen Sahih Bukhari kee Ahadeeth ka Roman English (Urdu) tarjama ap tak pahonchany kee sa’adat hasil ho rahi hae.

Sahih Bukhari Nabi Pak ﷺ ke a’amal or aqwaal (Sunnah) ka majmoo’aa hae. Nabi Pak SAW ke a’amal aur aqwaal ko “ahadeeth” kaha jata hae. Imaam Bukhari ki zindagi ka daor Nabi Pak saw ke intiqal ke taqreeban 2 sadi baad ka hae. Unhon ne bahot mehnat se Nabi Pak SAW ki ahadeeth ikhatti (jama’a) keen. Un kee tamaam ahadeeth ki tasqdeeq Quran ke sath muwafqat se ki gai hae or bahot hi ehtiyat se ahadith rewayat kerny walon kee sacchaee kee bahot mehant se tahqeeq ki gaee hae. Bukhari kee ahadeeth ko dunya ke musalmanon ki aksariat ek bahot hee mustanad ahadeeth e Nabvi SAW ka majmooa maanti hae.

Bukhari (Poora naam Abu Abdullah Muhammad bin Ismail bin Ibrahim bin al-Mughira al-Ja’fai) 194 hijri mein paeda hooay or 256 hijri mein wafaat pa gay. Un ki ahadith ke majmoo’e ka koi sani nahi hae. Unhon ne ahadeeth ki taleef (tarteeb) mein 16 saal guzaare aur 2,602 (Takraar ke saath 9,082) ikhattee kein. Un’ka Ahadeeth ko apne majmoo’e mein shaamil kerne ka ma’yar baaki ulma e ahadeeth se bahot sakht thaa.

Sahi Bukhari ko 9 jildon mein taqseem kiya gaya hae. har ek jild ki bahot si kitaben haen. Har kitaab mein bahot saree Ahadeeth haen. Har jild men Ahaadeth ko mussalsil tarteeb se (numbered) jama’a kiya gaya hae. Jild ke Kaitaabon ka maqdad sirf hadeethon ko aasani se jama’ Karen ka hae, warnaa Ahadeeth kee tarteeb aor numbering jildon ke hisab se tarteeb kee gaee hae.

  1. Book 1 : كتاب بدء الوحى {Book of Revelation- 1 to 7}
  2. Book 2 : كتاب الإيمان {Book of Belief- 8 to 58}
  3. Book 3 : كتاب العلم {Book of Knowledge- 59 to 134}
  4. Book 4 : كتاب الوضوء {Book of Ablution-135 to 247}
  5. Book 5 : كتاب الغسل {Bathing (Ghusl)-248 to 293}
  6. Book 6 : كتاب الحيض {Menstrual Periods- 294 to 333}
  7. Book 7 : كتاب التيمم {Rubbing hands and feet with dust (Tayammum)- 334 to 348}
  8. Book 8: كتاب الصلاة { Prayers (Salat) -349 to 520}
  9. Book 9 : كتاب مواقيت الصلاة { Times of the Prayers- 521 to 602}
  10. Book 10 : كتاب الأذان {Call to Prayers (Adhaan)- 876 to 941}
  11. Book 11: كتاب الجمعة { Friday Prayer- 876 to 941}
  12. Book 12: كتاب صلاة الخوف { Fear Prayer – 942 to 947 }
  13. Book 13: كتاب العيدين { The Two Festivals (Eids) – 948 to 989}
  14. Book 14 : كتاب الوتر { Witr Prayer- 990 to 1004}
  15. Book 15 : كتاب الاستسقاء { Invoking Allah for Rain (Istisqaa)- 1005 to 1039}
  16. Book 16 : كتاب الكسوف { Eclipses – 1040 to 1065 }
  17. Book 17 : كتاب سجود القرآن { Prostration During Recital of Qur’an- 1067 to 1079 }
  18. Book 18 : كتاب التقصير { Shortening the Prayers (At-Taqseer)- 1080 to 1119 }
  19. Book 19 : كتاب التهجد {Prayer at Night (Tahajjud)- 1120 to 1187}
  20. Book 20 : كتاب فضل الصلاة فى مسجد مكة والمدينة { Virtues of Prayer at Masjid Makkah and Madinah- 1188 to 1197}
  21. Book 21 : كتاب العمل فى الصلاة { Actions while Praying – 1198 to 1223 }