“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
EK AYAH EK DIN MEIN
(SURAH AL-BAQARAH)
(CHAPTER NO: 2)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
—Imam Ahmed ne darj kiya hai ki Abu Umamah Al-Bahili(R.A) farmaate hai ki aap ne Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ko kahte hue suna ki , (” Qur’an ki tilawath karo, kyun ki yahi apne bando ki Akhirath ke Din shafa’ath(sifarish) karnewala hai. Do Roshniyon ki tilawath karo, Al-Baqarah aur Al’Imran, kyun ke , yeh Akhirath ke Din , do(2) badalon ki tarah aap ke saaye banege, do saaye ta do line parindon ke aur Is Din yeh apne bandon ki taraf se tark karne ke liye aage badenge”. )
🔸Is mein koi shaque ya matbhed nahi ki Surah Al-Baqarah ki saari ki saari ayatein Al-Madinah mein hi naazil hui hai. Iske alawa, Al-Baqarah un pahele Suraton mein se hai , jo paheli baar Al-Madinah mein naazil hue. Allah (swt) ka bayaan
﴿وَاتَّقُواْ يَوْمًا تُرْجَعُونَ فِيهِ إِلَى اللَّهِ﴾
(Aur Us Din se daro , jis din tumhe wapas Allah(swt) ke paas wapas lautaye jaaoge) (2:281) aakhri Ayah thi jo Qur’an se naazil ki gayi hai.
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
﴿الم ﴾ 1 : Ayah no
(Shuru Allah(swt) ke naam se, jo bada Meherbaan aur bada hi Rahmatwala hai. )
Ayah no: 1 (Alif Lam Mim)
___ Akele shaksi hurf , jo Surahs ke shuruaath mein hote hai, Un hurf/alfaaz woh cheezon mein hai , jiska ilm Allah(swt) sirf Apni smith tak hi rakha hai.
_____ Agar koi doraahe hue hurf/alfaaz ko nikaalega, toh woh hurf/alfaaz ki tadaad , jo Surahs ke shuruaath mein bayaan kiya gaya hai, woh 14 hai.Alif, Lam, Mim, Sad, Ra , Kaf, Ha, Ya ,’ Ayn, Ta, Sin, Ha, Qaf, Nun.
___ Aur, Ulema-e-ikraam kahte hai, ” Is mein koi shaque nahi hai ke Allah(swt) ne koi khel aur mazaka ke liye in alfaaz ke maaney ki etelah hamare liye nahi kholi hai. Iske barkhilaaf , yeh alfaaz/hurf khususi maaney rakhe hue hai.
____ Yeh hurf/alfaaz ki Surahs ke shuruaath mein zikr karne ki hikmat, iske bawjuud ke inke asli maanon se waqif nahi, yeh hai ke , yeh Qur’an ki shaan/ chamatkaar ki tasdeeq karte hai.
___Beshaque, banday , Qur’an jaisi koi bhi cheez paida nahi kar sakte, haalanke ismein wahi hurf aur alfaaz hai jo woh ek dusre se baat karne ke liye istemaal karte hai.
__Har Surah jo yeh hurfon se shuru hota hai, Qur’an ki shaan aur chamatkaar bayaan karte hai, aur yeh sach se woh sab waqif hai , jo issey acchi tarah hifz kiye hye hai. Aise Surahs ki ginti untees(29) hai.
(AUR ALLAH (SWT) BHETHER JAANTA HAI)
END OF LESSON NO :1 (CHAPTER 2)
LESSON : 2 TO BE CONTINUED……..
TO BE CONTINUED……..
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
Ameen ya Rabbul Alameen
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.