“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝
( PART : A.)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
‘Allah’ , Rabb ka Naam hai, jo Gaalib hai. Yeh kaha gaya hai ki ‘Allah’ , Allah(swt) ka bahuth hi Bada Naam hai, kyun ki, yeh Allah(swt) ke Asma -ul-Husna bayaan karte waqt , is Naam ke hawale se kaha jaata hai.
🔻Misaal ki taur per, Allah(swt) ne farmaaya, [” Wahi Allah hai, jiske siwa koi mabood nahi, har dekhi aur undekhi cheezeon ko jaanewala. Wahi hai bada Meherbaan , Rahmatwala.Wahi hai Allah , jiske siwa koi mabood nahi, Badshah, nihayath paak, salamati denewala, aman bakhashnewala, hifazath farmaanewala, izzat wala, azmathwala. Allah ko paaki hai, inke shareek se. Wahi hai Allah! Bananewala, paidakarnewala, har ek ko surat denewala. Isi ke hai sab acchey naam. Iski paaki bolta hai, jo kuch aasmaan aur zameen mein hai aur wahi izzat wa hikmat wala hai. (59: 22-24).
Isliye, Allah(swt) bayaan karte hai apne kayi Naam , apne naam Allah ki sifat se. Usi tarah , Allah (swt) kehte hai, (” Aur Allah hi ke hai bahuth ache naam. Toh Isey inse pukaaro.”) (7: 180), aur,
Farmaao Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam): ” Allah kehkar pukaaro ya Rahman kehkar , jo kehkar pukaaro, sab Isi (Allah(swt) ) ke asma ul Husna( achey naam) hai ( 17: 110)
Aur bhi, Do(2) Sahihyon mein darj kiya ki, Abu Hurayrah (R.A) ne kaha ki , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya, ” Allah(swt) ke naniya nau(99) Naam hai, ek(1) kam Sau (100) , jo bhi inhe ginega (ya mehfuz rakhega) , woh Jannat mein daakhil hoga.
🔻Ar-Rahman aur Ar-Rahim, yeh do sifat , At-Rahmah ( Rahem) se liye gaye hai, lekin Rahman ke bahuth maaney hai , jo rahem se nisbat rakhte hai, Ar-Rahim ke taluk se. Aage, Al-Qurtubi kehte hai, ” Yeh sabooth ke yeh ism(naam) Ar-Rahmah se liye gaye hai , yeh hai ke woh At-Tirmidhi mein bayaan kiya hai- aur darj kiya Sahih ke aap ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko kehte hue suna ki,
” Allah(swt) , jo Bada buland darjewala hai , farmaata hai ki, “Main Ar-Rahman hun. Main ne Raham ( bachey daani, yaane khandaani rishtey) banaya aur Mere Ism se , iska ism nikala hai. Isliye, jo bhi yeh ism rakhega, Main ussey rishtey jodkar rakhunga, aur jo bhi iska inkaar karega , main ussey rishtey inkaar karunga.”
🔻Ar-Rahman , jo sirf aur sirf Allah(swt) ke liye hai, ek aisa Ism hai jo Allah(swt) ke har kism ki meherbaaniyon ko apni simith liye hue hai. Ar-Rahim hi hai jo Imaanwalon ko asar karta hai, ke Allah(swt) ne farmaya, “Woh saare musalmanon (imaanwalon) par meherbaan hai.”(33:43)
Ibn Abbas (R.A) farmaate hai- Ar-Rahman aur Ar-Raheem ke silsile mein ki, ‘ Yeh do naam narm hai, ek dusre se zyadah narm hai( yaane ke yeh naam meherbaaniyon ki poshida maaney ki taraf tawajju hai)”
🔻Woh Ar-Rahman hai apni saari kainaath ke liye aur Ar-Raheem hai apne imaanwalon je saath. Isliye, Allah(swt) bayaan karte hai, , (“Phir arsh par ,istawa farmaya , jaise Iski shaan ke layaq hai.woh Ar-Rahman hai”) (25:59) aur
(” Woh Ar-Rahman (meherwala ) ,isne arsh par istawa farmaya, jaisa iski shaan ke layaq hai.”) (20:5)
🔻Allah(swt) , yun bayaan karte karte hai ki, istawa- arsh par uthna-apne naam Ar-Rahman ke saath , yeh batane ke liye ki , Uski meherbaani , Uski saari kaynaath , Uski poshida naamon ko ruju karta hai.
END OF LESSON :8 (PART: A)
(PART: B)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
🔻Allah(swt) aue bhi farmaya ki, (” Aur Woh apne imaanwalon ke liye Ar-Raheem (Rahmathwala) , hai, istarah apne bandoy ko apne Naam Ar-Raheem ka poshida maaney diya. Woh kehte hai ( ulema) ke, ” yeh saabith karta hai woh sacchayi ke Ar-Rahman , Allah(swt) ke apne maqluqaath par meherbaaniyon ke maanon ka bada jayzaah deta hai, dono hi duniya mein. Jab ke Ar-Raheem , sirf aur sirf imaanwalon ke liye hai.
🔻Allah(swt) ke naam Ar-Rahman , wahid Usi ke liye hai. Misaal ki taur par, Allah(swt) farmaate hai, (” Kaho Aye Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) : Allah kehkar pukaaro ya Rahman kehkar, jo kehkar pukarro, sab Isi ( Allah(swt) ) ke asma ul Husan ( achey naam ) hai. (17: 110)
🔻”Aur pucho Aye Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) , hamare un paigamberon se , jo tumse pahele bheje gaye the: ” Kya hamne kabhie alihah (khudaaon) ko bheja hai Ar- Rahman(jo bada meherbaan hai) ko chodkar ibadat karne ke liye? “(43:45)
🔻Chunachey, Allah(swt) pahele aapn naam ‘ Allah’ ‘bayaan karta hai, jo sirf Usi ka hai, aur is naam ka bayaan Ar-Rahman se bayaan kiya gaya hai, jo koi aur nahi istemaal kar sakta hai.
Aur jo Allah(swt) ka naam Ar-Raheem hai, Allah(swt) ne , dusron ko bhi is naam se bayaan kiya hai. Misaal ki taur par, Allah (swt) farmaate hai, (” Beshauqe! Tumhare paas tashreef laaye , tum mein se woh paigamber (Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ,jinpar tumhare mashkhath( musibath) mein padhna takleef ki baat hai. Tumhari bhalaayi ke nihayath chahne wale ; musalmaanon ke liye nihayath hi meherbaani karne wala, Ar-Raheem (meherbaan hai.) .” (9: 128).
🔻Allah(swt) ne Apne kaynaath ke kuch cheezeon ko Apne Naam ke zariye bayaan kiya hai. Misaal ki taur par, Allah(swt) farmaate hai, (.” Beshaque! Humne insaan ko Nutfah(boond) se paida kiya mili hui mani se ke woh isey jaanchey. Toh isey sunta ( Sami) aur dekhta ( Baseer) kar diya. “(76: 2)
🔻Isliye, Allah(swt) ne Tasmiyah ( maaney: Allah(swt) ke naam se, jo bada Meherbaan aur Rahmatwala hai) shuru kiya apne naam’ Allah ‘se aur Khud ko Ar-Rahman( Bada hi Meherbaan) jo narm hai, aur Ar-Raheem se aam hai , bayaan kiya hai. Bahuth zyadah izzatwale naam ko pahele bayaan kiya jaata hai, jaise ke Allah(swt) ne yahan kiya hai.
(Aur Allah(swt) behther jaanta hai)
END OF LESSON:8 PART ‘B’
TO BE CONTINUED: 9 LESSON.