
Sab tareef sirf Allah hee ke liye hae.
Bismillah!
Musalman shaksh ke liye ye jayez nahi ke wo baghair kisi shara’ee uzr(wajah) ke yani kaahili aur laparwahi ki wajah se namaz ke waqt me takheer(der) kare hatta(yahaan tak) ke uska waqt hi nikal jaye kyunki Allah Ta’ala ne har namaz ke ada karne ka alag alag waqt muqarrar kar diya hai aur hamare liye unhi muqarrar kiye gaye waqt maen namaze ada karna fard kiya gaya hai.
Jaisa ke Allah Ta’ala ka farman hai._
An-Nisa,ayah :103
Namaz ke qaza hone ki do suratein islam me batai gayin hain._
- Nind
- Bhool
Anas bin Malik (Radiallahu anhu) se riwayat hai ke
Rasool’Allah(sallallaho alaihi wasallam) ne farmaya “jo koi namaz ada karna bhool jaye,usko chahiye ke jaise hi usey yaad aye ,wo namaz ada karle. Isliye ki iska koi aur kaffara nahi.”
Anas bin Malik (Radiallahu anhu) se rivayat hai ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
Jab tumme se kisi ki namaz, bhool ya nind ki wajah se Qaza ho jaye to usey chahiye ke jab yaad aye tab ada karle isliye ke Allah Ta’ala farmata hai ” Namaz qayem karo meri yaad ke liye”(Surah Taha, Ayah: 14)_

______________________________________
🛑Ibn Hazm (Rahimullah) ne kaha:
” Jisne bhi baghair kisi sharaee uzr(wajaah) ke namaz ada na ki yaha tak ki us namaz ka waqt hi nikal jaye wo kabi uski qaza nahi ada kar sakta kyunki baghair kisi uzr ke namaz zaya karne ke baad qazayein kuch faida nahi dengi.
Usse chahiye ke sachhi tauba kare aur dobara aisa naa karne ka ahed karle. Lehaza usey kasrat se nafil ada karni chahiye, ho sakta hai ke un nafilo ki bina par uske farayez ki kami aur nuqs puri ho jaye aur akhirat ke din uski neki ka wazan zyada ho jaye.
______________________________________
_*
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah me ulema farmate hain:*
Jo koi bhi farz namazo ko bina kisi sharaee uzr ke qaza karta hai chahe wo ek namaz ho ya bohat zyadaa hon ussey Allah Ta’ala se sachhi tauba karni chahiye. Aur usey in namazon ki qaza nahin ada karni hai aur naahi koi kaffara ada karna hai,Kyunki janbujh ke namaz qaza karna ek kufr hai jaisa ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
Buraidah (Radiallahu anhu)kahte hai ke Rasool’Allah (sallallaho alaihi wasallam) ne farmaya :_
“Hamare aur munafiqeen ke darmiyan namaz ka muahida(agreement) hai to jisne namaz chhod di usne kufr kiya”

Jabir (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya :
“Admi aur kufr aur shirk ke darmiyan tark e namaz hai(yani namaz ko chhodna). ”
_
Sahih Muslim, 242_
Isliye Allah se sachhi tauba karne ke alawa namaz qaza karne ka koi aur kaffara nahi.
_*
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah 6/50*_
Aur sab se behtar janne walaa sirf Allah hae.
Jazak Allah khair for your time. Keep me & my family members in your precious duas.
May Allah(subhana wata’ala) makes this as a means to get Sawaab e jaria to me, my family, you & your family. Ameen 🙂
Assalamualaikum warehmatullahi wabarakatuhu.
If Allah(swt) wills, please consider sharing this post.And if you wish to get updated everytime we post please subscribe. In sha Allah!
Jazak Allah Khair.
Stay Blessed!