🌻Assalamu’alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD🌻
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON :110 📚
🌻SABAQ:-
🔸Uthmaan ki muheem aur Ridwaan ka Aha’d
🔸Sulenaam’a (samjhauta) ka kh’atmah.(mukammal karna)
🌻UTHMAAN KI MUHEEM AUR RIDWAAN KA A’HAD.🌻
🌻Theen sifaa’rti numaindey , Muslims ke maqsad ke baarey mein daryaft karney ke liyae aakar sawalaath kiye aur chale gayae. Ab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) kaisey Quraish ko yeh itminaan dila saktey thae ke , Aapka Makkah anaa Aapka sirf ruhani maqsad hi hai. ? Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ne faisla kiya ke aap apnae hi sifarti numainda , Uthmaan bin Affaan (RadhiAllahu ‘anhu) ko bhejengae, jo Quraish ko yeh samjhayengey ki woh sab sirf Umrah ki neeyath se wahan aayein haen.
🌻Uthamaan(RadhiAllahu ‘anhu) , Quraish ko Islam ki ooar daa’wath denae’waalae thae aor Makkah mein maujuud imaanwaalae (yaanae Muslims) mard aur auraton ko khushkhabri aor houslaa denae’waleae thae , us achey waqt ka ke Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) is deen ko jeet ki ooar le jaane walae haen. Woh waqt nazdeek hi hai, jab woh saare logon ko , apna imaan aur deen chupaanae ki zarurath nahee hogee. Uthmaan (RadhiAllahu ‘anhu) , Abban bin Sayeed Umwee ke hifazath mein Makkah mein daakhil hu’ae aor yeh paigaam pahuncha’yaa.
🌻Qurai’sh unn’hae Ka’bah ka tawaaf karnae ka maukha paesh kiyaa, lekin Aapnae inkaar kar diyaa , kyun ke khud Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko hi is ibaadath karnae se roka gayaa hai. Quraish ne faislaa kiyaa ki Uthmaan (RadhiAllahu ‘anhu) ko kuch waqt ke liye unn’kae paas hi roklein, taa’kae woh unn’hae Muslims ke taehad , kuch pokhthaa faislaa karkae bhejein.
🌻Unn’kae aaney mein daeri honaef ki wajeh se , yeh af’fwaah phaeil gayee ke , unn’hae qatl kar diyaa gayaa. yunkee , kisee paigaam pahunchaa’nae waalae numainda ka qatl karna, jung ke elaan ka sabab ban jaata hae, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko jung ki tayari karni padhi. Darakhth (paed) ke neechey tehraey hokar , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apnae maan’nae waa’lon ko salah di ke woh sab kasam laen. Saarae saathiyon ne kasam lee ke , woh sab maidan-e-jung mein tabtak jamaey rah kar ladtaey rahengae , jabtak ke woh shaheed na ho jaayaen.
🌻Ek dusrae ka haath, ek ke upar ek rakh’kar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kahaa,
👉🏻” Yeh a’had Uthman ki taraf se hae.” Tab hee uss taraf se (Quraish ke yahan se) Uthmaan ( RadhiAllahu anhu)khud tashreef laayaen, aor imaanwaaale(Sahabi) jung mein shaamil honae se bach gayae, lekin sabhi ne apnee wafadaari , ahad ke zariyae saabith kar chukaen . Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ne is ahad ki taqdees (safaayi) ka zikr kartae hu’ae yeh aayat naazil farmaayee:
📖” Aye Paigamber! Jab Musalman darakth ke neechey ahad ale rahae thae, inn’ sae Khuda bahuth khush hu’ae.” 📌(48:18)
🌻Aor uss din se , ahad jo darakth ke neechey liyaa gayaa thaa, woh ahad “Bay’a Al-Ridwaan” ya woh ahad jo Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ki khushnawee haasil ki , se jaaney gayaa.
✨ AHAD NAA’MEY KO NATEEJAE PAR PAHUNCHAA’YA GAYAA ✨
🌻Jab Quraish ko iss baith ke ha’laf ka pata chalaa, toh unn’logon ne faisla kiyaa ke woh jung nahi karengae aor Suhayl bin Amr ko aman qaayam karnae ke liyae bhejaa. Lambi baatcheeth ke baad aakhir mein, mundarja zail (neechey diyae gayae) muhaa’don (halathon) par raazi hu’ae:
🔺 Pahaelaey, Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam), Aap aur Muslims bina Umrah kiyae, uss saal waapas laut jayengae. Aap Makkah dobaara agley saal , theen(3) din ke liyae aa saktey hain, aor iss dauraan Aap aur aapkae Sahabi koyee bhi hathyaar lekar ghoom nahee saktaey siwaayae talwaar ke , jo unn’kae mayaan mein hi rehni chahiyae.
🔺 Dusra, yeh hae ke yeh jung bandi , dus saal tak asar mein rahegaa. Aor, jiss’kisee ko bhi Rasool (Sal Allahu alaihi wa sallam) ke saath rishta rakhney ki khwaa’aish ho, unn’hae aisa karnae ki iza’zat dedi jayaegi, aor usee tarah jiss’kisee ko bhi wapas Quraish mein shaamil hona hae, unn’hae bhi izaa’zat dedee gayee.
🔺Aakhir mein, Quraish mein se jo koyee bhi , Madinah farar ho gayaa ho, usae waapas Makkah bhejna hogaa, magar Quraish ko koyee zarurath nahi thee, aur woh paabandh nahee thae ke woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke kisi bhi Sahabi ko wapas karae jo Makkah laut aaya ho.
🌻 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) phir Ali(Radhi allahu anha) ko bulaa bheja aor unn’hae yeh likhnae ka hukum diyaa: Shuru Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ke naam se, Jo bada Maeherbaan , badaa Rahemwaala hae. Suhayl isskee khilafath kee,
👉🏻” Mu’jhae sakhth iteraaz hae ki Aap Bada Maeherbaan se taa’ruf karae.” .Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne phir Ali(Radhi Allahu anha) se likhnae ko kahaa: Shuru Aapkae ke naam se O Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) . Phir Aap ne Ali (Radhi Allahu anha) ko yeh likhnae ko kahaa,
👉🏻”Yeh woh hae jo Rasool Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ne faisla kiyaa.”
💝Dobaara phir Suhayl ne iteraaz jatayaa,
👉🏻”.Agar humnae aapko Paigamber qubool kiyae hotae toh, hum aapko Khuda ke ghar se waapas na kartae , aor na hee Aapse jung karnae tayaar hoate.”
👉🏻” Main toh Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa)ka paigamber hun, siske bawjuud ke, ke tum mujhpar yaqeen na rakhate ho,” Kehkar Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab diyaa. Aapnae Ali (Radhi Allahu anhu) ko kahaa kee woh jo kuch phaeh’laey likhae thae, woh sab kuch mitaa daen aor Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne aapse kahaa ke “Paigamber Muhammad” ki jagah “Muhammad bin Abdullah” likhae.
🌻”Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ki kasam, maen aisaa nahee kar saktaa,” Ali (Radhi Allahu anha) ne jawab diyaa. Lekin, Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne Ali (Radhi Allahu anhu) se puchaa ke woh alfaaz bataayae jiss’se mitaanae hae. Ali (Radhi Allahu anha) ne woh alfaaz Aapko batayaa aor Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unn’hae khareej kiyaa. Ussake baad do dastawaez ke naqal likhaaye gayae___ ek Quraish ke liyae aor dusraa Muslims ke liyae.
💝Aman ke ahadnamae ke dastawaez abhi tayaar ho hi rahaey thae ki, tab hi Abu Jandal , jo Suhayl bin Amr ke bete thae, aur Muslim ho chukae thae, uss manzar par pahunchae, bediyon ( zanzeeron) be jadoh’ jahaed kartae hu’ae, kyun kee unnkae wa’lid ne mutaa’lah (demand) kiyaa ki unn’hae Makkah waapas bhaeaje. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ne ehtejaj (khilafath ) ki.
👉” Lekin ahadnama toh abhi tayaar kiyaa jaa rahaa hai. Woh toh abhi mukammal nahee hu’ee hae.” Suhayl ne kahaa,
👉” Agar aisaa ho toh , phir maen aapse yeh samjhota karnae ke liyae tayaar nahee hun.”
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ne phir se kahaa,
👉”Innko (Abu Jandal) ko maerae kha’tir baksh do.” Lekin gustaaqi andaaz mein ak’ad kar bolae ,” main toh issae aap ke kha’tir bhi na chodungaa,” aor apne bete ko berahemee se maarnae lagae. Abu Jandal ronae lagae.
👉Aye Muslims! Kya mujhe phir mushrikeen ke paas waapas bhej diyaa jayaega, taakae mujhae phir se , maeare Imaan ke talluq se aazmaaish mein dalaa jaayae?”
💝 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ne unnsey (Abu Jandal se ) kahaa,
👉 ” Aap sabr ikhtiyaar kijiyae aor apnae tehveel ( kisiko usskey mulk ke hawaalae karna) ko ek behthreen aor zyadah enaam ka samjho. Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) aap par aor dusare mazloom Muslims par Apnee baeshumaar rehmat ataa kaaregaa,” Umar bin Khattab ( Radhi Allahu anhu ) is maamale se sakht naaraaz huae aor aap Abu Jandal ko apnae waleed ko qatl karnae ke liyae kahaa, lekin Abu Jandal apnae aapko peechae rok liyaa aor ahad namaey ke muatabiq amal kiyaa.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED. ……
END OF PART 110…….
NEXT LESSON WILL BE CONTINUED.