Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
In this post you will find the verses of SURAH AT TARIQ in Roman English
Surah Tariq Makki hai.
86th Surah hai Quran e paak hai.
Iss mein 17 ayatein hai aur ek Ruku hai.
Bismillah hir rahmaan nir raheem.
Shuru Allah ke naam se jo bada meherbaan nihayat Rahem karne wala
1)Wassamaaaa e wattariq
Translation: kasam hai asmaan ki aur raat ko numudaar hone wale ki.
Explanation: Asmaan ki kasam aur tareeq ki kasam
2)Wa maaa adraaka mattaariq
Translation: Aur tum kya jano ke woh raat ko numudaar ko hone wala kya hai?
Explanation: Aur tune kya janaa ke Tariq kya hai?
3)Annajmus saaqib
Translation: chamakta hua Taraah
Explanation: Woh ek chamakta hua taraah hai
4)In kullu nafsil lammaa ‘alaihaa haafiz
Translation: Koi jaan aisi nahi hai jiske upar koi nigebaan na ho
Explanation: Har jaan ke upar ek nigebaan muqarrar kiya. woh farishta hai jo uski nekiyo ko likhta hai,ek farishta uski buraiyo ko likhta hai.
5)Fal yanzuril insaanu mimma khuliq
Translation:Insaan ko chahiye ke woh gaur kare ke woh kiss cheez se banaya gaya?
6)Khuliqa mim maaa’in daafiq
Translation:Ek uchalte hue pani se paida kiya gaya.
7)Yakhruju mim bainissulbi wat taraaa’ib
Translation: jo peet aur seene ke haddiyo ke darmiyaan se nikalta hai
Explanation: Woh nikalta hai,mard ki peet se aur aurat ke seene se
8)Innahoo ‘alaa raj’ihee laqaadir
Translation: Beshaq woh Allah(swt) usse dubare banane pe qadir hai
9)Yawma tublas saraaa’ir
Translation: Woh qayamat ka din jiss din chupi baatein ki bi jaanch hogi.
Explanation: Qayamat ke din woh chupi baatein(woh gunah jo chup kar kiya gaya tha) ki bi jaanch hogi. Usse bi saamne laya jayega.
10)Famaa lahoo min quwwatinw wa laa naasir
Translation: Uss waqt insaan ke pass na apna koi zor hoga na uska koi madad karne wala hoga
Explanation:Bas uss gunahgaar ke liye na koi quwat hogi na koi madadgaar hoga jo Allah(swt) ke gazab se bachaa sakega
11)Wassamaaa’i zaatir raj’
Translation: Uss asmaan ki kasam jiss se barish barasti hai
12)Wal ardi zaatis sad’
Translation: Aur nabataat ugte waqt pahtjane wale zameen ki
Explanation: Aur uss zameen ki kasam jisse kheti ugti hai
13)Innahoo laqawlun fasl
Translation: Yeh ek jachi tuli baat hai
Explanation: Beshaq yeh quran zarur faisla karne wala kalaam hai
14)Wa maa huwa bil hazl
Translation: Hasi mazaq nahi hai
Explanation: Aur yeh mazaaq mein udaane ki cheez nahi
15)Innahum yakeedoona kaidaa
Translation: Yeh log kuch chalein chal rahe hai
Explanation: Beshaq yeh kaafir khoob makr o fareeb karte hai
16)Wa akeedu kaidaa
Translation: Aur mein bi ek chaal chal raha hu
Explanation: Aur mein khoob khufiya tadbeer karta hu. khufiya tadbeer kya hai? Kaafiro ko mahulat dena, fir woh gafil hogaye achanak se koi azaab, koi beemari koi museebat jab ai toh insaan jitna naaz o nemato mein pala hoga itni hi museebat ki takleef usse zyada hogi, jiss ne shuru se takleefein dekhi usse takleef se itna zyada ehsaas nahi hota. Toh yeh bi Allah(swt) ki khufiya tadbeer hai ke jiss se Allah(swt) naraaz hota hai usse pehle khoob esh wa ishrat diye jate hai aur phir jab pareshani aati hai toh jiss ne saari zindagi esh o ishrat mein guzari hai woh pareshaniyo ko bardasht nahi karsakta. Iss tarah ki aur khufiya tadbeeren hai.
17)Famahhilil kaafireena amhilhum ruwaidaa
Translation: Bas chod do e nabi in kafiro ko ek zara ki zara in ke haal par chod do.
Explanation:Bas tum kafiroon ko mahulat dedo, dheel do,kuch thodi si inhe mahulat do.Thodi si mahulat dedo kafiro ko aur yeh kaafir apne anjaam ko pohanchenge.
Sadaqallahul azeem.
May Allah(swt) forgive all of us for any mistakes dont in the tafseer & translation.
May Allah(swt) grant us all understanding of the Holy Quran.
AMEEN
May Allah(swt) forgive me,my mom, dad & my sisters for any mistakes done in the translation & sharing work.. Ameen ya Rabb! In case any mistakes found in the translation work please write down in the comment box below so that we can make necessary changes at the earliest. In sha Allah!
May Allah(swt) protect us all from the punishments of grave,grant us Jannah and make our life’s better in this world & hereafter!Ameen!
Jazak Allah Khair:) Stay Blessed!
Jazak allah khair..
For making us read in our mother tongue
A beautiful ayatein…
May allah give every Jaiz thing to you all who ever is apart of this wonderful work.
Ameen
Shurukh
LikeLiked by 1 person
Subhan Allah
Beautifully well translation in our own mother tongue
LikeLike