Assalamualaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu…….
Ab hamne ek naya safar ilm haasil karne ka shuru kiya hai EK AYAH EK DIN MEIN aur main guzarish karti hu aap sab se ki , aap apne deen ko seekne main wahi dilchaspi aur khushgawari rakhenge jo hamesha rakte hai
Allah(swt) hum se aur aap sab se isey qubool farmaye.
Ameen
“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
EK AYAH EK DIN MEIN
LESSON NO : 1⃣
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
AL FATIHAH KE MAANEY AUR USKE ALAG ALAG NAAM
Is surat ka naam surah Fatiha hai. Fatiha kehte hai shuru karnewali ko.Yeh Kitaab ki shuruwaath hai, surah jisse ibadat shuru ki jaati hai. Isey , kayi ulema ke mutaabiq Umm Al-Kitaab (Kitaab ki maa) bhi kaha jaata hai,
Ek tasdeeqi hadith mein At Tirmidhi ne Sahih tasdeeq karte hue bayaan kiya, Abu Hurayrah ne farmaya ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha,
الْحَمْدُ للهِ رَبَ الْعَالَمِينَ أُمُّ الْقُرْآنِ وَأُمُّ الْكِتَابِ وَالسَّبْعُ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنُ الْعَظِيمُ»
(Al-Hamdu lillahi Rabbil-‘Alamin, Umm Al-Kitaab hai, Kitaab ki Maa, aur Qur’an Al -Kareem ke saath(7) dohraaye hue Ayat)
Isko Al-Hamd aur As-Salah bhi kaha jaata hai, kyun ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha ki , mere Rab ne kaha,
«قَسَمْتُ الصَّلَاةَ بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي نِصْفَيْنِ، فَإِذَا قَالَ الْعَبْدُ:الْحَمْدُدِلله رَبِّ الْعَالَمِينَ، قَالَ اللهُ: حَمِدَنِي عَبْدِي»
(Al- Hamd ( Al-Fatiha) ko do(2) hisson mein takseem kiya gaya hai, ‘Main aur Mere bandey.’ Jab bandey (gulaam) kehte hai, “Tamaam tareefen Allah(swt) ke liye, jo tamaam maqluqaath ka Maalik hai,” Allah(swt) kehte hai,” Mere bandey ne meri hamd(tareef) ki hai. Al -Fatiha ko As-Salah kehte hai kyun ki , iski tilawath , Salah- namaz ki sahi hone ki sharth hai. Al-Fatiha ko As-Shifa (ilaaj) bhi kehte hai.
Al-Fatiha ko Ar-Ruqyah (ilaaj) kehte hai, kyunki Sahih mein, Abu Sa’id ka bayaan hai , jinhone apni ek Sahabi ki kahani ka zikr kiya jo Al-Fatiha ko , ek qabile ke sardaar ke zeher ko dur karne ke liye istemaal kiya. Baad mein, Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Sahabiyon se kaha,
وَمَا يُدْرِيكَ أَنَّهَا رُقْيَةٌ»
(Tumhe kaise pata ke yeh Ruqyah hai?)
Al-Fatiha , Makkah mein naazil hui, ‘Abbas , Qatadah aur Abu Al-Aliyah ne farmaya,
Allah(swt) kehte hai
وَلَقَدْ ءاتَيْنَـكَ سَبْعًا مِّنَ الْمَثَانِي﴾
(Aur beshaque; humne ,aap par saath(7) Mathani ata kiya hai) (Saath(7) doraheye hue ayat) ( yaane Surah Al-Fatiha) (15:87).
Allah(swt) beheter jaanta hai.
TO READ INTRODUCTION OF AN AYATH A DAY CLICK HERE:
INTRODUCTION – AN AYATH A DAY KEEPS THE SHAYTAAN AWAY
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
Ameen ya Rabbul Alameen
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.
Asalamalikum dearest shurukh
As I keep reading your lessons.
Mashallah SubhaanAllah
Excellent work.
Note. Aap audio clips eske saath rakh sakte hain tu rakhiye na
The same lessons in audio clips…
Is it possible?
LikeLike
Assalamualaikum warehmatullah!
Can you please keep updating remaning surah in roman english please.
Jazakallahu khair
LikeLike
Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
Dear sister,
Tafseer of Surah An-Naas in Roman English has been posted. In sha Allah, Next Surahs will be posted soon.
LikeLike