“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
EK AYAH EK DIN MEIN
LESSON NO:- 2⃣
🔻 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
AL-FATIHAH KO UMM AL-KITAAB KEHNA KI WAJEH
Apne ne Sahih Al-Bukhari mein farmaya; “Isey Umm Al-Kitaab kehte hai, kyun ki Qur’an isi sey shuru hoti hai aur kyun ke Salah(Namaz) bhi isi ki tilawath se shuru hoti hai. “
Arab har ek jama ke masail jo tarah tarah ke maqsus ilaqe(mazmun) mein rakha karte the, use Umm kehte hai. Maslan, dimaag ke eteraaf cover karne wale jild(skin) ko Umm Ar-Ra’s , Makkah ko Umm Al-Qura, ( gaaon(ilaaqon) ki maa) kyun ke Makkah , sabse shaandaar aur saare gooan ka sardar hai.
Imam Ahmad ne record kiya ki Abu Hurayrah bayaan karte hai Umm Al-Qur’an ke baare mein Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya hai,
هِيَ أُمُّ الْقُرْآنِ وَهِيَ السَّبْعُ الْمَثَانِي وَهِيَ الْقُرْآنُ الْعَظِيمُ»
( Yeh Umm Al-Qur’an hai, saath(7) dauraahe hue ayah aur Qur’an Al-Kareem)
AL-FATIHAH KE KHOOBIYAN 
Imam Ahmad bin Hanbal ne record kiya , Musnad mein ke Sa”id bin Al- Mu’alla ne kaha,
” Main ibadat kar raha tha, jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne mujhe bulaya, maine App ko jawab nahi diya , jab tak ke maine meri namaz mukammal na ki. Phir maine Aap ke paas gaya aur Aap ne mujse pucha, (” Tumhe aane se kya rok rakha tha?). Maine kaha, “.O Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ! Main Namaz padh raha tha.” Aap ne kaha, (” Kya Allah(swt) ne nahi kaha), (.Aye Imaan walon! Jawab do Allah(swt) ko ( Unki farmabardari karke) aur Uske Paigamber ko, jab woh tumhe bulaaye uski taraf jo tumhe zindagi ata karta hai. Aap ne kaha, 🏻(” Main tumhe Qur’an se Bada Surah sikhaaunga , aap Masjid se ruksat lene se pahele.” ) Aap ne mera haath pakda aur jab Woh Masjid se ruksat lenewale the, maine kaha, ” Aye Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ! Aap ne kaha tha ke Aap mujhe Qur’an mein ka Sabse bada aur shaandar Surah sikhaaenge.” Aap ne kaha,
🏻(” Haan. ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَ ﴾Al-Hamdu lillahi Rabbil-‘Alamin)”
“(Yeh saath(7) dauraahe hue ayaah aur Qur’an Al -Kareem hai jo mujhe diye gaye)”
Al-Bukhari ne record kiya ki Abu Sa’id Al-Khudri ne kaha, “Ek baar, hum safar par the, jab ek gulaam aurat aayi aur kaha, ‘ Hamare elaaqe ke sardar ko zehar diya gaya hai, aur hamare log bahar gaye hue hai. Aap log mein koi hakeem maujuud gai?’ Tab ek shaks utha , jiske ilaaj mein ham yaqeen nahi rakte the, woh us aurat ki madad ke liye utha, Usne Ruqyah padhi us sardar ke liye, aur woh theek ho gaya. Woh sardar ne us shaks ko bees(20) bakriya(dumbe) , inaam ki taur par diya aur thoda doodh. Jab woh shaks wapas aaya , humlog ne kaha’ Kya tumhe koi nayi Ruqyah pata hai, ya tumne pahele bhi aisa kiya hai?” Usne kaha,” maine toh sirf Umm Al-Kitaab , Ruqyah ki taur par padhi hai.” Hum ne kaha, ” Aage kuch na karna jabtak ke humne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se zikr na kiya ho.” Jab hum sab wapas Al-Madinah laute, humne us baat ka zikr Rasool (SalAlkahu alaihi wa sallam) se kiya. Aap ne kaha, 🏻(” use kisne kaha ke woh Ruqyah hai. Baant do( bakriyon) ko aur mere hissa bhi alag kardey.)”
Iske alawa , Muslim ne bhi Sahih mein ise bayaan kiya aur Ab-Nasa’i , apneSunan mein ki Ibn Abbas ne kaha, ” Hab jibrail(alaihi salaam) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath the, unhone ek awaaz upar se suni. Jibrail(alaihi salaam) ne apni nazar , aasmaan ki taraf ki aur kaha, ” yeh Jannat mein darwaza khulne ki awaaz hai, aur yeh issey pahele kabhie nahi khula.” Ek farishta us darwaaze se uthra aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas aya aur kaha, ” Aap do(2) achi khabrey (news) qubool farmaaye, jo Aap ko ata ki gayi hai, issey pahele kisi bhi Paigamber ko ata nahi ki gayi: Al-Kitaab ki shuruaath aur aakhri theen(3) ayat Surah Al-Baqarah ke. Aap uska ek alfaaz bhi nahi padoge, lekin uske faaydeh haasil karoge.”
AL-FATIHAH AUR NAMAZ
Muslim ne record kiya ki Abu Hurayrah kahte hai ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya, 🏻( “Jo koi Namaz ada karega jis mein , usne Umm Al-Qur’an na padha ho, toh uski Namaz mukammal nahi hogi”) . Aap ne aisa theen (3) baar kaha.
Abu Hurayrah se pucha gaya, ” Agar hum Imam ke peeche tehre rahe toh?”. Unhone kaha, ” Apne aap mein padha karo, main ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko kehte hue suna,
🏻”Allah(swt) , jo bada Galib hai, ne farmaya, ” maine Salah ko (Al-Fatihah) ko do hisson mein takseem kiya, Mere aur Mere bandey ke beech, aur mere bandey ko woh ata hoga jo woh chahta hai.”
Agar woh kahega,
﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين
(Saari tareefen aur shukr us Khuda ke liye , jo saari maqluqaath ka Rab hai) Allah(swt) kehte hai, ” Mere bandey ne mere hamd( tareef) ki hai.”
َJab banda kehta hai
﴿الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ ﴾ (
(Bada Meherbaan aur Bada Rahmatwala)
Allah (swt) kehte hai: mere bandey ne Meri tareef ki hai.’
Jab woh kehta hai
مَـلِكِ يَوْمِ الدِّينِ
(Jaza(Insaaf) ke din ka Maalik,) Allah (swt) kehte hai,” Mere bandey Meri hamd ki, ” ya “Mere Bandey ne har baat ka zikr mujse kiya,”
Jab woh kehta hai
﴿إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ﴾
(Aye Allah) hum teri hi ibadat karte hai aur tujse hi madad chahte hai.”
Allah(swt) kehte hai,” Yeh Mere aur Mere bsndey ke beech mein hai, sur Mere banda eoh haasil karega jo woh chahta hai’
Kya woh kehta hai,
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ – صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّآلِّينَ ﴾
(“Hame seedha raasta dekha. Un logon ka raasta jinpar tune inaam farmaya. Un logon ka nahi jin par gazab (azaab) kiya gaya hai aur nahi gumraahaon ka. “)
Allah(swt) says ,” yeh mere bandey ke liye hai aur mera banda woh paayega , jo wo maangta hai.”
SURAH AL-FATIHAH KI TILAWATH NAMAZ KE HAR RAKATH MEIN ZARORI HAI
Yeh saare haqeeqath saabith karte hai ki Surah Al-Fatihah ki tilawath Salah mein zaruri hai, aur ulema saare is baat par itefaaq raay rakte hai. .
Aur , Do Sahih ne yeh darj(record) kiya hai ki ‘Ubadah bin As-Samit ne kaha ki, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya 🏻( ” Aisi koi namaz nahi hai jismein Umm Al-Kitaab ki tilawath na ho)
Is silsile mein bahuth saare Hadith maujuud hai. Isliye Namaz /Salah ke dauran Umm-Al Kitaab ki tilawath ki jaati hai. Aur Namaz ke dauran Imaam ko aur unke peeche tehre lig ki bhi har Namaz mein aur har Rak-ah mein padhna zaruri hai.
Allah(swt) behtar jaanta hai.
END OF LESSON 2
TO BE CONTINUED……
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
Ameen ya Rabbul Alameen
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.
Mash Allah Shurukh I keep reading your all lessons
Alhamdulillah feeling peaceful days are spending along with your lessons.
keep it up
take care !
LikeLiked by 1 person