“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
EK AYAH EK DIN MEIN
LESSON NO: – 3
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
ISTI’ADAH( PANAH MANGNA) KI TAFSIR
Allah(swt) ne farmaya :-
” Maaf karna ikhtiyaar karo; bhalaayi ka hukum do, aur jahelon se dur raho( yaane unhe saza mat do). Aur agar shaytaan tumhe waswason mein daalne laga toh , Allah(swt) se panah maango. Beshaque , Woh sab sunnewala aur jaanne wala hai.” (7: 199-200)
(” Buraayi ko dur karo, ussey jo behether hai. Hum achi tarah jaante hai , woh cheezein jo woh(shaytaan) kehta hai. Aur kaho: ( “Aye mere Rabb! Main tujse panah maangta hun, shaytaani waswason se. Aur Tujse panah maangta hun, mere Rabb! Ke woh mere paas na aaye.”( 23: 96-98) aur,
“( Aye sunnewale, buraayi ko bhalaayi se dur karo, jab hi woh ke tuj mein aur us mein dushmani thi , aisa ho jayega , jaise ke ghere dost ho. Aur yeh daulat har kisi ko nahi milti, siwaye sabr karnewalon ko- aur sab ko nahi milti , siwaaye uske jiska bada hissa ( khushi ka Akhirath ( yaane jannat ) aur jiska darja unche kirdaar ka hai) is duniya mein. Aur agar shaytaan ne aap ko waswason mein daalde , acha karne se Aye Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) !, toh Allah(swt) se panah maangna. Beshaque! Woh sab sunnewala aur jaanewala hai.”) (41: 34-36)
Yeh theen(3) ayat hai , jo yeh maane (matlab) bayaan karte hai. Allah(swt), hukum farmaate hai, ke hum hamare dushman se narm pesh aaye, taake woh hamare ache bartwaav se woh hamara habeeb aur saath denewala ban jaaye. Woh(Allah(swt) ) hamein yeh bhi hukum deta hai ki hum shaytaani dushmanon ke khilaaf, Allah(swt) se panah maange, kyun ki buraayi, apni dushmani barkharar nahi rakh sakti , agar hum ussey narm aur hamdardi se pesh aaye. Shaytaan , hamesha Adam ke beton ka nuksaan chahta hai, apni gheri dushmani aur nafrat ki wajeh se , jo usko( shaytaan) hamesha thi insaan ke waalid Adam se.
Allah(swt) farmaate hai, ” Aye Adam ki Aulaad! Shaytaan ko tumhe gumraah karne mat dena, kyun ki woh tumare Maa-baap Adam aur Hawwa ko jannath ke bahar kar diya . (7: 27)
Beshaque , Shaytaan tumhara khula dushman hai, toh tum ussey dushman ki tarah hi pesh aao. Woh sirf apne hi Hizb( maannewalon) ko hi dawat deta hai, taake woh dozak ki aag ke rehnewale ho jaaye.“( 35:6)
Aur ,( agar tum usko (Iblis) aur uski aulaad ko apna panahgaar aur madadgaar banaloge, Mujhe chodkar , jabke woh tumhara khula dushman hai toh yeh Zalimum( mushrikeen aur buraayi karnewalon)ke liye kitna acha badlaa hoga) (18:50)
Shaytaan ne Adam ko tassali di je woh unhe nasihath kar raha hai , lekin woh jhooth bol raha tha. Isliye , woh hamse kaise acha bartaaw karega jab ke woh kasam khaya hua hai.(” Aap ke taqaat se , phir main beshaque inhe gumraah karunga. Siwaaye unke jo Aap ke chune hue bandey hai( yaane Imaanwale, farmabardaar, Islam ke farayez par Imaan laaye hue hai.”)(38: 82-83)
Aur, Allah(swt) ne farmaya: ( toh jab tum) chahte ho- {Qur’an ki tilawath karna, Allah(swt) se panha maango , Shaytaan mardud se. Beshaque! Iska koi khaabu nahi in par jo imaan laaye aur apne Rabb par hi bharosa rakte hai. Uska(shaytaan) ka khaabu unpar hai , jo issey dosti karte hai aur issey shareek tehraate hai.”) (16: 98-100)
END OF LESSON 3…….
TO BE CONTINUED……..
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
Ameen ya Rabbul Alameen
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.
Pls notify me when new post available in Roman English /Roman Urdu translation
LikeLike
Pls notify me when new post available in Roman English /Roman Urdu translation
LikeLike
Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu
New post: Tafseer of Surah An-Naas in Roman English
LikeLike