“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚LESSON NO:- 4⃣📚
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
🔻QUR’AN KI TILAWATH SHURU KARNE SE PAHELE PANAH MAANGNA 🔻
Allah(swt) ne farmaya, (toh jab tum) chahte ho -{ Qur’an ki tilawath karna, Allah(swt) se panha maango, Shaytaan mardud se. Matlab, Qur’an ki tilawath karne se pahele.
🔻PANHA MAANGNA ALLAH (SWT) SE , JAB KOI GUSSA HO. 🔻
Al-Bukhari ne darj kiya ki Sulayman bin Surad (R.A) ne kaha, ” Do aadmi, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke maujudgi mein , jab hum sab Aap ke saath baite hue the bahez kar rahe the. Ek shaks dusre shaks ko kos raha tha, aur uska chehra gusse se laal ho gaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya
👉(” Main jaanta hun ek aisa bayaan jo agar woh kahega, usey aisa mehsus karaayega , jaise ke woh gayab ho gaya ho. ‘ Main Panah maangta hun , Allah(swt) se , shaytaan mardud se’ .)
Woh us shaks se kahe,’ Kya tumne nahi suna, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha?” Us shaks ne kaha, ” Main bewakuf nahi hun.”
🔻KYA ISTI’AADAH(PANAH MAANGNA) ZARURI HAI🔻⤵
👉Isti’adhah Namaz aur Qur’an ki tilawath karte waqt zaruri hai. Is ayah ke khule maane ka mutala hai, , ﴿فَاسْتَعِذْ (phir panah maango) . Yeh Ayah mein maujuud hai hukum jo amal karna zaruri hai. Aur Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) hamesha “Isti’adhah” kehte the.
👉Is ke alawa, Isti’adhah Satan ki buri nazar ko dur karta hai, jo zaruri aur ahem hai, is dastur ka matlab hai, zarurat ko amal mein lana, jo apne aap mein bhi ek mazhabi amal ho. Aur jab koi kahega, ” main panah maangta hun Allah(swt) se, shaytaan mardud se. Tab yeh kifayath hogi.
🔻ISTI’ADHAH KE KHUSUSIYAATH 🔻
👉Isti’adhah zaban aur muh ko paak karta hai, buri baaton se jo yeh hamesha karne mein masruf rehta hai.
👉Yeh muh ko bhi paak kar deta hai aur tayar karta hai isey Allah(swt) ki baaton ka zikr karne ke liye.
👉Aur iske aage, Isti’adhah hamein Allah(swt) ki madad lene ki hikmath karta aur Allah(swt) ki azmath aur khabiliyath ka mutala deta hai.
👉Isti’adhah , bandey ko apne andar ke dushman ka saamna karne mein kamzori, aziziyana bartaaw aur uski na khabhiliyat izhaar karta hai, jise sirf Allah(swt) , jinhone yeh dushman ko banaya, akele hi harakar dur kar sakte hai. Yeh dushman hargeez bhalaayi nahi apna sakta, insaani dushman ki tarah.
👉Allah(swt) farmaate hai, ( Beshaque! Mere bandey(yaane Islam ke Tawheed hone par yaqeen aur imaan rakta ho. Tumhe unpar koi haq nahi. Kaafi hai tumhara Rabb , jo Hifazatkarnewala hai. (17:65)
👉Humein yeh bhi kahna chahiye ki, imaanwale, jo apne insaani dushmanon ke haath maare gaye woh shaheed hue ,aur woh jo apne dilon ke ander ke dushmanon ke hathon maare gaye- yaane Shaytaan ke haathon , woh daaku (gumraah) ho gaye.
👉 Aur,yeh bhi ke , imaanwale jo mushrikeen ke hathon haar gaye, unhe inaam milega, jabki woh jo apne ander ke dushman ke haathon haar gaye , unhe gunah haasil hoga aur woh gumraah ho jayenge.
👉Kyun ke Shaytaan , aadmi ko wahan dekh sakta hai, jahan aadmi usey nahi dekh sakta, isliye yeh behether hai ki Imaanwale Shaytaan se panah maange, ussey Jisey shaytaan dekh nahi sakta. Isti’adhah, Allah(swt) ke khareeb aane ka ek tareeqa hai aur Unse panah maanga , buraayi se aur har buri maqlukhaath se.
Aur Allah(swt) behther jaanta hai.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF THE LESSON : 4….
If you would like to read the same lesson in English – please choose English translation Lesson :4 option.
Kindly share this beautiful ayah of the day with your family & friends .
In sha Allah Jazak Allah Khair 🙂