Youm E Ashura ke Roze ki Fazeelath

*🍀 Youm e Ashora Ke Roze Ki Fazeelat

🌸 *فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

*As salamu Alaikum warehmatullahi wabarakatuhu *
💠 Sab Rozo Main Afzal Ramazan k roze hai, aur uskey Baad Muharram K Roze hain…
*🔲 Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Rasool Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ney Farmaya,*
*“Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e-Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”.*

📚 (Sahih Muslim : Vol 3 2755)

*🔲 Muharram Ke Roze ki shuruat aur iski Taarikhi pashmanzar..*
*Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Taala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main tshreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain,* *Iski Taazeem Kay Liye, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) *Ney Farmaya: “Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.”*
📚[Sahih-Muslim, Vol: 3 Book : Hadees :2656]


*💠Aashura ke Roze ki fazilat…💠*                              

🔲 Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya *ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.*  

📚 Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747


*💠 Ek Shubha K Muttaliq 💠*


🔘 Akser Logon ko ye Doubt rehta hai k Kiya 10 muharram ka ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai ?


Iska Jawab Hadees k mafhoom se maloom kartey hain …👇🏾


🔲 Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara”?

To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : *“Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege”* Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se parda farma liya.

*📚 (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)*


👉🏾 :-Is Hadees se saaf wazeh k 9 moharam aur 10 Moharam dono ka roza rakhna hai…


🌳 Allah tala s Duwa hai k hame is roze k rakhne ki tofeeq de Aameen

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰


*📢 Forward to All & Get Sawab E Jariya .
In sha Allah!

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s