Lesson:12 (i)”IBAADAH” KA ZABAANI AUR DEENI MAANA/MATLAB. (ii)ALLAH(SWT) APNE RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KO APNA ‘ABD’ KAHA HAI.

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO :- 12 📚
(SURAH AL-FATIHAH )

AYAH : إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِين ُ

(5. Hum sirf teti hi ibadat karte hai, aur tujse hi madad chahte hai)

🔰”IBAADAH” KA ZABAANI AUR DEENI MAANA/MATLAB.🔰

🔸Zabani lehaaz se ‘ibadah’ ke maaney hai supurd kar dena. Aur Deeni ilm-ul-istilah(zabani alfaaz) se,
“Ibadah” ka matlab hai , behad mohabbat, aajizi aur dar.

🔰AMAL KE MAQSAD KO AMAL KARNEWALE SE PAHELE KHOOBI BAYAAN KARNA, AUR INKE INKAAR KARNE KI KHOOBI/ YA(SAZA).🔰

🔸”Hum.. madad chahte hai” , ka matlab hai , hum Tere hi ibadat karte hai aur kisi ki nahi, aur Tere hi madad ke talbgaar hai aur kisi ke nahi. Yeh tabedaari (farmabardaari) ka behthreen tareeqa hai aur deen-e-Islam , isi do khayalaath par buniyaad hai. Kuch Salaf kehte hai ki , Al-Fatihah , Qur’an ka raaz hai , jabki yeh alfaaz , raaz hai Al-Fatihah ke.

🔸 Pahela hissa elaan karta hai Shirk se masumiyath ka, jabki dusra elaan karta hai kisi taqath ya mazboothi ka inkaar, is baat ko zaahir karte ki saare mamelaath ka ikhytiyaar sirf aur sirf Allah(swt) ke haath mein hai.

🔸 Iske maaney , Qur’an mein kayi mauqon par bayaan kiya gaya hai.

📖 Misaal ki taur par, Allah (swt) farmaate hai, 👉🏻 (” Uski ibadat karo , Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Is par bharosa rakho . Aur tumhara Rab tumhare(logon ke) kaamon se gaafil nahi hai.”) (11: 123).

📖 👉🏻(Kaho: ” Woh (Allah(swt) bada hi Meherbaan hai, hum Uspar imaan laate hai, sirf Uspar hi yaqeen rakhte hai.”) (67: 29)

📖Woh akela hi Rab hai mashreek(purab)ka aur magreeb(paschim) ka. La ilaha illa Huwa ( koi nahi hai mabood(bar haq) , Iske siwa). To tum Ise apna kaarsaaz banali. ( har maamlon ka pura karnewala) ) , (73:9)

🔸Hum ko yeh batadena chahiye ki , is Ayah mein jo taqreer istemaal ki gayi hai , woh theesre ism zameer (pronoun (third person)) se se direct kalaam(direct speech) mein tabdeel kiya hai ‘kaf’ ko bayaan ‘Iyyaka’ (tum) mein lekar. Yeh isliye kiya kyun ke jab banda Apne Allah (swt) ki hamd karta hai aur shukr ada karta hai, woh Allah(swt) ke saamne tehra hua hota hai , aur woh direct Allah(swt) se muntaqib hota hai.

🔰 AL-FATIHAH ISHARA KARTA HAI ALLAH(SWT) KI TAREEF (HAMD) KI ZARURATH.YEH HAR NAMAZ(IBADAT) MEIN ZARURI HAI. 🔰

🔸Surah Al-Fatihah ki shuraath mein shaamil hai Allah(swt) ki tareef , khud Apneliye, Uske sabse behthreen Asma-ul-Husna ke saath, aur ishara karta hai apne bandon ko ki woh bhi isi tarah Uski hamd karey. Isliye , sirf Namaz padhna mukammal nahi hota jabtak ke woh Al-Fatihah ki tilawath na kare, agar woh qaabil hai.

📚 Do Sahihyon mein darj hai ki , ‘Ubadah bin As-Samit ne kaha hai ki., Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaaya, kisi ki bhi koi Namaz mukammal nahi hai, jabtak ke woh Kitaab ki Al-Fatihah ki tilawath na ki ho. .

🔸 TAWHID AL ‘ULUHIYAH ( Teri hi ibadat) ka matlab hai, ” Woh , Tu hi hai jo Wahed hai, Jiska humko dar hai aur Jispar hum.Umeed rakhte hai. TU akela(Wahed), hamara Rab, aur koi nahi.

🔸TAWHID AR-RUBIYYAH ( Aur tujhse hi madad maangte hai), teri farmabardaari mein aur hamare har maamle (amlon) mein.” Is Ayah mein , Allah (swt) ka hukum hai, hamare liye ki hum khusoo(imaanse) se Uski ibaadat kare, aur Uski madad talab kare, hamare har maamlon mein.

🔸Allah (swt) bayan karteُ hai ﴿إِيَّاكَ نَعْبُدُ ُ ﴾” ( Teri hi ibaadat karte hai) pahele َ ُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ﴾” ( aur Tere hi madad maangte hai) , kyun ke yahan par maqsad Ibaadat hai, aur is maqsad ko pura karne ke liye, Allah(swt) ki madad hi zariya (hathyaar) hai. Beshaque, hum pahele us kaam ka khayaal karna chahiye jo zyadah ehmiyath rakhta ho, aur phir woh kaam jiski ehmiyath kam ho., Allah(swt) behether jaanta hai.

🔰ALLAH(SWT) APNE RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KO APNA ‘ABD’ KAHA HAI. 🔰

🔸Allah(swt) , Apne Paigamber ko ek Abd(banda/gulaam) kehkar pukara hai, jab Woh , Apni Kitaab ko naazil karne ka bayaan kiya, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka shaamil hona , jab Uski taraf dawath di, aur jab Isra( ek raat ka safar Makkah se Jerusalem tak aur phir Jannath tak) ka zikr kiya, aur yeh saare Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki behad izzatafzaahi muhim the.

📖Allah (swt) farmaate hai, (” Saari hamd aur shukr Allah(swt) ke liye hai, Jisne , Apne bandey Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) par Apni Kitaab (Qur’an-ul-Kareem) naazil ki.”)📌(18:1)

📖 (” Aur jab Allah (swt) ka banda(Muhammad (SaAllahu alaihi wa sallam) , Uski (Apne Rab-Allah(swt) ) ki bandagi karne ke liye khada hua , (72:19) aur,

📖 (” Paaki hai Usey (Allah(swt) , jo raaton raat apne bandey ko le gaya Masjid-e-Haram se Masjid -e-Aqsa tak. “) (17:1)

🔰MUSIBATON KE WAQT ZYADAH SE ZYADAH IBADAH KARNA MUSTAHAB HAI 🔰

🔸Allah(swt) ne Apne Paigamber (SalAllahu alaihi wa sallam) ko , mushrikeen k jo Aap ki nafarmaani aur inkaar karne ki wajeh se , pareshan aur musibaton hue , us waqt zyadah se zyadah ibadath karne ke liye ruju kiya.

📖 Allah(swt) farmaate hai, (” Beshaque! Hamein malum hai ke in ki baaton se tumdil tang hote ho. Toh apne Rab ko sarahte hue , Iski Paaki (hamd) bolo aur sajdewalon mein ho. Aur marte dam tak apne Rab ki ibadat mein raho.”) (15: 97-99)

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 12……..

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

 

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s