“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚 LESSIN NO: 1⃣3⃣ 📚
(SURAH AL-FATIHAH)
( PART : A)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
👉🏻AYAH:-
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma.
🔰KYUN HAMD(TAREEF) PAHELE BAYAAN KIYA GAYA
🔸Jabse Allah(swt) ki tareef jissey hum madad talab karte hai, bayaan ki gayi hai, yeh bilkul sahi aur jayaz hai ki jo bhi Uski madad maangta hai, hamd karte hue maange. Humne ne bataya tha ki Allah(swt) farmaate hai, (Ek aadha mere liye aur ek aadha Mere Bandey ke liye, aur Mera banda woh paayega jo usne pucha hai. )
🔸Yeh sabse behethreen tareeqa hai , madad talab karne ke liye, pahele tareef kare Uski , jissey hum madad talab karte hai aur phir Uski madad maange, aur khud ki madad karey, aur apne Muslim bhaiyyon aur bahenon ke liye maange.
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma.
🔸Yeh tareeqa sabse sahi aur munasib hai apne duaon ko (apni azizi maangon) ka positive jawab paane ke liye, aur Allah(swt) ne yehi tareeqa ko behther tareeqa farmaya hai.
🔸Madad maangna , us shaks ki halath ki (condition) mein tabdeel ho jata hai, jo madad maangne jhuka hua hai.
📖 Misaal ki taur par , Paigamber Musa (alaihi salaam) ne kaha, (” Aye Mere Rab! Beshaque , main zarurathmand hun, un saari achaayion ki , jo Tune mujpar bakshi hai.”)(28:24)
📖 Aur bhi, Hum ko pahele Uske Asma-us-sifaat bayaan karni chahiye , Jissey hum maang rahe hai, jaise ke Dhun-Nun ne kaha ( ‘La ilaha illa Anta ‘) (‘Koi nahi hai bar haq ibadat ke qaabil siwaya Tere Aye Mere Allah(swt) ‘),tu jo bada Meherbaan aur (Gaalib) hai ( Unsab se Ala aur Upar jissey woh tujhe shareek karte hai)! Beshaque! Main gunhegaaron mein se hun.”) (21:87)
🔸Iske alawa bhi , koi bhi Uski hamd kar sakta hai ,bina kuch talab kiye.
🔸Hidayath ke maaney , Surah mein bayaan kiya gaya hai. Hidayath jo Surah mein bayaan kiya gaya hai, ruju karta hai hamein taufeeq ata hui hai sahi raaste ki kaamyaabi ki taraf.
🔸Allah (swt) farmaate hai:
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma )
Maane hamein hidayath , zariya , ruju aur sahi taufeeq
Ata karna .
📖 Aur (” Usko do raaste bataao( Achayi aur buraayi”)/(sahi aur galath)(90:10) matlab ‘ Humne usey do raaste acchayi aur buraayi ke (sahi aur galath ke) samjhaya hai.”
📖 Aur, Allah(swt) farmaate hai Usne(Allah (swt) ) usko ( apna khaas dost )chuna hai, aur unhe sahi raaste ki hidayat farmaayi.”) (16:21)
📖Aur, (” unhe Jalte hue Jahannum(Dozakh) ki aag ki taraf dhakla hai “)(37:23)
📖 Usi tarah, Allah (swt) farmaate hai, (” Aur beshaque! Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) , tum beshaque insaaniyath ko Achaayi ke raaste ki taraf hidayath karte ho.”)(42:52)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON :13 PART A
PART :B
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚 LESSON NO:- 1⃣3⃣📚
(SURAH AL-FATIHAH)
{ PART:B }i
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
👉🏻AYAH:-
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma)
📖 Aur, (“Saari tareefein aur shukr , Allah(swt) ke liye hai, Jisne hamein iski hidayat ata farmaayi”.)7:43 matlab, hamein hidayata ki, aur hamein us taraf ruju kiya aur qaabil banaya is Akhirath ke liye- Jannah.(ke liye)
🔰IMAANWALE , HIDAYAT KI TALAB KARTE HAI AUR US PAR QAYAM RAHTE HAI.
🔸Agar kisi ne pucha, ” Kyun kar Imaanwale , Allah(swt) se , apni ibaadat mein aur dusre waqaton par bhi , hidayat ki talab karte hai, jab ke unhe pahele se hi hidayat ata ki gayi hai. Kya woh pahele hi hidayat haasil nahi kar chuke”?
🔸Is sawaal ka jawab hai ki agar yeh sach na hota ke imaanwale , din aur raat , Allah(swt) se hidayat talab karte rahe, Allah(swt) kabhi na unhe ruju karta ke , Usey dua(maango/ talab) karo , hidayat haasil karne ke liye.
🔸Bandey ko hamesha Allah (swt) , jo Gaalib hai, ki madad chahiye , apne zindagi ke har lamhe mein mein, apne hidayat ke sahi raaste par qayam rahne ke liye aur khud ko us raaste par mazbooth aur barkharar rakhne ke liye. Bandey ke paas kuch ikhtitaar ya taqaat nahi hai ki, woh khud ke liye kuch behther kare ya phir kuch nuksaan karle. Isliye Allah(swt) apne bandon se kahta hai ke , woh hamesha ussey talab karey , (pukaarte rahe), taake Woh unhe ,Uski madad pahunchate rahe aur qayam aur kaamyaab karey.
🔸Beshaque, khushhaal shaks woh hai jise Allah (swt) se hidayat haasil hui hai. Yeh khususan us waqt ke liye hai, agar banda fouran Allah(swt) ki madad talab karta ho , din ho ya raat. Allah(swt) farmaate hai,
📖(” Aye logon jo imaan rakte ho! Allah(swt) par imaan laao, aur Uske Rasool (Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) par, aur Uski Kitaab (Al Qur’an ) par,jo Usne Apne Rasool par naazil ki hai aur un Kitaabon par jo Usne Aap (Rasool)se pahele naazil ki hai. “)(4:16)
🔸Bas is tarah,is Ayah mein Allah(swt) ne imaanwalon ko hukum diya ke imaan laaye, aur yeh hukum bekaar nahi hai kyun ki yahan jo chahiye woh hai pokhtha yaqeen aur achey amaal ko bine roke jaari rakhna , jo madad karega hamein imaan ke raaste par qayam rahne mein.
📖 Aur, Allah(swt) ne hukum diya Apne Imaanwale bandon ko ke elaan kare, (” Aye Hamare Rab! Hamare dilon ko sachaayi ke raaste se bhatakne na dena , hamari hidayat karne ke baad, aur hum par Teri Rahem farma. Beshaque, Tu bada Meherbaan hai.”)(3:8)
📖Isliye, اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ – (Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma) matlab,” Hamein hidayat ke Raaste par qayam farma aur hamein ussey bhatakne na de.”
🔰SIRAT AL MUSTAQIM- SEEDHA RAASTA , KA MAAYNA(MATLAB) 🔰
🔸Ummah raazi hai ke Sirat Al -Mustaqim, hi khula saaf ek hi raasta hai bina koi shaaqon ke, Arabic zaban mein. Seedha raasta jo Qur’an mein bayaan kiya hai woh Islam hai.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
End of Lesson no 13 (part: B)
And Allah Knows Best
✨💞✨💞✨💞✨💞✨
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.