“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhU
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚 LESSON NO:- 5⃣ 📚
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
🔻ISTI’ADHAH KA MATLAB KYA HAI 🔻⤵
👉🏻Isti’adhah ka matlab hai, ” Main panah maangta hun Allah(swt) se, shaytaan mardud ke shay se, taake woh mere deen aur duniyavi marhale mein dakhal dene se dur rahe, ya mujhe rok na sake woh kaam se , jo mujh par hukum hue hai, ya mujhe un kaamon mein mashgul na kardey , jo mujh par haram kharar di gayi hai.” Beshaque sirf Allah(swt) hi hai , jo Adam ki Aulad ko panah de sakta hai , shaytaan ke shikanje se, aur nazdeek aane se. Isliye Allah(swt) pasand karta hai,ke ham insaani shaytaan se narmi aur rahem se pesh aaye, taake insaan ki narmi aur rahem , shayad usey(shaytaan) ko buraayi karne se rok le.
👉🏻Behrehaal, Allah(swt) chahata hai ki hum Ussey (Allah(swt) ) se panah maange, shaytaan ki buraayi se bachne ke liye, kyun ki woh na toh rushwath manzur karta hai , aur naahi rahem , usey asar kar sakti hai, kyun ki woh pura shaytaan hai. Isliye , sirf Woh (Allah(swt) ) hi , jisne Satan ko banaya, Wahi usey rok sakta hai.
👉🏻Yeh maane(matlab), Qur’an mein sirf theen(3) ayat mein bayaan kiya gaya hai.
📖 Allah(swt) ne farmaya: ( Maaf karna ikhtiyaar karo, aur bhalaayi ka hukum do aur jahelon se dur raho (yaane unhe saza mat do) ) (7: 199) . Yeh insaan se bartaaw karne ke maamle mein hai.
📖Aur Allah(swt) ne wahi Surah mein farmaya: ” Aur agar Shaytaan ne tumhe waswason meun daalde , toh phir Allah(swt) se panah maango. Beshaque! Woh sab sunnewala aur jaannewala hai.” (7: 200)
📖 Allah(swt) ne yeh bhi farmaya:(” Buraayi ko dur karo, ussey jo behether hai. Hum achi tarah jaante hai, woh cheezein jo woh (shaytaan) kehta hai. Aur kaho: ” Aye mere Rabb! Main tujse panah maangta hun, shaytaani waswason se. Aur tujse hi panah maangta hun, mere Rabb! Ke woh mere paas na aaye.”(23: 96-98) .
📖 Aage Allah (swt) farmaate hai: (” Aye sunnewale! Buraayi ki bhalaayi se dur karo, jab ki woh ke tujmein aur us mein dushmani thi, aisa ho jayega, jaise ke tun ghere dost ho. Aur yeh daulat har kisi ko nahi milti, siwaye sabr karnewalon ko-aur sab ko nahi milti , siwaye uske jiska bada hissa{ Khushi ka Akhirath (yaane jannat) aur jiska darja unche kirdaar ja hai}is duniya mein. Aur agar shaytaan ne aap ko waswason mein daalde, acha karne se , Aye Muhammad( SslAllahu alaihi wa sallam)! Toh Allah(swt) se panah maangna. Beshaque! Woh sab su newala aur jaanne wala hai.( 41: 34-36)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 5……..
And Allah Knows Best
✨💞✨💞✨💞✨💞✨
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.