“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚LESSON NO:- 1⃣4⃣ 📚
(PART: A)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
7. AYAH:-
﴿ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّآلِّينَ ﴾
MEANING:- ( Raasta unka jin par tune ahsaan kiya, na unka jin par gazab hua aur na gumraahon ka. )
🔰’Woh jispar Allah (swt).ne ahsaan kiya’ woh hai jinhe Surah An-Nisa (chapter 4).mein bayaan kiya gaya. Jab Allah(swt) ne farmaya,
📖 (” Aur jo Allah(swt) aur Uske Rasool Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ka hukum maane toh usey unka saath milega jin par Allah(swt) ne fazal kiya , yaane Anmbiyan (paigamberon) aur Siddiqin(.sacchey imaanwale) aur shaheed aur naik log. Aur yeh kitne achey saathi hai! Yeh Allah(swt) ka fazal hai aur kaafi hai Allah(swt) jo har cheez ka jaannewala hai.”) (4:69)
🔸Allah(swt) ka bayaan, ( Raasta , na unka jin par gazab hua aur na gumraahon ka) matlab hai ke hamein sahi raaste ki hidayat farmaaye, raasta unka jin par Allah(swt) ne ahsaan kiya, woh log hai , Allah(swt) ki aur Uske Rasool ki taraf hidayat paaye hue, imaandaar, farmabardaar .
🔸Yeh woh log hai jo Allah(swt) ke hukum ko pakdey hue hai aur khud ko rokte hai , aise kaam karne se jo unhe haram kharar kiya gaya hai.
🔸Lekin, hamein madad karte hai, unlogon ke raaste se dur rahne ke liye , Jissey Allah(swt) gussa hai, unlogon se, jiski neeyat mein kharabi hai, woh jo sach toh jaante hai, phirbhi ussey muh pher lete hai. Aur , madad karte hai us raaste ko mana karne se jo hamein gumraah karta hai, jo sahi aur sachha ilm kho diya hai, aur is ki wajeh se gumraahi mein mubtala hai, aur nakaamyaab hai hidayatwala raasta aur sahi raasta paane mein.
🔸Allah(swt) ne do raaston ko mukhtalaf kahkar samjhaya hai, Usne in dono raaston ko gumraah bataya hai jab Usne bar bar .dohraya hai , ke yeh mukhtalif hai. Yeh do raaste hai, Isayion ke aur Yahudiyon ke, ek sachhayi, jo har momeen ko etelah honi chahiye, taake woh usey bach sake. Imaanwalon ka raasta hai, raasta sach aur sahi ilm ka aur us par qayam rahne ka.
🔸 Aur agar hum jaanch kare toh pata chalta hai ki , Yahudi apne deen ko amal mein lana chod diya, jabki Isaayi ne sachi aur sahi ilm kho di. Is wajeh se Yahudiyon par ‘azaab’ (gussa) naazil hua, jabke ‘gumraah kardiye gaye’ sahi maane hai jo isaayion ke liye istemaal kiya ja sakta hai. Jo jaante hai, lekin sacchayi ko amal karne mein rok laga dete hai, azaab (gusse) ke haqdaar hai, unke nisbath jo sach se mehroom hai. Isaayi sahi aur sacchi ilm ki ta
lash mein hai, lekin nakaamyaab hai usey haasil karne mein kyun ki woh us sacchi ilm ko sahi zariye se talash nahi kar rahe hai.
🔸Is wajeh se unhe gumraahi mein daal diya gaya. Ham ko yeh bhi bayaab karna chahiye ki dono Isaayi aur Yahudiyon ne Allah(swt) ka azaab haasil kiya aur gumraah ho gaye, lekin gussa aur azab khususan Yahudiyon ke ism ko jaata hai. 📖 Allah(swt) yahudiyon ke baare mein farmaate hai,(” Wohlog (Yahudi) jinpar Allah(swt)ne lanath bheji aur jinpar Uska gazabnaak hua.”) (5:60)
🔸Jo khoobi ke haqdaar Isaayi hai , woh hai gumraahi mein mubtala ho jana, jaise ki📖 Allah (swt) inlogon ke taluq se farmaate hai (” woh jo khud pahele gumraah hue,aur dusron ko bhi gumraah kiya, aur khud seedhe raaste se bhatak gaye.”) (5:77)
👉🏻Aur, jab Zayd bin Amr bin Nufayl , Islam se pahele, jab apne kuch doston ke saath , Ash-Sham ko gaye , sacche deen ki talash nein, toh Yahudiyon ne unse kaha, ” Tum tab tak Yahudi nahi kahlaaoge , jab tak ke tum Allah(swt) ke gusse mein , kuch hissa na haasil karoge.” Aap ne kaha,” Main toh Allah(swt) ke gusse se bachna chahta hun.” Aur Isaayion ne unse kaha, ” Agar tum ham mein shaamil hona chahte ho toh tumhe Allah(swt).ki naraazgi mein hissa milega.” Toh phir aapne jaise the waise hi rahna pasand kiya aur budhparasthi aur kufr riwazon se apne aap ko dur rakha. Aap na yahudi hue aur na hi Isaayi.
🔸 Aur aapke dost , woh isaayiath qubool ki, kyunke unhe Yahudiyon ke nisbath Isaayiath paak nazar aayi. Waraqah bin Nawfal , unlogon mein se hai , jinhe Allah(swt) ne hidayath ata ki , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke haathon se, jab Aap ko Paigamber banakar bheja gaya, aur Waraqah , us wahiyon par yaqeen rakte the, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) par hui.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON :14 PART :A
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚 LESSON NO :- 1⃣4⃣ 📚
(SURAH AL-FATIHAH)
(PART : B)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
✨THE SUMMARY OF AL-FATIHAH✨
(SURAH AL-FATIHAH KA KHULASA )
🔸Baizzat Surah Al-Fatihah mein saath(7) ayaat hai , jismein Allah(swt) ki Tareef aur Uska shukr bhi shaamil hai, Allah(swt) ki shaan bayaan karte hue, aur Uski tareef, khubsurat Asma -ul-Husna aur Uski qubiyon bayaan karte hue kiya gaya hai.
🔸Is mein Akhirath ka bhi zikr hai, jo Roze-e-Qayamath hai aur jis mein Allah(swt) ke bandon ko hidayat di jaati hai ki woh Usi se hi maange, Usi sey hi talab kiya karey aur elaan karey ki saari taqath aur quwwath Usi se hai.
🔸Yeh hamein bulaata bhi hai , imaandari se sirf aur sirf Uski hi ibaadat karey, Usko , Wahed kharar karey , Uski maujuudgi se., Uski Hikmat aur Mukammal Sahi par yaqeen karey, Allah(swt) ke saath koi dusre shareek ko, ya dushman aur ya kisi ko barabar maanne se azaad aur dur rahe .
🔸Surah Al-Fatihah , imaanwalon ko ruju karta hai ki , woh Allah(swt) ko pukare aur Ussey talab karey ki , unhe sirat -ul – mustaqeem par yaane sahi raaste par qayam rakhe, jo sahi deen hai , aur unhe zindagi bhar isi raaste par qayam rakhe, aur Roze- e-Qayamath ke din Pul-Sirat( Jahannum ke uparwala bridge jisey har koi paar karna hai) asaani se paar karadey. Us din , imaanwalon ko , Paigamberon ke saath, Sachey logon ke saath , shaheedon aur imaandaron ke saath aram baagon mein (Jannath) ruju kiya jayega .
🔸Al-Fatihah , hamein acchey amaal karne ki taufeeq bhi karta hai, taake imaanwale Roz-e-Qayamath ke din acchey amaal karne walon ke saath shaamil rahe.
🔸Yeh Surah, hamein agaah bhi karta hai , galath aur bina hidayath wale raaston ki, taake koi bhi Roz-E-Qayamath ke din gunahgaaron ke saath , aur unke saath , jo Allah(swt) ke azaab aur gussa haasil kiya ho ya phur gumraahon ke saath na ho jaye.
(AUR ALLAH(SWT) BEHTHER JAANTA HAI)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 14 ,PART: B
And Allah Knows Best
✨💞✨💞✨💞✨💞✨
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.