Lesson : 6 KYUN IBLIS KO SHAYTAAN KEHTE HAI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚LESSON NO:- 6⃣📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

🔻KYUN IBLIS KO SHAYTAAN KEHTE HAI🔻⤵

♻ Arabi zaban mein , Shaytan lafz, Shatana se nikala gaya, jiska matlab hai, dur ki cheez. Isliye , Shaytan ki fitrath , insaani fitrath se alag hai, aur uske gunha ke tareeqe har tarah ki acchaayion se bahuth dur hai.

♻.Yeh bhi kaha gaya hai ki Shaytan ka lafz , Shata ( lafzi maane: jaladiya) se liya gaya hai kyun ki isey aag se banaya gaya.

♻ Kuch ulema kehte hai ki dono bhi maane sahi hai, haalanke woh kehte hai ki pahela maana bahuth mumkeen hai.

📝 Arabs kehte hai, ‘ falan , falan ke paas Tashaytan hai’ jab woh iblis ke tarah harkatein karne lagta hai. Agar Shaytan lafz Shata se liya gaya ho toh, woh kehte the Tashayyata (baigair Tashaytan kehne ke) ”

♻Isliye, Shaytan lafz , us alfaaz se liya gaya hai, jiska matlab hai , dur ki cheez. Is wajeh se , woh kehte hai ‘Shaytan” usey jo bhi baaghi(shararathi) hai , Jinn aur Insaanon mein.

📖Allah(swt) farmatae hai, (” Aur is tarah hum ne Nabiyon ke dushman kiye hai- aadmiyon aur Jinn mein , taake shaytan in mein ek dusre par qafiya daalta hai banawat ki baat se ,( ya dhoke ke saath) )” (6: 112)

📚Imam Ahmad ke Musnad mein bayaan kiya gaya hai ki Abu Dharr(R.A) ne kaha ki, ” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, 👉🏻( ” Aye Abu Dharr! Allah(swt) se panah maango, insaani aur Jinnon ke darmiyaani iblis se.) Abu Dharr(R.A) ne kaha, ” Maine Aapse pucha, ‘ Kya insaanon mein bhi iblees hote hai?” Aap ne farmaya, (“Haan”)

👉🏻Aur aage , yeh bhi bayaan kiya gaya Sahih Muslim mein ki Abu Dharr(R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, ( Aurat, ghadah (donkey) aur kaala kutta, Namaz ko radd kardete hai, ( agar woh un ke saamne se guzar jaaye , jo bina Sutrah ( yaane koi rukawat ki cheez) ke bina Namaz ada kar rahe ho toh ) . Abu Dharr (R.A) ne kaha, ” Maine pucha, ” Kaale kutte aur laal ya peele kutte mein kya farq hai,” Tab Aapne farmaya , (Kaala kutta iblees hai)”

💫AR-RAJIM KE MAANE 💫⤵

📝Ar-Rajim ka matlab hai, sab tarah ki acchayion se , bahar nikaal dena. Allah(swt) farmaate hai, (Aur beshaque, hamne nazdeeki jannat ko chiraagon se roshan kardiya hai, aur Hamne aise chiraagon ko Rujuman ( missiles ki tarah) banaya hai , Jo Shayatin ( iblees) ko dur bhagaate hai. (67:5)

📝 Allah(swt) yeh bhi farmaate hai, (“Aur beshaque! Humne neeche ke aasmaan ko sitaron ke singaar se araasta kiya. Aur nigaah rakhne ko , har shaytaani sarkash se. Aalim farishton ki taraf kaan nahi laga sakte, aur in par har taraf se maar phenk hoti hai. Inhe bhagaane ko aur inke liye hamesha ka azaab. Magar jo ek aadh baar, chuk le chala, toh roshan angaar iske peechey laga.)( 37: 6-10)

📝 Aur aage, Allah(swt) ne farmaya, ( Aur beshaque, hamne aasmaan mein burj banaye, aur isey dekhnewalon ke liye araasta kiya. Aur isey humne har shaytan mardud se mehfuz rakha. Magar jo chori chupe sunne jaaye toh , iske peechey padta hai roshan sholey. )(15: 16-18).

💞💞💞💞💞💞💞💞💞

END OF LESSON: 6….

TO BE CONTINUED……..

 

 

 

 

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s