“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚LESSON NO :- 7⃣ 📚
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
💫SURAH AL-FATIHAH KI PEHLI AYAH ‘BISMILLAH’ HAI 💫
👉🏻 Sahabiyon ne Allah(swt) ki Kitab ‘Bismillah’ se shuruath ki hai.
{بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ}
(1.Allah(swt) ke naam se, jo bada hi Meherbaan aur bada hi Rehmatwala hai )
🔻Yeh ray ke Bismillah , har Surah ki Ayah hai, siwaye Al-Bara’ah (Baap 9) , Sahabiyon ki di hui sifath hai.
🔻Sahih Al-Bukhari mein darj kiya gaya hai ki, Anas bin Malik(R.A) se pucha gaya Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke tilawath ke silsile mein. Unhone ne farmaya, “Aap ki tilawath jaldi mein nahi hoti thi.” Phir aap , uska misaal dete aur tilawath karte, jabke Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim ki tilawath bahuth lambi karte.
🔻Yeh darj kiya gaya hai ki, Umm Salamah (R.A) ne farmaya,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , apni tilawath ke waqt , har Ayah ko alag alag karte.
🔻Aur bhi, Do(2) Sahih bhi darj kiya hai ki Anas bin Malik(R.A) ne kaha, “Main , Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) , Abu Bakr(R.A) , Umar(R.A) aur Uthman (R.A) ke peechey , Namaz ada kar raha tha, aur woh sab apni Namaz is sey shuru kiya karte hai,
) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين}
[Tamaam tareef aur shukr Allah(swt) ke liye, jo Rabb hai saare maqluqaat ka. ]
🔻Muslim aur izafa karte hue kehte hai, ” Aur woh log ne iska zikr nahi kiya,
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ)
[Allah(swt) ke naam se, jo bada hi Meherbaan, aur bada hi Rehmatwala hai ]chahe shuru mein ya phir tilawath ke aakhir mein . Yeh baat ka irada ya ray, imaam par mushtahab hai, aur unke bayaan ek jaise hai is baat par raazi hone ke ki Namaz ke dauran Al-Fatihah ki tilawath awaaz se ya phir khamoshi mein sahi hai. Sab meherbaani Allah(swt) ki taraf se hai.
💫HAR KAAM SE PAHELE BASMALAH KARNE KI(SIFARISH) TAJVEED KI GAYI HAI.💫
🔻 Har kaam ko shuru karne se pahele , Basmalah (Bismillah tilawath karna) karne ki sifarish(Tajveed) ki gayi hai. Misaal ki taur par, Khutbah shuru karne se pahele Basmalah ki tajveed ki gayi hai. Basmalah us waqt bhi tajveed ki gayi hai , jab koi us jagah daakhil hota hai , jahan woh sukoon haasil karna chahta hai. Iska zikr Hadith mein bhi hai. Aur, Wudhu ke shuru mein bhi Basmalah ki tajveed ki gayi hai. Khane se pahele bhi ki gayi hai, jiska zikr Muslim ne apne Sahih mein darj kiya hai ki, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Umar bin Abi Salamah (R.A) se kaha, jab woh Aap ke parvarish mein bacchey they , ( Bismillah kaho, apne seedhe haath se khaao aur aap ke aaspaas maujuud cheezeon mein se khaao). Bahuth saare ulema kehte hai ki , khaane se pahele Basmalah fardh hai.
🔻Hum bistari se pahele bhi Basamalah ko tajveed kiya hai. Do Sahihyon ne darj kiya ki Ibn Abbas(R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai,
بِسْمِ اللهِ اللَهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا،فَإنَّهُ إِنْ يُقَدَّرْ بَيْنَهُمَا وَلَدٌ لَمْ يَضُرَّهُ الشَّيْطَانُ أَبَدً
( Agar aap mein se koi apni ahaliyah(zoujha/biwi) ke saath humbistari se pahele kahega, “Allah(swt) ke naam se. Aye Allah(swt) ! Hamein shaytaan se hifazat farma, aur uski hifazat farmaa , jo aap hamein ata karenge, ( yaane aap ki aanewali aulaad) , aur agar tab inki kismat mein aulad hona naseeb farmaya, toh Shaytaan , us bacchey ko koi nuksaan nahi pahuncha sakta. ”
Aur Allah(swt) behether jaanta hai.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON NO: 7
TO BE CONTINUED……..
َ
And Allah Knows Best
✨💞✨💞✨💞✨💞✨
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.