lesson:15 SAKHAWATH / NEMATEIN SAARE ALLAH(SWT) KI WAJEH SE HAI , TAJAAWUZ (FARQ)NAHI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO:- 1⃣5⃣📚
(SURAH AL-FATIHAH)

 

🔸SAKHAWATH / NEMATEIN SAARE ALLAH(SWT) KI WAJEH SE HAI , TAJAAWUZ (FARQ)NAHI 🔸

📖Allah(swt) farmaate hai,
– صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ ﴾)
(Raasta unka jin par tune ahsaan kiya)Jab Usne Apne ahsaan bayaan kiye. Gussey ko bayan karte hue , Allah (swt) farmaate hai, (ْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ )(Na unka jin par gazab hua aur na gumraahon ka), bina mazboon bayaan karte hue, haalanke ,yeh toh khud Wahi (Allah(swt) hai Jo unpar gussey ka azaab naazil karta hai, jaise ke Allah(swt) , dusri ayah mein farmaate hai, (” Aye Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam! Kya tumne un munafiqeenon ko nahi dekha jisne unlogon ko apna dost banaya , jin par Allah (swt) ne azaab naazil kiya( yaane Yahudi)” (58:14)

🔸Aur, Allah(swt) , gumraahi ka talluq unlogon se karta hai , jo is tarah karte hai, haalanke unhe haqi taur se gumraah kardiya gaya, unki Allah(swt) ki taraf se muqarar taqdeer ke mutabiq

📖. Misaal ki taur par, Allah (swt) farmaate hai, (” Woh jise Allah(swt) hidayath ata karte hai, woh sahi hidayath wala hai; lekin woh jispar Woh azaab naazil karta hai, usko koi Wali (hidayath karnewala dost) nahi milta , usey sacchaayi ke raaste par le jaane ke liye.”) (18:17) aur,

📖 (Har koi jis par Allah(swt) , gumraahi naazil kardeta hai, koi uski hidayath nahi kar sakte; aur Woh unhe apne gunaahon mein andha bankar gumne deta hai. “) (7: 186)

🔸Yeh aur dusre kayi Ayah sabith karte hai is sacchayi ka ki Allah(swt) wahed hai , jo hidayath aur gumraahi ata karta hai.

📚Ek sahi Hadith bayaan karti hai ( Jab tum unko dekte ho jo , uspar amal karte hai , jiska zikr Qur’an mein saaf saaf bayaan nahi kiya gaya, toh woh yeh log hai jiska zikr Allah(swt) ne kiya( refer to 3:7) . Isliye in se dur raho.)

🔸 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke is bayaan ka zikr kar rahe the, (” Woh dusre woh hai jinke dilon mein kunji( farq) hai (sacch ke raaste se) ; woh ishtebah wali ke peechey padte hai gumraahi chahne(budhparasathi aur nakaamyaabi ko) aur is ka pehlu dundne ko.”)(3:7)

🔸Beshaque, deen mein koi bidaiati(biddat karnewala) , Qur’an ki haqiqi sacchaayi ya saboothon par yaqeedah nahi rakta, ke uski biddat saabith karey. Qur’an , sacch aur jhooth mein farq samjhathi hai, aur hidayath aur gumraahi mein bhi. Qur’an mein koi akhtalafath ya tardeed(inkaar) maujuud nahi hai, kyun ki yeh Hakeem , Rahmaan aur sab tareefon wala Allah(swt) ne naazil farmaya.

🔰AMIN KAHNA

👉🏻Yeh sifarish ki gayi hai ki Amin kahe, Surah Al-Fatihah ke tilwaath ke baad. Amin ka matlab, “Aye Allah! Hamari fariyaad sunle.” Amin kahne ki sifarish ka sabooth, Imam Ahmad, Abu Dawud aur Al-Tirmidhi mein darj hai, jo Wa-il bin Hujr ne kaha,” Maine Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ko tilawath karte hue suna tha, (Na unka jin par azaab hua aur ba gumraahon ka)aur Aap ne kaha , ‘Amin ‘ aage apne awaaz mein kahte hue.”

🔸’Amin’ kahne ko zayadatar unlogon ko kaha gaya hai , jo ibadaat nahi kar rahe hai( jab Al-Fatihah ki tilawath ki ja rahi hai) aur bahuth sakthi se kaha gaya /Sifarish ki gayi hai , unlogon ki bhi jo ibadat kar rahe hai, chahe woh akele ho ta phir Imam ke peechey jamaath mein. Do Sahih Hadith mein darj kiya gaya hai ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai,( Jab Imam kahe , ‘Amin’ tab ‘Amin’ kaho, kyun ki jo bhi shaks ‘Amin’ farishton ke saath kahega uske peechley gunah maaf kar diye jayenge.)

🔸Yeh kaha gaya hai ki Hadith dono Farishton aur Muslims ki baat kahte hai, ‘Amin’ ek saath, ek hi waqt par kahne ke liye. Hadith yeh bhi bayaan karta hai ki jab Farishtey aur Muslims ‘Amin’ bade hi imaandari se kahte hai( toh bas, Maafi haasil kar lete hai)

🔸Aur, Sahih Muslim mein yeh darj kiya gaya hai, ki Abu Musa , Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) ke talluq se kahte hai ki Aap farmaate hai,( Jab Imam kahe, Walad-Dallin’ toh Kaho ‘Amin’ aur Allah (swt) apke duon aur hajathon ka jawab deta hai.)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞

SURAH AL-FATIHAH KI TAFSEER MUKAMMAL HO GAYI.

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
(ALLAH BEHETHER JAANTA HAI.)

 

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Leave a comment