“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
💎EK AYAH EK DIN MEIN💎
📚LESSON NO: 9⃣📚
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
💫AL FATIHA KE FAZAAIL💫
) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين
َ(Sab tarah ki tareef Khuda hi ko (sazawaar/ layaaq) hai, jo tamaam maqluqaath ka parwardigaar hai. )
💫AL-HAMD KE MAANEY💫
الحمد لله👉🏻
(Al-Hamdu lillah) (tamaam tareef aur Shukr Allah(swt) ke liye hai) ke maaney hai: sara shukr sirf aur sirf wahed Allah (swt) ke liye hai, nahi kisi cheez ki jo Uskey badle mein puji jaati hai, naahi Uski koi cheez jo Usney Kaynaath mein banayi hai. Yeh shukr wahed Allah(swt) ke liye hai, jisne anginath(behisaab) nematein ata ki hai, jo sirf aur sirf Wahi jaanta hai. Allah(swt) ki nematein mein woh cheezein bhi shaamil hai, jo maqluqaath ki madad karte hai Uski ibadat karne mein, jismani shaklein ata ki, jiski wajeh se, woh Rab Ke hukum ko baja laa sakte hai, rizzaq jo Usne ata ki hai , unki zindagi mein, aur araam zindagi , jo Usney sab ko ata ki hai, bina kuch aur bina kisi ke dabaav mein. Allah(swt) ne apni maqluqaath ko agaah bhi kiya hai, un zariye aur tareekhe se , jissey woh apne akhirath ka saman juta sake aur apni jagah Jannat mein tay kar sake. Tamaam tareefein aur shukr sirf Allah(swt) ke liye hai, shuru se akhir tak humko nematein ata karne ke liye.
👉🏻 Aur bhi الحمدلله
( Al-Hamdu Lillah), ka yeh matlab bhi hota hai, ” Woh tareef jo Allah(swt) , apni Khud ki tareef mein kehta hai, apne bandon ko yeh ishara karte hue ki , woh bhi Uski tareef (hamd) karey, jaise ke Allah(swt) ne kaha hai, ‘ Kaho: tamaam tareef aur shukr sirf Allah(swt) ke liye hai.’ Yeh kaha jata hai ki, yeh bayaan , ( Tamaam tareef aur shukr sirf Allah (swt) ke liye hai) , hamein kaas baat ka etela karta hai ki, Allah(.swt) ki tareef , uske behtreen sifat, Asma -Ul -Husna ke saath ki jaani chahiye. Jab koi bayaan deta hai,” tamaam shukr sirf Allah (swt) ke liye hai,” woh Uska shukr ada kar raha hai, Uskey meherbaaniyan , rehmatein aur nematon ke liye. ”
💫TAREEF AUR SHUKR KE BEECH KA FARQ 💫
🔻Hamd bahuth hi aam hai, is mein hum bayaan dete hai kisi ke kirdaaron ki tareef , ya jo Usney kiya hai. Shukr hum uska karte hai jo kar chuka hai. , na hi sirf kirdaaron ke liye.
💫SALAF KA BAYAN AL-HAMD KE SILSILE MEIN💫
Hafs ne yeh bayaan kiya ki ‘ Umar (R.A.) ne Ali (R.A( se kaha , ” Hamein pata hai La ilaha illallah, SubhanAllah aur Allahu Akbar . Al-Hamdu Lillah ke baarein mein kya? ” Ali (R.A) ne kaha, ” Ek bayaan woh jo Allah(swt) khud Apneliye pasand karta hai, woh jo Apne aap ko , Apne se khush karta hai aur Woh isey baar baar dohrana pasand karta hai.” Ibn Abbas (R.A) ne bhi kaha, ” Al-Hamdu Lillah, tareef ka bayaan hai. Jab banda kehta Al-Hamdu Lillah tab Allah (swt) kehte hai ‘Mera banda Meri tareef kiya hai.” Ibn Abi Hatim ne yeh Hadith mein darj kiya hai.
💫AL-HAMD KI SIFATH 💫
Ibn Majah ne darj kiya ki Anas bin Malik (R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ne farmaya,
( Koi banda , Allah (swt) ki fazilath (karam/rehmath) haasil nahi karega aur kahega,’Al-Hamdu Lillah’ siwaya ke jo usey diya gaya woh behether hai, ussey jo usney khud haasil kiya ho.)
🔻HAMD SE PAHELE AL, SHAAMIL KARTA HAI HAR TARAH KA SHUKR AUR TAREEF , ALLAH(SWT) KE LIYE. 🔻
👉🏻Alfaaz Alif aur Laam , Hamd se pahele , shaamil jar leta hai , har tarah ka shukr aur tareef , Allah(swt) ke liye, jo Buland darja rakhta hai.
📚Ek Hadith mein bayaan hai,
, «اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ كُلُّهُ، وَلَكَ الْمُلْكُ كُلُّهُ، وَبِيَدِكَ الْخَيْرُ كُلُّهُ، وَإِلَيْكَ يُرْجَعُ الْأَمْرُ كُلُّهُ»
(Oh Allah! Saare Al-Hamd tere hi liye hai, Tu hi Maalik hai , har tarah ki bhalayi Tere Haath mein hai aur all maamle Tere hi supurd hai.)
Allah behether jaanta hai.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 9……..
And Allah Knows Best
✨💞✨💞✨💞✨💞✨
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.
Thankyou. 😊
LikeLike