Lesson : 10 (i) AR-RABB, SARDAAR KE MAANEY (ii)AL-‘ALAMIN KE MAANEY

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO :- 10 📚
(SURAH AL-FATIHAH)

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

💫AR-RABB, SARDAAR KE MAANEY 💫

) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين
َ
🔸Ar-Rabb , woh maalik hai , jiska ikhtiyaar(haq) Uski tamaam milkiyath par hota hai. Ar-Rabb ka lisaniat ka zabandani ( zabaani) maana hai, maalik ya woh qiyadat karne (sarparasti) karne ka iktiyaar rakta ho. Ar-Rabb ke yeh saare maaney, Allah (swt) ke liye sahi hai. Jab woh akela hota hai, lafz Rabb , usey sirf Allah (swt) ke liye hi istemaal kiya jaata hai. Allah(swt) ke alawa kisi aur ke liye , isey Rabb Ad-Dar kehkar istemaal kiya ja sakta hai, jiske maaney hai falan, falan cheez ka maalik. Aur , yeh bhi batla diya gaya hai ki Ar-Rabb’ , Allah (swt) ka sabse bada naam hai.

AL-‘ALAMIN KE MAANEY💫

🔸Alam ‘ ka jama Al-‘Alamin hai, jo apne daayre mein sabkuch shaamil karta hai jo kaynaath mein maujuud hai siwaya Allah(swt) ke. Lafz, ‘Alam’ hi khud ek jama alfaaz hai, jiska koi wahid(singular) shakl nahi hai. ‘Alamin woh maqlukhaath hai jo zameen aur aasmaan , duniya, jannath , zameen aur samundar mein maujuud hai. Har nasal ki maqlukhaath ko ‘Alam kehte hai. ﴿ ِ (رَبِّ الْعَـلَمِي)( ‘Alamin ka sardaar ya maalik). Har kism ki taqleeq (ejaad) ‘Alam hai. ” ‘Alam mein har woh cheez shaamil ho jaati hai, jise Allah ne banaya hai, is duniya mein aur Akhirath mein.

🔸Al-Qurtubi tabsira kiya ke, ” Yeh sahi maana (matlab) hai , ke ‘Alam mein woh saari cheezein shaamil hai, jo Allah(swt) ne dono duniya mein (paida kiya hai ya )ejaad kiya hai. Usi tarah Allah(swt) farmaate hai, ( Fir’awn(Pharoah) ne kaha: ” Aur ‘Alamin’ (saare jahan)ka Maalik kya hai?” Musa (alaihi salaam) ne kaha: ” Rabb aasmanon aur zameen ka aur jo kuch inke darmiyaan mein hai, agar tumhe yaqeen ho.” (26: 23)

💫KYUN TAQLEEQ ( KAYNAATH) KO ‘ALAM KAHA GAYA 💫

🔸Lafz ‘Alam’ , Alamah se liya gaya hai , yeh isliye ki, yeh sabith karta hai us nishaani ka ke maujuud hai Iska Khaliq (bananewala) aur Uska Ek hona. ”

﴿الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ ﴾ (
3). Ar-Rahman ( bada Meherbaan) , Ar-Raheem ( bada hi Rahmatwala)

🔸Al-Qurtubi kehte hai, “Allah(swt) ne apne Aapko bayaan karte hai issey, ‘Ar-Rahman, Ar-Raheem, ‘ ‘Alamin ka Rab’ kehne ke baad. toh Allah(swt) ka bayaan yahan , shaamil karta hai aaghaa(warning) aur phir housal hafzai shaamil karta hai. Allah (swt) farmaate hai: “Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaao ke” Beshaque! Main hi hun bakashnewala, meherbaan aur mera hi azaab dard naak hai.” ( 15: 49-50)

َ🔸 Allah (swt) farmaate hai, ( Beshaque! Tumhare Rabb ko azaab karte der nahi lagti, aur beshaque Woh zarur bakashnewala aur bada hi meherbaan hai.(6:165)

🔸Isliye, Rabb mein aagha(dar) maujuud hai jab ke Ar-Rahman Ar-Raheem housla deta hai.

👉🏻Aur aage, Muslim ne apne Sahih mein darj kiya hai ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, (” Agar ek imaanwala shaks jaan le ki Allah(swt) ke paas saza kya hai, koi yeh umeed nahi karta ke woh Jannath haasil karey, aur agar koi mushreek , jaan le ki Allah (swt) ki Rahmat kya hai, toh koi bhi Uska raham kamane ki umeed mein , apne ache amal kamane ki umeed nahi chodta.

(Allah behether jaanta hai.)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 10………

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

 

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s