“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.
In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu
(SURAH AL-FATIHAH)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
(4. Jo Maalik hai roz-e-jaza ka) /(Insaaf ke din ka Hakeem)
🔸Allah(swt) bayaan karte hai apni hikmiyat ka qayamat ke din, lekin yeh Uske banaye hue dusre cheezon par ki hikmiyat ki khilafat nahi bayaan karta.Kyunke Allah(swt) ne bayaan kiya hai ki Woh Saari kaynaath ka Rabb hai, is duniya ka aur uske baad Akhiraath ka. Allah(swt) yahan sirf Roz-e-Jaza hi bayan kiya hai kyun ki Us Din , Uske siwa koi aur kisibhi cheez ka , ya kisipar bhi apni Milkiyath ka dawa nahi kar sakta.
🔸’Us din , koi bhi kisi bhi cheez ka maalik nahi hoga , jo woh duniya mein milkiyath rakte the.’
🔸Ibn Abbas (R.A) ne kaha, Yawm Ad-din , toh Roz-E-Insaaf hai , saari maqlukhaath ke liye , matlab Roz-e- Qayamath. Us din Allah(swt) apni maqlukhaath ka hisaab karenge, unke amaal ka, buraayi ka buraayi.se , achey ka achey se , woh jise chahta hai maafi bakhashta hai. ‘
🔸Aur bhi, Do Sahihyon mein darj kiya , Abu Hurayrah (R.A) kehte hai ki Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai,( Allah(swt) ke liye Behtreen woh naam hai jo Usey Badshaahon ka Badshah kehkaar pukaarta hai, jabki koi maalik nahi siwaaye Allah(swt) ke.)
🔸Aur bhi , do Sahiyon mein darj kiya hai ki Abu Hurayrah (R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllhu alaihi wa sallam)[( Insaf ke Din/ Roz-e-Qayamat) ki Allah(swt) , saari duniya ko Apne girafth mein lelenge aur saare aasmaanon ko Apne Seedhe Haath se modenge aur elaan karenge, ‘Main Badahah hun! Kahan hai duniya ke badshahyein. Kahan hai zaalim aur kahan hai takabbur karnewale?’]
🔸Aur Allah(swt) ke siwa kisi aur ko is duniya mein Badshah kehna , sirf taqreer ke adaad wa shumar (zabanai taqreer) mein kaha jaata hai. Misaal ki taur par , Allah(swt) farmaate gai, (Beshaque! Allah ne tum logon par Talut ko badshah muqarar kiya hai. ) (2: 247) , ( Aur unke peechey badshah tha) (18: 79) aur, Jab Usne tum mein se Paigamber banaya, aur tumko badshah.(5:20)
🔸Aur bhi, Do Sahihyon mein darj kiya hai, ( Jaise badshahayein apne taqthon mein baite hai. )
Ad-Din ka matlab / maana hai hisaab hona/karna , inaam ya saza. Usi tarah , Allah(swt) farmaate hai, ( Us Din , Allah unke amaal ke hisaab se pura enaam ata karega)(24: 25) aur
(Allah(swt) behether jaanta hai.
End of lesson 11…….
12 lesson will be continued
And Allah Knows Best
SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH
We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.
May Allaah accept it from us & you all.
Ameen ya Rabbul Alameen
Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.