Assalamu alaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO :- 14
SABAQ:-
- A Hiatus ( continued)
A HIATUS(CONT..)
Yeh waqt wahi tha jab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko dusri wahi naazil hui. Isme Surah Al- Muddaththir ke pahele 5 ayaten naazil hui.
” Aye chadaar mein lipatnewale ! utho aur khabardaar karnelago! Aur apne Parwardigaar ki badai bayaan karo! Apne kapde
paak rakho aur shirk ki gandagi se dur hi raho! Aur is neeyath se ahsaan na karo ke usse zyada ke khawab ho Aur apne Parwardigaar ke khatheer sabr kiya karo. ( Allah (swt) ki taraf apna farz ada karo) “(74:1-7)
Yeh wahi jo ibaadat ka tareeqa bayaan karti hai Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ke saamne ayi aur Aapko ko takeed di gayi ke lagataar mussasil ibaadat (Salaah) kiya kare. Yeh Jibra’eel(alaihi salaam) se mualaaqaton ke aagaz ki nishaani ho gayi aur uske baad ke wahi lagataar mussasil aana shuru hue.Paheli wahi ke baad Aap Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko Paigamber kharar kiya gaya.
Dusri wahi ke baad , Aapko Allah ke Rasool kharar kiya gaya aur Aapko do ahem kaam supurd kiya gaya. Pahela kaam tha “Utho aur khabardaar karo” . Unhe hukum diya gaya ke Allah(swt) ke baare mein bayaan kare aur logon ko khabardaar kare unke gunahon ke nathije ke liye.
Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ka dusra ahem kaam Allah( swt) ka hukum maana aur dusron ki rahnumayi karna tha. Is Surah mein Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko mussasil takeed di gayi hai aur line ba line imtihaan mein Islaam je buniyaadi mazhabi tareeqe ka hukum diya gaya.
Asli Arabic mein , pahele ayat ka jumla fakabbir ka matlab : Sirf Allah(swt) ki ibaadat karna aur Uske saath kisi aur ko na jodna”
Dusri ayaat mein thiyaabaka fatahhir ka lafzi matlab: Apne kapdon ko paak rakho; magar Muslim ulema ke mutabiq iska matlab yeh bhi hai: Apne kirdaar ko paak rakho.
Uske baad ki ayat , warrujza fahjur Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko bataya gaya : Shirk se aur apne aap ko dur rakho.
Ayat la tamnun tastakhir ka matlab: Ahsaan ke badle kisi bhi dunayi inaam ka mutalla na karo.
Akhiri ayaat , wa lirabbika fasbir ka matlab: Apne Parwardigaar ke khatheer sabr kiya karo.
Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) apne aap ko apne khadmon par utha liye aur apne ahem kaamon ko kaamyaab karne ke liye tayar
Karne lage. Aap bina khudgarzi ke mussasil mehnat karne lage aur bina koi takleef ke Bharosa pura karne lage aur apne naye imaan ka bhari wazan 20 saal tak uthaye bina apne maqsad se bhatake .
TO BE CONTINUED……
END OF PART 14.