✨ IBAADAT AUR MOMINON KI TARBIYATH ✨
🍒 Paheli aur dusri wahi ke beech mein lambe arse ke bawjood , aage ke wahi Surah Al-Muddaththir ke baad lagathaar ana shuru hui.Dusra Surah jo naazil hua tha woh Surah Al- Faatihah tha. Surah Al- Muddaththir sirf Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko hidayath ka kalaam nahi tha . Iska paigaam wazih taur par mominon ke liye bhi tha.Is Surah ki ayaton mein zindagi kis tareeqe se guzari jaye iski hidayath di gayi hai , woh takeede di gayi hai jisse Ek Momin ko Allah(swt) ki taraf bandhe rakta hai.
🍒 Yeh Surah mominon ko sikhatha hai ki woh kis tarah Allah(swt) ki taarif kare aur usko apni taraf ruju karen. Aur kuch ahem khususiyath aur sifath bayaan kiye gaye.Isse hum ne sikha ke har insaan is duniya mein kiye hue apne ache aur bure amaal ka natija , use dusri duniya mein zarur milega. Yeh har ek ko sacchi kaamyaabi ki taraf ruju karta hai.
🍒 Dusre farayaz aur ibaadat ke tareeqe aage wahiyon mein qiyaam kiya gaya. Ek baar jab Allah(swt) aur uske Paigamber par Imaan ka buniyaadi usul pakka qayam kiya gaya, tab mominon ko apna Imaan ibaadat ke zariye pokhtha karne ki hidayath di gayi..Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko Aap ke muhim ki shuruaath mein pahela farz Salaah( prayer/ namaz) ka hukum diya gaya.
🍒 Jibra’eel( alaihi salaam) ne Aap ko namaz padhna aur Wudoo karna sikhaya aur Aap se kaha ki Do Rak’ah namaz subha aur shaam padha kare.
📖” Aur apne Rab ki tareefon ko ‘Ashi( wo waqt jo dophar se shuru hokar suraj dubne tak ) aur Ibkar( woh waqt jo paheli subha yane suraj nikal ne se lekar do pahar) mein takreem kiya karo.” 📌( 40:55)
🍒 Kyun ke Wudoo ko namaz se pahele zaruri ahkaam banaya gaya, puri pakizi momin ki nishani bangayi. Salaah , Surah Al-Faatihah par mushtahab hai, jo Quran ki shurwath ka pahela Surah hai,aur Allah( swt) ki shaan aur uski badayi ko ibaadat ke har harkath mein ookhaf karta hai. Salaah ko jo ibaaadat ka tareeqa hai jo din mein do baar muqarar kiya gaya hai , mominon ke Imaan ka ahem buniyaad khayam kiya gaya.
🍒 Apni ibaadat ko paak aur qadim rakhne ke liye, Makkah ki bushparasthi ke riwazon se dur, momin apni ibaadat viraan pahadon,
vadiyon sur raaston par padha karte the.Is waqt par, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke wahi khususan Imaan ke muzaamin aur Tawheed ( Ek Khuda) ke alag paheluon par the.
🍒 Yeh pahele wahi se Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko hidayath di jaathi ke kaise Aap apne Sahabiyon ko ruhani pakizgi de, aur kaise inmein aqlaqiyath ko ahsaas jagaye aur Jannat aur Dozak ka tazkara kare. Apni zindagi ke sari-ul -Zawal ke , Akhirath ke Isthekam par, abdi( eternal) khusi aur khatam na hone wali saza ; in saari baaton par Quraani ayaten roshni daalti hai aur hame nasihath deti hai.
🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 18.