SABAQ 36

Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

 
SEERAH OF MUHAMMAD  (SalAllahu alaihi wa sallam)  
 
SABAQ 36
🔻Abu Talib aur Quraysh ke beech baat cheeth
Quraysh ne Abu Talib ko lalkaara.( chunauthi di)
 Kafi had tak sochkar ke ab kya mansuba karen, kuch unche aur ala darje ke log Abu Talib ke paas aaye aur unse kahne lage:
“Aap ka bhatija hamare khudaon ke baare mein bhala bura kahta hai, hamare deen par ungli utatha hai, hamen jahel aur khafeef ( fuzul) kahta hai, aur ilzaam lagatha hai ke hamare baap dada galat raaste par the aur gumraah the. Ya aap unko rok lo ya bedakhal kardo taake hum unse seedha muqabla kar lenge.”
 Abu Talib ne bade hi narm mizaaz se jawab diya aur unlogon ko bahes karne ka mauqa hi nahi diya. Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) , bahre haal, apne aap ko Allah( swt) ke bheje hue Paigamber ki taur se elaan karna jaari rakha aur sab ki Islam qubool karne ki dawath dete rahe.
QURAYSH  NE ABU TALIB KO  LALKAARA ( CHUNAUTHI DI) ✨ 
Jaldi hi Quraysh jaan gaye ki Abu Talib , apne bhatije  ko baaghi  tableeghen dene se nahi rokenge. Woh ab zyada der tak khamosh nahi bait sakte the, aur akhir mein woh sab ek saath jama hue aur is surathehaal mein kaise muqabla karen , iska mansuba sochne lage.
 Phir uske baad, woh sab phir Abu Talib se mulaqaath kare, aur is baar woh mithiboli se baat nahi kare. Woh unhe zordekar dhamkaya, 
👉 ” O Abu Talib! Aapbudhe ho chuke ho aur hum aapki bahuth izzat afzayi karte hai. Hum ne aapko apne bhatije ko rokne ke liye kaha, magar aap ne unhe rokne ke liye kuch nahi kiya. Kudha ki kasam, hum ab yeh aur bardaasth nahi kar sakte– hamare baap dada ko galath kharar kiya, hamen jahel kaha aur hamare khudaon ki beizzati ki. Aap unhe rokiye , ya hum aap se jung karenge tab tak ke hum mein se koi ek rah jaye.”
Abu Talib ko inki baaton mein jung awaar ki bo mehsus hui. Makkah ke mushrikeen ne unhe lalkaara hai aur chunauthi di hai, aap ne usko gheraayi se le liya. Aap ne Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko khabar bheji aur Quraysh ki kahi hui baaten batayi aur kaha, ” Mujh par aur khud apne aap par rahem karo” aap ne apne bhatije se kaha, ” aur mujh par itna booj na daliye ki main bardaasth na kar paaun” 
.Jab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne saari baat suni jo Abu Talib ne batayi aur phir Aap ne jawab diya: 
👉 “O mere chachajaan, main Allah( swt) ki kasam khata hun, agar woh log mere seedhe haath mein suraj aur baayen haath mein chaand rakhkar, mere is muhim ko rokne ke liye kahenge tho bhi main peeche nahi hatunga, main jab tak nahi rukunga tab tak Allah( swt) mujhe kaamyaab na karen ya phir main nisto nabuth na ho jaaun.”
 Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko poktha iraada dekhkar,  Abu Talib bina hichkichaye unhe  pura support karne ka wada kiya.
👉 ” Wapas aana mere bhatije! Jaao jahan aap chahte ho aur kaho jo aap kahna chahte ho. Khuda ka waasta hai, main kabhie bhi tum se alag na hunga, chahe jo kuch ho”.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED…… 
END OF PART 36.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s