Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa salla)
SABAQ 38
🔻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par zulm aur sitam ( continued)
Jab kabhie bhi Umayya bin Khalaf , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko dekta, woh Makkah ke logon ke saamne Aap par taane kasta. Usi tarah , uska bhai, Abi bin Khalaf, sade hue haadiyon ka chura karta aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke chehre par phekta. Aur woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko yeh bhi kahte rahta:
👉 ” O Muhammad, mere paas ek ghoda hai jiska naam Ud hai, aur main use theen baar bhar pet khoraak deta hun, taake main Aap ko maar sakun jab bhi uspe sawaar hun!”
Ek din Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne uski lalkaar ja jawaab dete hue kaha:
” Nahi, woh main hun jo tumhara khatma karunga. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki peshengoyi sahi hui jab Aap ne Jung-e- Uhud nein Abi ka khatma kiya.
Ek aur mauqe par, Uqba bin Abi Mu’ayt , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath baitkar , Aap ko sun rahe the. Jab Abi bin Khalaf ko pata chala ke uska dost Uqba , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath hai tab woh Aap ko bura bhala kahne laga aur uske baad Uqba se kahne laga,:
” Jao aur Muhammad ke muh par thuko”
Haalanke apne qabile se baith apni izzat aur sharaafath se unchi hoti hai, Uqba apni jagah se uthe, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke taraf ruju hue aur Aap ke muh par thuka.
Abu Lahab, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke chachajaan the, jo apne bhatije ke paida hone ki khusi mein gulaam ko azaad kiya tha, Aap ke jaani dushman ho gaye jabse woh apne bhatije ko logon ko Safa pahadi se Islam ki taraf dawath dete hue dekha. Abu Lahab ke do bete, Utbah aur Atiba jinka nikha Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke betiyan, Ruqayyah aur Umm Kulthoom se hua tha. Abu Lahab ne apne dono beton ko hukum diya ke woh apne apne biwi ko talaq dede , aur unhe dhamkaya ki agar woh aisa na karenge tho woh unhe kabhie nahi dekhe gaa.
Abu Lahab ki biwi , Umm Jameel Ardi bint Harb, bhi apne beton ko talaaq dene ko kaha kyun ke woh bhi “Momin” ho chuke the. Utbah aur Atiba ne apne maa baap ka kaha mana aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke betiyon ko talaaq de diya.Umm Jameel bhi dushmani karne mein kuch kam nahi thi. Uska bhatija, shohar ki taraf se apne aap ko paigamber kah raha hai, aur uske devtaon ke khilaaf kah raha hai jise woh dilojaan se poojthi thi. Woh bhi badlaa lene ka ahed karliya.
Woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke Sahabiyon ke raaste par nukile lakdiyon ke tukde phekti. Jab Umm Jameel ko pata chala ki Qur’an mein ek chota baap ( Surah Abu Lahab), Rasool.( SalAllahu alaihi wa sallam) par naazil hui jo use uske harkathon ke liye Dozak muzammath kharaar kiya, tab woh Aap ko dundne lagi, haath mein ek bada pather lite hue.
Aap Ka’bah ke paas Abu Bakr( R.A) ke saath baite hue the, woh Abu Bakr ( R.A) ke paas gayi aur puchne lagi:
Tumhara saathi kahan bhaag gaya? Mujhe pata chala ki woh mere baare mein bhala bura kah raha hai. Khuda ki kasam! Agar woh mujhe mil jaye tho main yeh pathar uske muh par maarungi. Dekho main ek shayar bhi hun.”
.Woh niche diye hue ayaah boli aur wahan se chale gayi:
” Hum ne qabil -e – ilzaam ki nafarmaani ki, uske pukaar ka inkaar kiya, uske deen ja tark kiya aur nafrath kiya”. Abu Bakr( R A) ki tajjub hua ki Umm Jameel ne aap ke baaju baithe Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko nahi dekha. ” O Rasool! Kya woh aapko dekne mein nakaamyaab hui? “.aap ne pucha. ” Haan, woh mujhe nahi dekh paayi kyun ki Allah( swt) ne uske binayee ko zabt kar diya tha.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……
END OF PART 38.