Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 45
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par aur zyada zulm aur sitam.
Jo nakaamyaabi aur haar, Mushrikeen ko Abyssinia mein mili, Islam ko nafrath karne ki aur ek wajah ban gayi. Yeh aam baat thi ke, woh apna saara gussa un Mominon par nikaalenge jo Makkah mein maujud the.
Ek baar Atiba bin Abu Lahab, jo us waqt Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki beti Umm Kulsoom se talaaq le chuka tha, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas aaya aur Surah An-Najm ki ayaah ki tilawath ki, magar yeh kahne ke liye ki” “main us par yaqeeda nahi rakhtha hun jisne yeh ayaah naazil ki”. Woh baar baar kahne laga ki haalanke saare Quraysh ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath Surah An-Najm ki ayaah sunkar sajda kiya, magar woh abhi bhi apne baat par date hai ki unhe Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke ruhani zariya se paigamberi milna aur unhe jo wahi aayi , jo kuch naazil hue , us par koi yaqeeda nahi hai.
Is waqt se , Atiba , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke hamesha chidchidepan ka zariya ban gaya. Ek baar tho woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke kapde phaadkar , Aap ke munh par pheka.
” O Allah! Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) iske badle mein kaha, ” iske pheche AAP apne kutte laga dijiye.”.
Uske fauran baad hi, Atiba, caravan ke saath Syria gaya. Jab caravan , Zarqaa jakar ruka, wahan unhe ek sher aakar gher liya, Atiba dar gaya aur cheekne laga:
Khuda ki kasam, woh mujpar jhaptega, jaise ke Muhammad ( SalAllahu slaihi wa sallam) ne dua ki. Main Syria mein hun aur woh Makkah mein hai, magar uske bawjud woh muhje maar dega”.
Jab woh saare raat ko sone gaye, dusre caravan ke log Atiba ko beech mein sone diya. Aisa intezaam karne ke bawjud bhi , sher ne wahan ke unth, aur baaqi saare aadmiyon ko paar karke Atiba par panja maara. Woh uska sir , apne jabde mein lekar use wahin usiwaqt khatam kar diya.
Ek dushman ka khatma ho gaya. Baaqi aur bache the Rasool ( SalAllahu alaihiwa sallam) ko satane ke liye. Uqba bin Abi Mu’ayt, jo unth ke anthadiyon ko Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke peet par dala tha, ek baar dekha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ibaadat kar rahe the, woh intezaar karne laga ki kab Aap apna sir zameen par jhukayenge.
Jaise hi Aap zameen par jhuke , woh apna pair Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke gardan par rakha aur dabane laga , apna saara wazan daalkar, jab tak ke Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke aankhen bahar na nikal aaye.
Akhirkaar, jab inlog ne dekha ki kuch bhi Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko apne maqsad se bhatkne ya rokne nahi dera, tho mushrikeen , bahuth gehrayi se sochne lage ki Aap ka qatal kaise kare. Yeh karne ke liye bhi , yeh sab raazi ho gaye , haalanke yeh tajveez khoonkharaba kar sakti hai.
Abu Jahl , Quraysh ke saamne ut khada hua aur bayaan dene laga:
” Tum sab dekh rahe ho ke Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) apne baap dada ki beizzati karne ke liye nazar kiye hue hai, unhe jaahel, pichdehue kahkar aur apne khudaon ko beizzat karke. Isliye , main Allah ko apni zabaan deta hun ke , ek din main unka intezaar karunga bada pathar liye hue. Jab Woh sajde mein jayenge,main unja sir kuchal dalunga. Iske baad tum lig mujhe bachao ya phir mujhe Banu Abdu Munaf ke rahem par chod do”.
Tab logon ne use bharosa dilaya,
Khuda ki kasam, hum tumhe kabhie bhi nahi chodenge. Tumko jo karna hai karo.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED………
END OF PART 45…….