SABAQ 48

 

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
SEERAH OF MUHAMMAD  (SalAllahu alaihi wa sallam)  
  SABAQ 48
Hamzah bin Abdul Muttalib  neIslam qubool kiya.
 Umar bin Al-Khattab ne Islam qubool kiya.
 Makkah ke saare log , bahrehaal, Islam ke baaren mein dusron ki tarah sakth khayal nahi rakte the. Yahan tak ke mushrikeen jamathon 
Ke mazbooth sathun( pillars)
ke pathar dilen bhi pigal rahe the , jab woh akele mein Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paigam ke baaren mein socha karte the. Yeh sab bhi kuch kam mutassir nahi hue Aap ke himmat ke jab Aap ne Quraysh ka saamna kiya aur Aap ke bepanah sabr se. 
Hamzah bin Abdul Mutallib( R.A) , jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke chachajaan the, aur Umar bin Khattab ( R.A) , yeh dono aise shaks the. Aur aap dono ka Islam qubool karna , Islam ki tareeq mein , ek bahuth bada moad saabith hua. 
 Ek dafa, Abu Jahal ka,  Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas se Pahade Safa ke nazdeek guzarna hua. Woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki beizzati karne laga, aur kuch zariyon ke mutabiq, woh Aap ke sir ko pathar se nishana banaya
jiske wajah se khoon bhane laga. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) jo hamesha sabr karte the,Abu Jahal ke zulm ka  kuch jawab na diya. Ek gulaam aurat jo Abdullah bin Jad’an ki thi, usne yeh saara manzar dekha. Apne aapko khush aur itminaan karte hue Abu Jahal wahan se nikalkar  Ka’bah ki taraf gaya aur wahan Quraysh ke kuch logon ke jamaath ke saath baita.
 Kuch hi  der ke baad, Hamzah( R.A) shikaar se laute aur  apne theerkamaan ke saath wahan pahunche. Jab us gulaam aurat ne aap ke bhatije ke saath hue hadse ko, aap ko sunaya, Hamzah( R.A) , Abu Jahal ki taraf palte,
” Aye hawa ki thaili, teri itni majaal ke tu mere bhatije ko gaali deta hai jabke main uske deen ko maanta hun?”
 Hamzah( R.A ) ne Abu Jahal ko apne kamaan se maara aur ghera ghaw kar diya.  Jab Banu Makhzoom( Abu Jahal ke qabile ke log) aur Banu Hashim  (Hamzah (R.A)  ke qabile ke log) ek dusre par hamla karne lage, tab Abu Jahal ne apne rishtedaaron ko peeche hatne ko kaha, yeh kahte hue ki, ” Pahele yahan se Abu Ammara( Hamzah( R.A) ko jaane do. Maine unke bhatije ko nainsaafi se hi gaali galoj ki”.
 Hamzah ( R.A) ka achanak Islam qubool karna,
apne khandaan ki izzat ko barkharar rakne ka natija nazar aa raha tha. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  tho cheh(6) saal se akele aur mushkil waqt beeta rahe the , apne Allah( swt) ke paigaam ki tableegh karte karte, aur Hamzah ( R.A) ne jab tak uspar dyaan tak nahi diya.
 Jaldi hi, bahrehaal, Hamzah ( R.A) ke dil mein kuch halchul shuru honi lagi. Unhe ehsaas hua ki Imaan ka matlab jadon ko mazbuth pakadna hai, aur woh dekhne lage aur mehsus karne lage ki aapki Islam ki taraf mohabbat , aapke Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) se rishte se bhi zyada hai. Unka Allah( swt) ki taraf Imaan , itna taqatwar tha ki aage chalke aapko ‘”Asadullah” ( Allah( swt) ka sher) kaha gaya.
UMAR BIN AL-KHATTAB NE ISLAM QUBOOL KIYA
 Hamzah ( R.A) ke Islam qubool karne ke kuch theen din baad hi , Umar( R.A) , Muslim ho gaye .Umar(R.A), 
unche aur bahuth hi taqatwar shaks the, aur Islam ki kattar dushman the . Aap apne  tez gusse ke liye aur shayari se mohaabat ke liye aur had se zyada peene ke liye mashur the. Umar ( R.A) ki kahani ke aap ne kis tarah Islam qubool kiya, Islaam ki tareeq mein ek dilchasp waqiyah raha.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 48…..

Leave a comment