LESSON 3

sparklesSURAH AN-NAASsparkles

tulip new بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم tulip new

 

🔸 Masnad Ahmad mein yeh waqiah bayaan kiyaa gaya hae:

RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nae ga’dhae (sawaari) par sawaar ho’kar kahin jaa ra’hae thae. Ek Sahabi Aap (SalAllahu alaihi wa sallam ) ke pee’chaeh bai’taeh hu’wae thae. Ga’dhae ne toh’kar khaa’yee tab inn Sahaabi ke mun’h se niklaa, ” Shaytaan barbaad ho,”. Tab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaa’yaa, ” Aisa na kaho iss’sae Shaytaan badh jaata hae aor kehtaa hae ke maen ne apnee quw’wath se giraa diyaa aor jab tum Bismillah kaho gae toh Shaytaan ghat’ jaata hae, yahan tak ke ek makhee (fly ) ke barabar ho jaata hae.”

Iss’sae saabit hu’aa ke zikr-e-Allah se Shaytaan pasth aor magloob ho jaata hae.

🔸Masnad Ahmed mein RasoolAllah ( SalAllahu alaihi wa sallam) farmaa’tae hae ,” jab tum’mein sae koyee masjid mein hotaa hae , iss ke paas Shaytaan aata hae aor uss’sae thapak’taa aor beh’laata hae , jai’sae ko’yee shaks ap’nae jaanwar ko beh’laataa ho. Phir agar woh khamosh rahaa to woh naak mein nakeel ya munh mein lagaam chadah deta hae.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Next part to be continue……. In sha Allah.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s